SHAWORDS

Tikaa ke sar mire shaane pe so rahi thi vo — Miraash

HomeMiraashGhazal
"Tikaa ke sar mire shaane pe so rahi thi vo jahaan-e-khvaab mein bedaar ho rahi thi vo pahaaDiyon ke idhar ratjagon ki basti thi pahaaDiyon ke udhar niind bo rahi thi vo main is liye thaa qabile ke jashn mein shaamil ki dushmanon ki mohabbat mein ro rahi thi vo isi gulaab ke kaanTon se khvaab laTke the isi gulaab ki patti pe so rahi thi vo mujhe pata nahin kyaa kyaa dikhaai us ko diyaa mujhe pata hai magar dekh to rahi thi vo vo ghaas moD ke panchhi banaa rahi thi aur paron mein os ke qatre piro rahi thi vo nadi mein tairti kuchh jugnuon ki laashein thiin jab apne jism ke daaghon ko dho rahi thi vo 'miraash' teri mohabbat se pahle saari 'umr badan se ek thi par man se do rahi thi vo"
Urdu

ٹکا کے سر مرے شانے پہ سو رہی تھی وہ جہان خواب میں بیدار ہو رہی تھی وہ پہاڑیوں کے ادھر رتجگوں کی بستی تھی پہاڑیوں کے ادھر نیند بو رہی تھی وہ میں اس لئے تھا قبیلے کے جشن میں شامل کہ دشمنوں کی محبت میں رو رہی تھی وہ اسی گلاب کے کانٹوں سے خواب لٹکے تھے اسی گلاب کی پتی پہ سو رہی تھی وہ مجھے پتہ نہیں کیا کیا دکھائی اس کو دیا مجھے پتہ ہے مگر دیکھ تو رہی تھی وہ وہ گھاس موڑ کے پنچھی بنا رہی تھی اور پروں میں اوس کے قطرے پرو رہی تھی وہ ندی میں تیرتی کچھ جگنوؤں کی لاشیں تھیں جب اپنے جسم کے داغوں کو دھو رہی تھی وہ مراشؔ تیری محبت سے پہلے ساری عمر بدن سے ایک تھی پر من سے دو رہی تھی وہ

Hindi

टिका के सर मिरे शाने पे सो रही थी वो जहान-ए-ख़्वाब में बेदार हो रही थी वो पहाड़ियों के इधर रतजगों की बस्ती थी पहाड़ियों के उधर नींद बो रही थी वो मैं इस लिए था क़बीले के जश्न में शामिल कि दुश्मनों की मोहब्बत में रो रही थी वो इसी गुलाब के काँटों से ख़्वाब लटके थे इसी गुलाब की पत्ती पे सो रही थी वो मुझे पता नहीं क्या क्या दिखाई उस को दिया मुझे पता है मगर देख तो रही थी वो वो घास मोड़ के पंछी बना रही थी और परों में ओस के क़तरे पिरो रही थी वो नदी में तैरती कुछ जुगनुओं की लाशें थीं जब अपने जिस्म के दाग़ों को धो रही थी वो 'मिराश' तेरी मोहब्बत से पहले सारी 'उम्र बदन से एक थी पर मन से दो रही थी वो

Tikā ke sar mire shāne pe so rahī thī vo
Miraash
Miraash
Miraash
poet27 quotes

More by Miraash

View all →
Quote
"dil nahin hai aur tiraa gham khuub hai apni jagah khaarij-ul-karbal bhi maatam khuub hai apni jagah ye pasine kaa bhi haq thaa jism par chamke tire pankhuDi par aaj shabnam khuub hai apni jagah saans aae yaa na aae hain sabhi naghma-saraa bulbulon ki naak mein dam khuub hai apni jagah 'aks ki surat har ik din husn badle hai mizaaj aur aaine saa 'aalam khuub hai apni jagah kyaa kabhi jal kar bujhi hai apne dam se koi sham' zakhm-e-'isaa-ibn-e-mariyam khuub hai apni jagah zindagi hai chaak par chaDhnaa utarnaa maut hai aadmi ki khaak mubham khuub hai apni jagah khuub hai shahr-e-sukhan mein sair ko jaataa 'miraash' aur ‘abdullaah-akram' khuub hai apni jagah"
MiraashMiraash
Quote
"nahin maa'lum kahaan aur kidhar ijaad kiyaa main ne kis vajd-e-tajaavuz mein sar ijaad kiyaa 'aalam-e-'ishq to ik zarra thaa jab ham aae us qadar bantaa gayaa jis qadar ijaad kiyaa teri khaatir tiraa dil rakhne ko main ne mire dost qatra-e-khun ko jamaayaa jigar ijaad kiyaa sang par sang ragaDne se huaa jo paidaa usi aahang ne raqs-e-sharar ijaad kiyaa sab hi sote the 'adam mein miri bedaari ne nuur paidaa kiyaa vaqt-e-sahar ijaad kiyaa ho gayaa koi to daryaaft yahaan par ik dam kisi ne khud ko magar 'umr bhar ijaad kiyaa khun-e-dil ne mire khurshid ko roghan bakhshaa us ki aankhon ki chamak ne guhar ijaad kiyaa qabl-e-aadam bhi 'ajab daur-e-unusat thaa ki jab sabhi maadaaon ne mil kar ye nar ijaad kiyaa vo tasavvur vo takhayyul vo tavahhum thaa 'miraash' jis ne ‘abdullah’ ko baar-e-digar ijaad kiyaa"
MiraashMiraash
Quote
"hosh mere uDaa na jaaein kahin aaine mein vo aa na jaaein kahin aur kitni havaas-baakhtagi ungliyaan ham chabaa na jaaein kahin kaT na jaae udaasiyon kaa tilism Dar hai vo muskuraa na jaaein kahin dil ki divaar mein tire jhonke koi khiDki banaa na jaaein kahin khud-kushi ke liye tiri baatein koi rasta sujhaa na jaaein kahin jaate jaate sharaar-paikar log meri aankhein jalaa na jaaein kahin maand kar de ye rang-afshaani titliyaan baukhlaa na jaaein kahin ye siyah-faam hasratein meri aasmaanon pe chhaa na jaaein kahin"
MiraashMiraash

More on Gul

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar