"ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayaar huun lekin jahaan-jahaan huun main divaana-vaar huun is ke sivaa ba-vaqt-e-du'aa kuchh na kah sakaa main bhi to aakhir ai mire parvardigaar huun teri 'ataa hai aarzu-e-rozgaar-e-gham meri khataa hai said-e-gham-e-rozgaar huun us ki talaash hai to mujhe dekh lijiye main us ki aazmaaishon kaa ishtihaar huun zanjir huun to uljhi hui apne aap se main tiir huun to apne hi siine ke paar huun main khaar thaa to apne hi andar gaDaa huaa aazaar thaa to aaj talak barqaraar huun khaamoshi thi to ab bhi vahi hai miraa mizaaj gham-koshi thi to ab bhi usi kaa shikaar huun gham ke liye kuchh aur khushi ke liye kuchh aur jaa-e-panaah huun kahin raah-e-faraar huun yaa'ni 'uruj hi mein nihaan hai miraa zavaal pahle main dil-gudaaz thaa ab dil-figaar huun tu kaun hai tu vajh hai mere vujud ki main kaun huun main aarzuon kaa mazaar huun qaaem rahein vo jin ki badaulat hai ye madaar daaim rahein vo jin kaa main daar-o-madaar huun"
TuTne par koi aae to phir aisaa TuuTe — Jawad Sheikh
"TuTne par koi aae to phir aisaa TuuTe ki jise dekh ke har dekhne vaalaa TuuTe tu use kis ke bharose pe nahin kaat rahi?? charkh ko dekhne vaali!! tiraa charkha TuuTe apne bikhre hue TukDon ko sameTe kab tak?? ek insaan ki khaatir koi kitnaa TuuTe koi TukDaa tiri aankhon mein na chubh jaae kahin duur ho jaa ki mire khvaab kaa shisha TuuTe main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aae main kisi aur ko dekhun to ye nashsha TuuTe ranj hotaa hai to aisaa ki bataae na bane jab kisi apne ke baais koi apnaa TuuTe paas baiThe hue yaaron ko khabar tak na hui ham kisi baat pe is darja anokhaa TuuTe itni jaldi to sambhalne ki tavaqqo na karo!! vaqt hi kitnaa huaa hai miraa sapnaa TuuTe daad ki bhiik na maang!! ai mire achchhe shaaer!! jaa tujhe meri duaa hai tiraa kaasa TuuTe varna kab tak liye phirtaa rahun us ko 'javvaad' koi surat ho ki ummid se rishta TuuTe"
ٹوٹنے پر کوئی آئے تو پھر ایسا ٹوٹے کہ جسے دیکھ کے ہر دیکھنے والا ٹوٹے تو اسے کس کے بھروسے پہ نہیں کات رہی؟؟ چرخ کو دیکھنے والی!! ترا چرخہ ٹوٹے اپنے بکھرے ہوئے ٹکڑوں کو سمیٹے کب تک؟؟ ایک انسان کی خاطر کوئی کتنا ٹوٹے کوئی ٹکڑا تری آنکھوں میں نہ چبھ جائے کہیں دور ہو جا کہ مرے خواب کا شیشہ ٹوٹے میں کسی اور کو سوچوں تو مجھے ہوش آئے میں کسی اور کو دیکھوں تو یہ نشہ ٹوٹے رنج ہوتا ہے تو ایسا کہ بتائے نہ بنے جب کسی اپنے کے باعث کوئی اپنا ٹوٹے پاس بیٹھے ہوئے یاروں کو خبر تک نہ ہوئی ہم کسی بات پہ اس درجہ انوکھا ٹوٹے اتنی جلدی تو سنبھلنے کی توقع نہ کرو!! وقت ہی کتنا ہوا ہے مرا سپنا ٹوٹے داد کی بھیک نہ مانگ!! اے مرے اچھے شاعر!! جا تجھے میری دعا ہے ترا کاسہ ٹوٹے ورنہ کب تک لیے پھرتا رہوں اس کو جوادؔ کوئی صورت ہو کہ امید سے رشتہ ٹوٹے
टूटने पर कोई आए तो फिर ऐसा टूटे कि जिसे देख के हर देखने वाला टूटे तू उसे किस के भरोसे पे नहीं कात रही?? चर्ख़ को देखने वाली!! तिरा चर्ख़ा टूटे अपने बिखरे हुए टुकड़ों को समेटे कब तक?? एक इंसान की ख़ातिर कोई कितना टूटे कोई टुकड़ा तिरी आँखों में न चुभ जाए कहीं दूर हो जा कि मिरे ख़्वाब का शीशा टूटे मैं किसी और को सोचूँ तो मुझे होश आए मैं किसी और को देखूँ तो ये नश्शा टूटे रंज होता है तो ऐसा कि बताए न बने जब किसी अपने के बाइ'स कोई अपना टूटे पास बैठे हुए यारों को ख़बर तक न हुई हम किसी बात पे इस दर्जा अनोखा टूटे इतनी जल्दी तो सँभलने की तवक़्क़ो' न करो!! वक़्त ही कितना हुआ है मिरा सपना टूटे दाद की भीक न माँग!! ऐ मिरे अच्छे शाएर!! जा तुझे मेरी दुआ है तिरा कासा टूटे वर्ना कब तक लिए फिरता रहूँ उस को 'जव्वाद' कोई सूरत हो कि उम्मीद से रिश्ता टूटे

More by Jawad Sheikh
View all →"hijr ki raah kisi ke liye aasaan nahin man' kartaa huun to ho jaayaa karo jaan nahin ab main chup-chaap yahi dekh rahaa hotaa huun kaun is bazm mein kis baat pe hairaan nahin us ko chhoDaa hai bahut soch samajh kar main ne so pareshaan to rahtaa huun pashemaan nahin shaayad achchhaa hi kiyaa an-suni kar ke us ne baat saada to bahut thi magar aasaan nahin kaam to aur bhi karne ko bahut hain lekin she'r-goi ke 'alaava mire shaayaan nahin aakhiri din hain mahine ke tujhe kyaa maa'lum tu samajhtaa hai ki ik teri taraf dhyaan nahin ham yahaan aur hi kuchh soch ke aae the magar is kharaabe mein zarurat kaa bhi saamaan nahin shai to achchhi hai miyaana-ravi lekin 'javvaad' us mein kyaa naf' hai jis mein koi nuqsaan nahin"
"hotaa hai miTne hi ke liye har lagaa huaa lekin vo ek daagh na lag kar lagaa huaa dil baiTh baiTh jaataa hai aaina dekh kar jaane ye kaisaa rog hai bhitar lagaa huaa aise hi baat baat pe rotaa nahin huun main ik zakhm hai kahin mire andar lagaa huaa andar bichhaa huaa hai koi jaal aur hi daam aur hai dukaan ke baahar lagaa huaa Dartaa bhi huun ki ho hi na jaae kahin vo kaam ik 'umr se huun jis mein baraabar lagaa huaa hotaa nahin javaan laDakpan ke baa'd bhi lagtaa nahin gharib kaa number lagaa huaa vo ittifaaq se miraa mahbub hai to kyaa jachtaa hai ek shakhs hi afsar lagaa huaa 'javvaad' zindagi ki tarah thi koi saDak donon taraf qataar mein kikar lagaa huaa"
"vo mire saath na chal paaegaa us ke chalne se pata chaltaa hai aise chaltaa hai tire hijr mein vaqt jaise ik aabla-paa chaltaa hai tere sikke hi mein hogaa koi khoT bhaai apnaa to baDaa chaltaa hai"
"bas ik nigaah mein qissa tamaam hotaa hai to kyaa ye vaaqa'i itnaa saa kaam hotaa hai kisi ke sard ravayye pe khaamushi kaa lihaaf ye intiqaam bhi kyaa intiqaam hotaa hai kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam halaal hote hue bhi haraam hotaa hai firaaq-e-yaar se kyaa kyaa umiid thi lekin ye ranj bhi koi do-chaar gaam hotaa hai asiir asiir hi hotaa hai qaid koi bhi ho kisi bhi shakl mein ho daam daam hotaa hai shu'ur jis mein na ho us mein shaa'iri kyaa ho jo khush-badan ho vahi khush-khiraam hotaa hai vo shakhs yuun to kisi kaam kaa nahin lekin sunaa hai us ke yahaan intizaam hotaa hai kabhi kabhi baDi mushkil mein Daal dete hain vo jin kaa dil mein bahut ehtiraam hotaa hai khaDaa huun kitne hi rishton ko thaam kar 'javvaad' aur aise mein jo miraa inhidaam hotaa hai"
"sanbhal nahin gai hazrat durust ho gai hai bigaD ke aur bhi haalat durust ho gai hai 'ajib baat suni hai khudaa mu'aaf kare ki aan-janaab ki sohbat durust ho gai hai kharaab shai huaa karti thi koi din pahle tujhe mili hai to shohrat durust ho gai hai na-jaane kaun mukhaatib hai in dinon mujh se koi bhi ho miri luknat durust ho gai hai ghalat to khair mohabbat mein aur kyaa hotaa magar ye hai ki tabi'at durust ho gai hai abhi gayaa hai mujhe koste hue koi ki us taiin miri niyyat durust ho gai hai khulaa ki us se bichhaDne ki der thi 'javvaad' miri ik aur bhi 'aadat durust ho gai hai"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"