SHAWORDS

tajdid-e-rasm-o-raah-e-mulaaqaat kijiye — Anwar Sabri

HomeAnwar SabriGhazal
"tajdid-e-rasm-o-raah-e-mulaaqaat kijiye mujh se nazar milaa ke zaraa baat kijiye dair o haram mein ruuh ki taskin na ho saki ab ehtiraam-e-pir-e-kharaabaat kijiye aakhir janaab-e-shaikh hain mehmaan-e-mai-kada do-chaar jaam de ke mudaaraat kijiye guftaar-e-talkh sheva-e-vaaiz hai mai-kasho shirin dahan ki aap se kyaa baat kijiye aayaa hai koi pursish-e-ahvaal ke liye pesh aansuon ki aap bhi saughaat kijiye 'anvar' khayaal-e-dost mein likh kar koi ghazal takmil-e-tarjumaani-e-jazbaat kijiye"
Urdu

تجدید رسم و راہ ملاقات کیجیے مجھ سے نظر ملا کے ذرا بات کیجیے دیر و حرم میں روح کی تسکیں نہ ہو سکی اب احترام پیر خرابات کیجیے آخر جناب شیخ ہیں مہمان مے کدہ دو چار جام دے کے مدارات کیجیے گفتار تلخ شیوۂ واعظ ہے مے کشو شیریں دہن کی آپ سے کیا بات کیجیے آیا ہے کوئی پرسش احوال کے لیے پیش آنسوؤں کی آپ بھی سوغات کیجیے انورؔ خیال دوست میں لکھ کر کوئی غزل تکمیل ترجمانی جذبات کیجیے

Hindi

तज्दीद-ए-रस्म-ओ-राह-ए-मुलाक़ात कीजिए मुझ से नज़र मिला के ज़रा बात कीजिए दैर ओ हरम में रूह की तस्कीं न हो सकी अब एहतिराम-ए-पीर-ए-ख़राबात कीजिए आख़िर जनाब-ए-शैख़ हैं मेहमान-ए-मय-कदा दो-चार जाम दे के मुदारात कीजिए गुफ़्तार-ए-तल्ख़ शेवा-ए-वाइज़ है मय-कशो शीरीं दहन की आप से क्या बात कीजिए आया है कोई पुर्सिश-ए-अहवाल के लिए पेश आँसुओं की आप भी सौग़ात कीजिए 'अनवर' ख़याल-ए-दोस्त में लिख कर कोई ग़ज़ल तकमील-ए-तर्जुमानी-ए-जज़्बात कीजिए

tajdīd-e-rasm-o-rāh-e-mulāqāt kījiye
Anwar Sabri
Anwar Sabri
Anwar Sabri
poet56 quotes

More by Anwar Sabri

View all →
Quote
"ataa-e-gham pe bhi khush huun miri khushi kyaa hai razaa talab jo nahin hai vo bandagi kyaa hai tiri nigaah ki naqqaashi-e-hasin ke sivaa tu hi bataa miraa mafhum-e-zindagi kyaa hai sitam-shiaar jafaa-aashnaa vafaa-dushman ye nang-e-azmat-e-aadam hai aadmi kyaa hai tiraa tasavvur-e-rangin agar na ho shaamil bahaar-e-gulshan-e-imkaan mein dilkashi kyaa hai zamaana aap kaa kahtaa hai jis ko aks-e-jamil nazar uThaa ke to dekho ye chaandni kyaa hai tamaam umr qafas mein guzaar di ham ne khabar nahin ki nasheman ki zindagi kyaa hai"
Anwar SabriAnwar Sabri
Quote
"ishq mein gham ke sivaa koi khushi dekhi nahin zindagi shaayaan-e-lutf-e-zindagi dekhi nahin un khizaan-saamaan bahaaron ko bahaarein kyuun kahun kyaa kabhi main ne chaman ki dilkashi dekhi nahin uf vo aankhein marte dam tak jo rahi hain ashk-baar haae vo lab umr bhar jin par hansi dekhi nahin tak rahaa huun nazaa mein yuun un ki surat baar baar zindagi mein jaise ye surat kabhi dekhi nahin vo Dare mahshar-ba-daamaan talkhi-e-maahaul se jis ne un nazron ki shaan-e-barhami dekhi nahin baDh gayaa hai kis qadar taarikiyon kaa silsila baa-vujud-e-subh-e-raushan raushni dekhi nahin"
Anwar SabriAnwar Sabri
Quote
"na tanhaa nastarin o nastaran se ishq hai mujh ko fidaa-kaar-e-chaman huun kul chaman se ishq hai mujh ko usi ki god mein palti rahi hai zindagi meri muqaddas vaadi-e-gang-o-jaman se ishq hai mujh ko mohabbat hai azal ke din se shaamil meri fitrat mein bilaa tafriq shaikh o barhaman se ishq hai mujh ko agar chehre hon afsurda to jiine kaa mazaa kyaa hai urus-e-zindagi ke baankpan se ishq hai mujh ko samajhtaa huun use bhi ek manzil raah-e-himmat ki puraanaa halqa-e-daar-o-rasan se ishq hai mujh ko"
Anwar SabriAnwar Sabri
Quote
"lab pe kaanTon ke hai fariyaad-o-bukaa mere baad koi aayaa hi nahin aabla-paa mere baad mere dam tak hi rahaa rabt-e-nasim o rukh-e-gul nikhat-aamez nahin mauj-e-sabaa mere baad ab na vo rang-e-jabin hai na bahaar-e-aariz laala-ruyon kaa ajab haal huaa mere baad chand sukhe hue patte hain chaman mein raqsaan haae begaanagi-e-aab-o-havaa mere baad munh dhulaati nahin ghunchon kaa urus-e-shabnam gard-aalud hai kaliyon ki qabaa mere baad aadmiyyat-shikni bhi to nahin kam 'anvar' Dar hai kuchh aur na ho is ke sivaa mere baad"
Anwar SabriAnwar Sabri

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb