"sadaa aansu bahaane se kisi ko kuchh nahin miltaa ki rone giDgiDaane se kisi ko kuchh nahin miltaa kisi kaa kuchh nahin jaataa kisi se hans ke milne se aji yuun munh banaane se kisi ko kuchh nahin miltaa agar ghairat hai zinda to vasaail kijiye paidaa hamesha dum hilaane se kisi ko kuchh nahin miltaa na ho tadbir to taqdir bhi haami nahin hoti khudaa ke kaar-khaane se kisi ko kuchh nahin miltaa darakhton par inhein 'raaghib' hamesha chahchahaane do parindon ko uDaane se kisi ko kuchh nahin miltaa"
taqdir-e-vafaa kaa phuuT jaanaa — Iftikhar Raghib
"taqdir-e-vafaa kaa phuuT jaanaa main bhulaa na dil kaa TuuT jaanaa kyaa detaa rahegaa dil pe dastak ik jumla jo main ne jhuuT jaanaa ik surat utaarnaa ghazal mein lafzon kaa pasinaa chhuT jaanaa kyaa rouun tujhe ai dhyaan-darpan pal bhar mein hai tujh ko TuuT jaanaa kis darja surur-bakhsh thaa vo us kuche mein jhuT-muT jaanaa ruk jaaegaa saath dhaDkanon ke khaamoshi kaa TuT-phuT jaanaa vo aanaa kisi kaa dil mein 'raaghib' aur sabr-o-qaraar luuT jaanaa"
تقدیر وفا کا پھوٹ جانا میں بھولا نہ دل کا ٹوٹ جانا کیا دیتا رہے گا دل پہ دستک اک جملہ جو میں نے جھوٹ جانا اک صورت اتارنا غزل میں لفظوں کا پسینا چھوٹ جانا کیا روؤں تجھے اے دھیان درپن پل بھر میں ہے تجھ کو ٹوٹ جانا کس درجہ سرور بخش تھا وہ اس کوچے میں جھوٹ موٹ جانا رک جائے گا ساتھ دھڑکنوں کے خاموشی کا ٹوٹ پھوٹ جانا وہ آنا کسی کا دل میں راغبؔ اور صبر و قرار لوٹ جانا
तक़दीर-ए-वफ़ा का फूट जाना मैं भूला न दिल का टूट जाना क्या देता रहेगा दिल पे दस्तक इक जुमला जो मैं ने झूट जाना इक सूरत उतारना ग़ज़ल में लफ़्ज़ों का पसीना छूट जाना क्या रोऊँ तुझे ऐ ध्यान-दर्पण पल भर में है तुझ को टूट जाना किस दर्जा सुरूर-बख़्श था वो उस कूचे में झूट-मूट जाना रुक जाएगा साथ धड़कनों के ख़ामोशी का टूट-फूट जाना वो आना किसी का दिल में 'राग़िब' और सब्र-ओ-क़रार लूट जाना

More by Iftikhar Raghib
View all →"chashm-e-dil jis ki raah takti hai ab vo bijli kahaan chamakti hai der lagti hai jis ko jalne mein aag vo der tak dahakti hai tujh se milne ki aas ki chiDiyaa sehn-e-dil mein bahut chahakti hai dil dahaltaa hai dusri kaa bhi ek divaar jab darakti hai chhupne vaali nahin miri chaahat teri aankhon mein jo chamakti hai tishnagi meri jis se hai mansub vo suraahi kahaan chhalakti hai jaane kab vo karein vafaa dil se roz chashm-e-vafaa phaDakti hai jalne vaalon se koi kyaa puchhe kyon unhein raushni khaTakti hai aas TuuTi to saath hi 'raaghib' saans ki Dor TuuT sakti hai"
"jis ne rivaayaton ki qabaa taar-taar ki kahte hain us ne raah nai ikhtiyaar ki kar di hai us ne ab to mazaalim ki intihaa chhiD jaae ab na jang kahin aar-paar ki saa'at ko pahle 'umr se taqsim kar diyaa phir tere intizaar ki saa'at shumaar ki tu hai sukhan kaa taaj-mahal ai miri ghazal kyaa daad koi de tire naqsh-o-nigaar ki aah-o-fughaan se hilne lagi saari kaainaat khulti nahin hai aankh magar pahre-daar ki detaa nahin hai dil hi miraa saath kyaa karun main ne to bhuul jaane ki koshish hazaar ki shaamil karein use bhi asaasi huquq mein 'raaghib' har aadmi ko zarurat hai pyaar ki"
"vo kahte hain ki aankhon mein miri tasvir kis ki hai main kahtaa huun ki raushan is qadar taqdir kis ki hai vo kahte hain ki kis ne aap ko rokaa hai jaane se main kahtaa huun ki mere paanv mein zanjir kis ki hai vo kahte hain ki hai insaan to ik khaak kaa putlaa main kahtaa huun ki itni azma-o-tauqir kis ki hai vo kahte hain ki dil mein aap ne kis ko basaayaa hai main kahtaa huun ki ye duniyaa-e-dil jaagir kis ki hai vo kahte hain ki kis ne jaa-ba-jaa likhkhaa hai meraa naam main kahtaa huun shikasta is qadar tahrir kis ki hai vo kahte hain ki main ne aap saa saame nahin dekhaa main kahtaa huun ki itni pur-kashish taqrir kis ki hai vo kahte hain tire sheron mein hai shokhi qayaamat ki main kahtaa huun khayaal o fikr mein tanvir kis ki hai vo kahte hain ki ham hain dushmanaan-e-amn ke dushman main kahtaa huun ki un ke haath mein shamshir kis ki hai vo kahte hain ki 'raaghib' tum nahin rakhte khayaal apnaa main kahtaa huun ki har dam fikr daaman-gir kis ki hai"
"baais-e-iztiraab khaamoshi ik musalsal azaab khaamoshi guftugu hai abhi hama-tan-gosh kar rahi hai khitaab khaamoshi kis qadar dil kharaash hai mat puchh khaamushi kaa javaab khaamoshi saare lafzon ne saath chhoD diyaa jab hui baaryaab khaamoshi khush-bayaani kaa zoam khatm huaa kar gai laa-javaab khaamoshi ik taraf pur-kashish mire ashaar ik taraf ijtinaab khaamoshi un ke honTon pe kuchh nahin 'raaghib' ho gai be-naqaab khaamoshi"
"tark-e-taalluqaat nahin chaahtaa thaa main gham se tire najaat nahin chaahtaa thaa main kab chaahtaa thaa teri inaayat ki baarishein shaadaabi-e-hayaat nahin chaahtaa thaa mein mujh se tu ai bahisht-e-nazar yuun nazar na pher kyaa tujh ko taa-hayaat nahin chaahtaa thaa main main chaahtaa thaa tum se na jitun kabhi magar khaa jaaun khud se maat nahin chaahtaa thaa main guzri hai dil pe kaisi qayaamat main kyaa kahun nafrat ki kaaenaat nahin chaahtaa thaa main kyaa haal ab hai tere taaaqub mein ai hayaat tu yuun hi aae haat nahin chaahtaa thaa main main chaahtaa thaa raah mein kuchh mushkilein magar har har qadam pe ghaat nahin chaahtaa thaa main 'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"