SHAWORDS

subh bhi apni shaam bhi apni — Hamid Allahabadi

"subh bhi apni shaam bhi apni aur mai-e-gulfaam bhi apni phuul saa naazuk dil bhi apnaa gardish-e-subh-o-shaam bhi apni vo bhi apne dard bhi apnaa aah-e-dil-e-naakaam bhi apni shikva-e-besh-o-kam kyaa kiije bazm-e-sharik-e-jaam bhi apni 'haamid' kah do ahl-e-karam se dein na salaa-e-aam bhi apni"
Urdu

صبح بھی اپنی شام بھی اپنی اور مئے گلفام بھی اپنی پھول سا نازک دل بھی اپنا گردش صبح و شام بھی اپنی وہ بھی اپنے درد بھی اپنا آہ دل ناکام بھی اپنی شکوۂ بیش و کم کیا کیجے بزم شریک جام بھی اپنی حامدؔ کہہ دو اہل کرم سے دیں نہ صلائے عام بھی اپنی

Hindi

सुब्ह भी अपनी शाम भी अपनी और मय-ए-गुलफ़ाम भी अपनी फूल सा नाज़ुक दिल भी अपना गर्दिश-ए-सुब्ह-ओ-शाम भी अपनी वो भी अपने दर्द भी अपना आह-ए-दिल-ए-नाकाम भी अपनी शिकवा-ए-बेश-ओ-कम क्या कीजे बज़्म-ए-शरीक-ए-जाम भी अपनी 'हामिद' कह दो अहल-ए-करम से दें न सला-ए-आम भी अपनी

sub.h bhī apnī shaam bhī apnī
Hamid Allahabadi
Hamid Allahabadi
Hamid Allahabadi
poet20 quotes

More by Hamid Allahabadi

View all →
Quote
"aaj ki kyaa fikr ho kyaa kal kaa andesha karein hai yahi jiinaa to is jiine pe kyaa takiya karein khaar-haa-e-raah ko pairon se kab tak raundiye taa-ba-ke khush-fahmiyon ko nazr-e-aainda karein un kaa ahd-e-hukmraani kho chukaa apnaa bharam kaavishein apni vo har har moD par kanda karein mauritius mein ahl-e-dil ki shaan-e-dildaari na puchh jaan se apnon ko maarein ghair ko zinda karein kah gae honge surur-angez lai mein kuchh se kuchh kyaa zaruri hai ki vo puuraa bhi ab vaada karein bandagi aisi bhi kyaa jis mein khulus-e-dil na ho khvaahish-e-jannat mein kyon sajdon ko aaluda karein muntazir hain jaane kab se un ke mushtaaqaan-e-did aate-jaate vo kahin mil jaaein to sajda karein un pareshaan-haal chehron ki udaasi kyaa kahun jaan-fishaani kar ke din ki shab ko jo faaqa karein khud pukaar uTThegi har chashm-e-tajassus aafrin munkashif kyunkar ham un ke raaz-e-sar-basta karein baa-faraaghat zindagi ki hai ye shart-e-avvalin ik barahman-zaad ko ham roz-o-shab sajda karein"
Hamid AllahabadiHamid Allahabadi
Quote
"kahiye achchhaa jo kisi se to buraa lagtaa hai kalma-e-khair namak-paash zaraa lagtaa hai main nahin jaantaa koi yahaan kyaa lagtaa hai jaane kyon shahr tiraa shahr miraa lagtaa hai kusht-o-khun aisaa ki shaayad na huaa hogaa kabhi dushman insaan kaa insaan huaa lagtaa hai kaun kis se hai fuzun khalq mein kis tarah khule har hunar-mand yahaan khud se sivaa lagtaa hai hosh-mand aise kahaan ke hain ye arbaab-e-nashaat ji kaa janjaal sab un kaa hi diyaa lagtaa hai taab-e-goyaai rahe yaa na rahe aaj ke baad sun lo do bol ki kuchh dard thamaa lagtaa hai aisaa bikhraa huun ki mushkil hai simaTnaa meraa mere dil mein koi kaanTaa saa chubhaa lagtaa hai jis kaa ji chaahe vo mahfil ki sataaish kar le ek parda saa nigaahon pe paDaa lagtaa hai gardish-e-paa hai ki baDhne nahin deti aage teraa 'haamid' tiri galiyon kaa gadaa lagtaa hai"
Hamid AllahabadiHamid Allahabadi
Quote
"fareb de na kahin azm-e-mustaqil meraa hujum-e-yaas se ghabraa na jaae dil meraa ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa mohabbat ne ki mere bas mein nahin hai khud aaj dil meraa mubaarak aish kaa maahaul khush-nasibon ko bahut hai mere liye dard-e-mustaqil meraa sun ai nigaah-e-mohabbat se ruThne vaale tire khayaal mein gum hai sukun-e-dil meraa mire gunaahon kaa anjaam sochne vaale ye dekh kahtaa hai kyaa ashk-e-munfail meraa do-chaar tinkon ki duniyaa ‘ajib duniyaa thi ki mutmain thaa har ik tarah jis mein dil meraa umid-e-lutf kisi aur se ho kyaa 'haamid' huaa na jab ki mohabbat mein meraa dil meraa"
Hamid AllahabadiHamid Allahabadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer