"khuddaar zindagi thi sharaafat mein jal gai taa'rif karne vaalon ki qismat badal gai jin ko ki bolne kaa saliqa nahin huaa masnad mili to baat zamaane mein chal gai ham qaafiya radif mein uljhe rahe faqat maa'ni to chhoDiye ji mukammal ghazal gai surat hasin aankhon se ojhal nahin hui didaar aisaa thaa ki tabi'at bahal gai patjhaD ko yuun bahaar mayassar hui nahin aisaa lagaa ki machhli to kaanTaa nigal gai is zindagi se koi bhi shikva nahin 'abhay' jis or thaa jhukaav usi or Dhal gai"
tumhein itnaa bataanaa chaahte hain — Avneesh Trivedi Abhay
"tumhein itnaa bataanaa chaahte hain qasam se muskuraanaa chaahte hain kaTegi dar-ba-dar ye 'umr kab tak kahin to ab Thikaanaa chaahte hain shajar mahfuz aangan kaa rakho tum parinde chahchahaanaa chaahte hain 'adaavat 'umr bhar karte rahe jo ta'alluq ab nibhaanaa chaahte hain andhere ki numaaish khuub kar ke charaaghon ko jalaanaa chaahte hain nigaahon ki pahunch se duur ab tak tumhaari zad mein aanaa chaahte hain guzaaraa vaah-vaahi se na hogaa zaraa daulat kamaanaa chaahte hain 'aqidat se jhukaayaa jaa sake sar 'abhay' vo aastaana chaahte hain"
تمہیں اتنا بتانا چاہتے ہیں قسم سے مسکرانا چاہتے ہیں کٹے گی در بدر یہ عمر کب تک کہیں تو اب ٹھکانا چاہتے ہیں شجر محفوظ آنگن کا رکھو تم پرندے چہچہانا چاہتے ہیں عداوت عمر بھر کرتے رہے جو تعلق اب نبھانا چاہتے ہیں اندھیرے کی نمائش خوب کر کے چراغوں کو جلانا چاہتے ہیں نگاہوں کی پہنچ سے دور اب تک تمہاری زد میں آنا چاہتے ہیں گزارا واہ واہی سے نہ ہوگا ذرا دولت کمانا چاہتے ہیں عقیدت سے جھکایا جا سکے سر ابھےؔ وہ آستانہ چاہتے ہیں
तुम्हें इतना बताना चाहते हैं क़सम से मुस्कुराना चाहते हैं कटेगी दर-ब-दर ये 'उम्र कब तक कहीं तो अब ठिकाना चाहते हैं शजर महफ़ूज़ आँगन का रखो तुम परिंदे चहचहाना चाहते हैं 'अदावत 'उम्र भर करते रहे जो त'अल्लुक़ अब निभाना चाहते हैं अंधेरे की नुमाइश ख़ूब कर के चराग़ों को जलाना चाहते हैं निगाहों की पहुँच से दूर अब तक तुम्हारी ज़द में आना चाहते हैं गुज़ारा वाह-वाही से न होगा ज़रा दौलत कमाना चाहते हैं 'अक़ीदत से झुकाया जा सके सर 'अभय' वो आस्ताना चाहते हैं

More by Avneesh Trivedi Abhay
View all →"mohabbat mein agar bimaar hotaa hamaaraa bhi koi haqdaar hotaa bhale ham kaam mein masruf rahte kabhi hisse mein to itvaar hotaa mujhe bhi paDh liyaa hotaa sabhi ne miraa lahja agar akhbaar hotaa mubaarakbaad dete ghair bhi gar kahaani mein tiraa kirdaar hotaa kai inkaar aae scene mein hain dikhaave ko hi ik iqraar hotaa kitaabat pe kitaabat kar rahe ho sukhanvar kaa alag me'yaar hotaa mili hoti nigaahon se nigaahein gulaabi sharm se rukhsaar hotaa hunar shaamil hai is mein baaghbaan kaa chaman yuun hi nahin gulzaar hotaa sharaafat bas kitaabon mein bachi hai adab kaa bhi 'abhay' baazaar hotaa"
"ham zindagi ko yuun hi guzaare chale gae naakaamiyon mein dost bhi saare chale gae tanhaaiyaan safar mein musalsal bani rahin phir bhi tumhaaraa naam pukaare chale gae be-shak hamaare kaam ki qimat nahin mili bas aasmaan zamin pe utaare chale gae tum qaafiya radif ke maa'ni bane rahe ham kaaghazon pe dard ubhaare chale gae ham vo nahin faqir jo khairaat maangte qismat ki baat vaqt ke maare chale gae aangan kaa peD ghar ki taraqqi mein kaT gayaa pakshi nahin 'abhay' to sahaare chale gae"
"talkhi hui to lab pe taraavaT nahin rahi chehre pe bhole-pan ki banaavaT nahin rahi jab 'aashiqi kaa baagh ye viraan ho gayaa to dar pe pahle jaisi sajaavaT nahin rahi mazmun jab se aap ke khat kaa badal gayaa vaisi hasin tab se likhaavaT nahin rahi khiDki ke apni us ne bhi parde giraa liye mere bhi raaste ki rukaavaT nahin rahi zinat nae makaan ki jab se vo ban gae qimat mein un ki tab se giraavaT nahin rahi haalaat zindagi mein mire aise ho gae jis mein mile usi se milaavaT nahin rahi jab tak thaa narm sirf sabhi toDte rahe patthar huaa ye dil to ghisaavaT nahin rahi majburiyon se haath milaate 'abhay' rahe thaknaa alag hai baat thakaavaT nahin rahi"
"tiir chaDhte kamaan dekhe hain jaane kitne gumaan dekhe hain mushkilein badliyon ke jaisi hain ham ne to aasmaan dekhe hain ghar banaane mein 'umr lagti hai ghar mein bante makaan dekhe hain tum jise paas kar nahin sakte ham ne vo imtihaan dekhe hain shohratein 'umr bhar nahin rahtin zindagi ke Dhalaan dekhe hain jo taraqqi mein saath rahte hain aise bhi mehrbaan dekhe hain khaTkhaTaayaa gayaa hai dar itnaa dastakon ke nishaan dekhe hain faaede ko 'abhay' siyaasat mein un ke badle bayaan dekhe hain"
"nae dar se 'aqidat ho gai hai unhein phir se mohabbat ho gai hai haqiqat ko fasaana kar diyaa hai farebi ab sadaaqat ho gai hai na aankhon mein rahaa paani hayaa kaa adab tahzib rukhsat ho gai hai chalaa jaanaa tiraa achchhaa huaa hai tumhaare gham se fursat ho gai hai tamaasha dekhnaa jachtaa nahin thaa magar ab is ki 'aadat ho gai hai maze se zindagi kaTti thi lekin ta'alluq mein siyaasat ho gai hai jinhein ungli pakaD chalnaa sikhaayaa unhein mujh se 'adaavat ho gai hai bharosa yuun nahin karnaa kisi pe dikhaave ki sharaafat ho gai hai 'abhay' ke chaahne vaale bahut the ghazal kah di to aafat ho gai hai"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"