SHAWORDS

tiraa vaada thaa vaada rah gayaa hai — Iqra Afiya

HomeIqra AfiyaGhazal
"tiraa vaada thaa vaada rah gayaa hai hamaaraa sabr taktaa rah gayaa hai vahi hai dard aankhon mein abhi tak jo tujh se ishq aadhaa rah gayaa hai mire vo zakhm saare bhar gae the magar dil phir bhi TuuTaa rah gayaa hai adhure khvaab saare miT gae hain tumhaaraa naam likkhaa rah gayaa hai ravaana kab se gaaDi ho gai hai hamaaraa haath hiltaa rah gayaa hai musavvir Thiik hai tasvir saari miraa chehraa kyuun saada rah gayaa hai ghazal 'iqraa' mukammal ho chuki hai magar sar hai ki dukhtaa rah gayaa hai"
Urdu

ترا وعدہ تھا وعدہ رہ گیا ہے ہمارا صبر تکتا رہ گیا ہے وہی ہے درد آنکھوں میں ابھی تک جو تجھ سے عشق آدھا رہ گیا ہے مرے وہ زخم سارے بھر گئے تھے مگر دل پھر بھی ٹوٹا رہ گیا ہے ادھورے خواب سارے مٹ گئے ہیں تمہارا نام لکھا رہ گیا ہے روانہ کب سے گاڑی ہو گئی ہے ہمارا ہاتھ ہلتا رہ گیا ہے مصور ٹھیک ہے تصویر ساری مرا چہرا کیوں سادہ رہ گیا ہے غزل اقراؔ مکمل ہو چکی ہے مگر سر ہے کہ دکھتا رہ گیا ہے

Hindi

तिरा वा'दा था वा'दा रह गया है हमारा सब्र तकता रह गया है वही है दर्द आँखों में अभी तक जो तुझ से इश्क़ आधा रह गया है मिरे वो ज़ख़्म सारे भर गए थे मगर दिल फिर भी टूटा रह गया है अधूरे ख़्वाब सारे मिट गए हैं तुम्हारा नाम लिक्खा रह गया है रवाना कब से गाड़ी हो गई है हमारा हाथ हिलता रह गया है मुसव्विर ठीक है तस्वीर सारी मिरा चेहरा क्यूँ सादा रह गया है ग़ज़ल 'इक़रा' मुकम्मल हो चुकी है मगर सर है कि दुखता रह गया है

tirā va.ada thā va.ada rah gayā hai
I
Iqra Afiya
Iqra Afiya
poet10 quotes

More by Iqra Afiya

View all →
Quote
"hamaare zehn pe taari hai bebasi ab tak ki puuri ho nahin paai tiri kami ab tak tumhaare baad mire zakhm bharnaa duur ki baat tumhaare baad udaasi nahin gai ab tak bahut puraanaa taalluq ye un parindon se magar main samjhi nahin un ki dosti ab tak kisi ke saath ne jiine kaa hausla bakhshaa isi liye main na kar paai khud-kushi ab tak tumhaare baad kahin aur dil lagaanaa thaa tumhaare baad ye mohlat nahin mili ab tak tumhaare baad ujaale se ho gai thi chiDh hamaari aankh ko roti hai raushni ab tak ham aise log jo andar se mar chuke kab ke hamaari laash hi dharti pe hai dhari ab tak"
I
Iqra Afiya
Quote
"ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti sabhi kuchh jaanti huun is liye bhi ro nahin sakti abhi tak aankh ke har zaaviye mein hijr ke gham hain tumhaare khvaab aate hain magar mein so nahin sakti puraane peD ki Tahni huun par sarsabz huun ab tak parinde aate-jaate hain main buDhi ho nahin sakti mujhe vo sher kahne hain ki jin mein dil dhaDakte hon main naqli phuul aangan mein kabhi bhi bo nahin sakti bahaadur main banun jitni magar ye bhi hai sach 'iqraa' ki ab main mar to sakti huun pa tujh ko kho nahin sakti"
I
Iqra Afiya
Quote
"jaanaa chaaho to kis ne rokaa hai bin mire ji sakoge achchhaa hai jab se us ne kahaa khudaa-haafiz tab se sab kuchh dhuaan dhuaan saa hai aap se dhaDkanon ki raunaq hai dil mujhe aap jaisaa lagtaa hai tum nahin aae milne saavan mein baarishon kaa mizaaj phikaa hai ye to bas dil hi jaantaa hai miraa main ne kis dil se tujh ko chhoDaa hai kal huaa thaa guzar yahaan us kaa shahr kaa paani kal se miThaa hai mujh ko duniyaa samajh mein kyaa aati ek hi shakhs ko jo sochaa hai khud se banti nahin kabhi 'iqraa' jaane kis baat kaa ye jhagDaa hai"
I
Iqra Afiya
Quote
"jab khayaalon mein tumhein paas biThaaun aksar miir ke sher hon lab par unhein gaaun aksar dafn kar ke sabhi vaadon ko jahaan bichhDe the vo shajar dekhne jaati huun main gaanv aksar main gilaa kaise karun tum ne mujhe raundaa hai apne saae pe bhi aa jaataa hai paanv aksar jab tire baad tiraa hijr sataae mujh ko tujh ko main yaad karun bhuul bhi jaaun aksar kaisaa rishta hai miraa tum se mujhe ilm nahin tum agar ruTho to main khud ko manaaun aksar meraa daavaa hai tujhe chhoD diyaa hai main ne phir tiraa zikr hi kyuun sheron mein laaun aksar 'aafiya' aaina dekhaa hi nahin muddat se khud se main baad tire aankh churaaun aksar"
I
Iqra Afiya

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud