"bahar-surat hain ham shirini-e-guftaar ke sadqe tire iqraar ke sadqe tire inkaar ke sadqe khushaa zauq-e-talab is hasrat-e-didaar ke sadqe hue hain baam-o-dar ke rauzan o divaar ke sadqe navaazish ho navaaze gar nigaah-e-lutf se us ko tiraa bimaar teri nargis-e-bimaar ke sadqe qadam le kar kaleje se lagaate hain kabhi us ko kabhi hote hain ham chashm o lab o rukhsaar ke sadqe jahaan-e-aarzu mein husn kaa bhi naam ho jaae maza aa jaae vo gul bhi agar ho 'khaar' ke sadqe"
sozish-e-gham ba-ru-e-kaar aai — Khar Dehlavi
"sozish-e-gham ba-ru-e-kaar aai aah bhi lab pe shoala-baar aai chashm-e-giryaan ki aabyaari se dil ke daaghon pe phir bahaar aai dast-e-vahshat ki kaar-farmaai taa-ba-daamaan-e-taar-taar aai tere divaane kyaa bhalaa jaanein kab khizaan aai kab bahaar aai kasmapursi kaa uf-re ye aalam yaad ham ko jafaa-e-yaar aai dekho vo chhaai uudi uudi ghaTaa mai-gusaaron ki gham-gusaar aai su-e-gulshan jo aaj aa nikle yaar ki yaad baar baar aai bhini bhini kisi badan ki mahak bu-e-gesu-e-mushk-baar aai ghuncha o gul kaa dekh kar jauban yaad-e-mahbub-e-gul-azaar aai hai javaani khud apni mashshaata husn ko kis qadar nikhaar aai 'khaar' ulfat ki baat jaane do zindagi kis ko saazgaar aai"
سوزش غم بہ روئے کار آئی آہ بھی لب پہ شعلہ بار آئی چشم گریاں کی آبیاری سے دل کے داغوں پہ پھر بہار آئی دست وحشت کی کار فرمائی تا بہ دامان تار تار آئی تیرے دیوانے کیا بھلا جانیں کب خزاں آئی کب بہار آئی کسمپرسی کا اف رے یہ عالم یاد ہم کو جفائے یار آئی دیکھو وہ چھائی اودی اودی گھٹا مے گساروں کی غم گسار آئی سوئے گلشن جو آج آ نکلے یار کی یاد بار بار آئی بھینی بھینی کسی بدن کی مہک بوئے گیسوئے مشک بار آئی غنچہ و گل کا دیکھ کر جوبن یاد محبوب گلغدار آئی ہے جوانی خود اپنی مشاطہ حسن کو کس قدر نکھار آئی خارؔ الفت کی بات جانے دو زندگی کس کو سازگار آئی
सोज़िश-ए-ग़म ब-रू-ए-कार आई आह भी लब पे शोला-बार आई चश्म-ए-गिर्यां की आबयारी से दिल के दाग़ों पे फिर बहार आई दस्त-ए-वहशत की कार-फ़रमाई ता-ब-दामान-ए-तार-तार आई तेरे दीवाने क्या भला जानें कब ख़िज़ाँ आई कब बहार आई कस्मापुर्सी का उफ़-रे ये आलम याद हम को जफ़ा-ए-यार आई देखो वो छाई ऊदी ऊदी घटा मय-गुसारों की ग़म-गुसार आई सू-ए-गुलशन जो आज आ निकले यार की याद बार बार आई भीनी भीनी किसी बदन की महक बू-ए-गेसू-ए-मुश्क-बार आई ग़ुंचा ओ गुल का देख कर जौबन याद-ए-महबूब-ए-गुल-अज़ार आई है जवानी ख़ुद अपनी मश्शाता हुस्न को किस क़दर निखार आई 'ख़ार' उल्फ़त की बात जाने दो ज़िंदगी किस को साज़गार आई

More by Khar Dehlavi
View all →"vahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbirein badalti hain huzur-e-dost kyaa kyaa apni taqrirein badalti hain ye nagri husn vaalon ki ajab nagri hai ai hamdam ki is nagri mein aahon ki bhi taasirein badalti hain na itraa ai dil-e-naadaan kisi ke ahd-o-paimaan par ki qaul o fel kyaa logon ki tahrirein badalti hain khudaai kaa agar karte hain daavaa but nahin bejaa nigaah-e-lutf se dekhein to taqdirein badalti hain koi saffaak jab didon mein diide Daal detaa hai to dil se dil nahin ulfat ki jaagirein badalti hain kisi kaafir ke yaad aate hain andaaz-o-adaa jis dam nazar ke saamne kitni hi tasvirein badalti hain kisi par barq girti hai koi chaDhtaa hai suuli par ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'khaar' taazirein badalti hain"
"duniyaa ke hain na diin ke dilbar ke ho gae ham dil se kalma-go kisi kaafir ke ho gae uTThe na baiTh kar kabhi ku-e-habib se us dar pe kyaa gae ki usi dar ke ho gae ai chashm-e-yaar maan gae tere sehr ko dil de ke mo'taqid tire mantar ke ho gae ham arz-e-haal kar na sake uf-re roab-e-husn jaate hi un ke saamne patthar ke ho gae ai 'khaar' dil jigar pe hi qaabu nahin rahaa ham se khilaaf ghair to kyaa ghar ke ho gae"
"haijaan mein talaash-e-sukun kar rahaa huun main yuun apne gham ko aur fuzun kar rahaa huun main vo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab un se bayaan haal-e-zabun kar rahaa huun main ab is se baDh ke aur ho vahshat kaa kyaa subut taalif nuskha-haa-e-junun kar rahaa huun main ik dushman-e-vafaa se baDhaai hai rasm-o-raah khud apni aarzuon kaa khuun kar rahaa huun main ab vaadi-e-junun mein qadam rakh chukaa hai ishq tashhir-e-daagh-haa-e-darun kar rahaa huun main mashur ho rahe hain vo sun kar miraa kalaam dam un pe jaise koi fusun kar rahaa huun main maabud hai vo bas miraa matlub hi nahin sajda us aastaane pe yuun kar rahaa huun main shaayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayaat ho hadd-e-adab se khud ko barun kar rahaa huun main siina bhi meraa haath bhi mere tumhein gharaz zad-kub apne siina ko kyuun kar rahaa huun main chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main zoam-e-khudi mein jis pe na jaane kaa ahd thaa us dar pe 'khaar' sar ko nigun kar rahaa huun main"
"ham ko mahrum-e-karam us ki jafaa ne rakkhaa ziist se tang kisi tang qabaa ne rakkhaa sach to ye hai ki duaa ne na davaa ne rakkhaa ham ko zinda tire daaman ki havaa ne rakkhaa husn vaale to bahut aur hain duniyaa mein magar un ko yakta-e-zamaan un ki adaa ne rakkhaa hasrat-e-did na sharminda-e-takmil hui tere jalvaon ne kahaan hosh Thikaane rakkhaa zulm chup ho ke sahein aise to majbur na the ham ko laachaar magar teri razaa ne rakkhaa raah-e-ulfat mein bahut aae maqaam-e-laghzish shukr-sad-shukr bharam meraa vafaa ne rakkhaa bas hamin tak rahein mahdud jafaaein un ki lutf itnaa to ravaa ahl-e-jafaa ne rakkhaa raasta rok liyaa fart-e-nazaakat ne kabhi paas aae to unhein duur hayaa ne rakkhaa kabhi daamaan-o-girebaan se ulajhte rahe haath dard-e-dil ne kabhi masruf duaa ne rakkhaa yaad aate rahe be-tarah moattar gesu aaj bechain bahut baad-e-sabaa ne rakkhaa 'khaar' dushman ne to ilzaam taraashe kyaa kyaa surkh-ru mujh ko magar meri vafaa ne rakkhaa"
"kahaa kisi ne ki hai chhalaavaa kisi ne tashbih di pari se vo aaj mahfil mein jalva-aaraa hue hain is shaan-e-dilbari se koi ishaara na kuchh kinaaya kahi hai ik baat saadgi se abhi ho naadaan nasib-e-aa’daa kahin uThaao na zak kisi se nahin ki dil aashnaa nahin hai rumuz-o-aadaab-e-'aashiqi se kuchh is mein tark-e-vafaa nahin hai uThaaein gar haath zindagi se liyaa kaf-e-paa kaa main ne bosa kuchh is mein tark-e-adab nahin thaa chalo haTaao qusur meraa khataa bhi hoti hai aadmi se mariz kaa ab labon pe dam hai shifaa ki ummid is ki kam hai jo ab bhi aao baDaa karam hai ki saans hain chand aakhiri se nahin bhale un ke taur ye bhi koi balaa hogi aur ye bhi na ho koi tarz-e-jaur ye bhi ki aa gae baaz kajravi se baDaa hi pur-lutf hogaa manzar kareinge us dam salaam jhuk kar ki dekhte hoge pesh-e-daavar hamein pashemaan se multaji se milegaa aghyaar ko bahaana uThaaegaa ungliyaan zamaana jinhein hai paas-e-vafaa ye maanaa vo munh na moDeinge bandagi se savaal saail kaa yuun na moDo javaab se us kaa dil na toDo dil-e-shikasta ko balki joDo tum apne altaaf-e-khusravi se sunaaein kyaa maajraa-e-ulfat hai ek 'aalam mein us ki shohrat tumhaare jalve hamaari vahshat hain didani se shanidani se 'ajib hai rog 'aashiqi kaa kare bhi koi to kyaa mudaavaa na 'khaar' aisaa mariz dekhaa taDap uThe dard ki kami se"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"