"charaagh taaq-e-tilismaat mein dikhaai diyaa phir is ke baad mere haath mein dikhaai diyaa main khush huun kamre mein pahli daraaD aane se chalo main apne mazaafaat mein dikhaai diyaa kai charaagh banaa lungaa toD kar suraj agar kabhi ye mujhe raat mein dikhaai diyaa hazaar aaankhon ne ghere mein le liyaa mujh ko main ek shakhs ke khadshaat mein dikhaai diyaa ik aur ishq mujhe kah rahaa thaa aa 'ahmad' ik aur hijr miri ghaat mein dikhaai diyaa"
tere hisse ke bhi sadmaat uThaa letaa huun — Ahmad Kamran
"tere hisse ke bhi sadmaat uThaa letaa huun aa tujhe aaankhon pe ai raat uThaa letaa huun aam saa shakhs bachegaa tu agar main tere khaal-o-khad se ye tilismaat uThaa letaa huun tu ne ai ishq ye sochaa ki tiraa kyaa hogaa tere sar se main agar haath uThaa letaa huun ye agar jang-e-mohabbat hai mire yaar to phir aisaa kartaa huun ki main maat uThaa letaa huun us ke lahje mein daraaD aati hai aur main usi vaqt khvaab rakh detaa huun khadshaat uThaa letaa huun"
تیرے حصے کے بھی صدمات اٹھا لیتا ہوں آ تجھے آنکھوں پہ اے رات اٹھا لیتا ہوں عام سا شخص بچے گا تو اگر میں تیرے خال و خد سے یہ طلسمات اٹھا لیتا ہوں تو نے اے عشق یہ سوچا کہ ترا کیا ہوگا تیرے سر سے میں اگر ہاتھ اٹھا لیتا ہوں یہ اگر جنگ محبت ہے مرے یار تو پھر ایسا کرتا ہوں کہ میں مات اٹھا لیتا ہوں اس کے لہجے میں دراڑ آتی ہے اور میں اسی وقت خواب رکھ دیتا ہوں خدشات اٹھا لیتا ہوں
तेरे हिस्से के भी सदमात उठा लेता हूँ आ तुझे आँखों पे ऐ रात उठा लेता हूँ आम सा शख़्स बचेगा तू अगर मैं तेरे ख़ाल-ओ-ख़द से ये तिलिस्मात उठा लेता हूँ तू ने ऐ इश्क़ ये सोचा कि तिरा क्या होगा तेरे सर से मैं अगर हाथ उठा लेता हूँ ये अगर जंग-ए-मोहब्बत है मिरे यार तो फिर ऐसा करता हूँ कि मैं मात उठा लेता हूँ उस के लहजे में दराड़ आती है और मैं उसी वक़्त ख़्वाब रख देता हूँ ख़दशात उठा लेता हूँ

More by Ahmad Kamran
View all →"daana-e-gandum-e-bedaar uThaane lagaa huun khaak huun khaak kaa aazaar uThaane lagaa huun kurra-e-hijr se honaa hai numudaar mujhe main tire ishq kaa inkaar uThaane lagaa huun lau ne sardaar kiye rakkhaa hai shab bhar tum ko ai charaagho main ye dastaar uThaane lagaa huun ye khuli jang hai aur jang bhi hai apne khilaaf is liye apne taraf-daar uThaane lagaa huun ek aavaaz miri niind uDaa deti hai ibn-e-aadam tire aasaar uThaane lagaa huun"
"tu ziyaada mein se baahar nahin aayaa kartaa main ziyaada ko mayassar nahin aayaa kartaa main tiraa vaqt huun aur ruuTh ke jaane lagaa huun rok le yaar main jaa kar nahin aayaa kartaa ai palaT aane ki khvaahish ye zaraa dhyaan mein rakh jang se koi baraabar nahin aayaa kartaa chand peDon ko hi majnun ki duaa hoti hai sab darakhton pe to patthar nahin aayaa kartaa ab mujaavir bhi qalandar se baDe ho gae hain ab mazaaron pe kabutar nahin aayaa kartaa"
"tumhaare hijr ko kaafi nahin samajhtaa main kisi malaal ko hatmi nahin samajhtaa main ye aur baat ki aari hai dil mohabbat se ye dukh sivaa hai ki aari nahin samajhtaa main chalaa hai raat ke ham-raah chhoD kar mujh ko charaagh us ko to yaari nahin samajhtaa main main inhimaak se ik intizaar ji rahaa huun magar ye kaam zaruri nahin samajhtaa main miri vafaa hai mire munh pe haath rakkhe hue tu sochtaa hai ki kuchh bhi nahin samajhtaa main"
"khvaab yuun hi nahin hote puure jaan-o-tan lagte hain puure puure raas aaegi mohabbat us ko jis se hote nahin vaade puure chhoD aae tire hisse ke dost ham ne manzar nahin dekhe puure guftugu hosh-rubaa hai us ki us ki baatein hain sahife puure hijr aur raat taqaabul mein hain ashk puure ki sitaare puure yaad huun aadhaa saa khud ko 'ahmad' naqsh aaine mein kab the puure"
"koi mansab koi dastaar nahin chaahiye hai shaahzaadi mujhe darbaar nahin chaahiye hai aakhiri ashk se is sog ki takmil hui ab mujhe koi azaa-daar nahin chaahiye hai is takalluf se ziyaada kaa talabgaar huun main sirf ye saaya-e-divaar nahin chaahiye hai ab muqaabil mire apne hain sau ai rabb-e-jalil hausla chaahiye talvaar nahin chaahiye hai chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost lekin is mein tiraa inkaar nahin chaahiye hai aakhir aazaa ne mire saath baghaavat kar di ab qabile ko ye sardaar nahin chaahiye hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"