"ai asir-e-yaas kasrat ki hai tujh ko ehtiyaaj khubsurat auraton kaa qurb hai teraa 'ilaaj kaisi mushkil mein hai duniyaa-daar insaan kyaa kare ik taraf khvaahish ki shiddat ik taraf hai lok laaj dosto is haal mein jiinaa paDegaa kab talak zehn-o-dil par ek muddat se hai maayusi kaa raaj ham to us ko maante hain jaante hain us ko mard jo ki dushman se bhi le tausif-o-tahsin kaa khiraaj 'krishn-mohan' hiddat-e-gham se phunkaa hai tan-badan aur mere haal par hanstaa hai ye zaalim samaaj"
umr baDhti jaa rahi hai ziist ghaTti jaae hai — Krishna Mohan
"umr baDhti jaa rahi hai ziist ghaTti jaae hai jism ki khushbu ki khvaahish duur haTti jaae hai soch mein bhi ab nahin pahlaa saa tevar aur loch shauq ki divaar gard-e-gham se uThti jaae hai be-maza hone lagi hai zindagi baad-e-shabaab raat abhi baaqi hai lekin niind uchaTti jaae hai aa rahi hai sukh milan ki champai ujli sahar dukh ki ye bechain andheri rain kaTti jaae hai yaas ke hassaas lamhon mein bhi hai kitnaa surur shaahida ummid ki mujh se lipaTti jaae hai kaam ki ifraat mein daftar ke hangaamon mein bhi teri yaad aae tavajjoh meri baTti jaae hai hai badan chuur aur komal kis qadar chit-chor shaam jaise sharmili dulhan khud mein simaTti jaae hai hai vo chanchal kaamani mahbub saare shahr ko dekh kar jis ko nazar meri palaTti jaae hai baab-e-hasrat daastaan-e-shauq tasvir-e-umid lamha lamha zindagi auraaq ulaTti jaae hai jaag uThi hai jiv-jyoti aas aur vishvaas ki 'krishn-mohan' kaalimaa dubidhaa ki chhaTti jaae hai"
عمر بڑھتی جا رہی ہے زیست گھٹتی جائے ہے جسم کی خوشبو کی خواہش دور ہٹتی جائے ہے سوچ میں بھی اب نہیں پہلا سا تیور اور لوچ شوق کی دیوار گرد غم سے اٹھتی جائے ہے بے مزہ ہونے لگی ہے زندگی بعد شباب رات ابھی باقی ہے لیکن نیند اچٹتی جائے ہے آ رہی ہے سکھ ملن کی چمپئی اجلی سحر دکھ کی یہ بے چین اندھیری رین کٹتی جائے ہے یاس کے حساس لمحوں میں بھی ہے کتنا سرور شاہدہ امید کی مجھ سے لپٹتی جائے ہے کام کی افراط میں دفتر کے ہنگاموں میں بھی تیری یاد آئے توجہ میری بٹتی جائے ہے ہے بدن چور اور کومل کس قدر چت چور شام جیسے شرمیلی دلہن خود میں سمٹتی جائے ہے ہے وہ چنچل کامنی محبوب سارے شہر کو دیکھ کر جس کو نظر میری پلٹتی جائے ہے باب حسرت داستان شوق تصویر امید لمحہ لمحہ زندگی اوراق الٹتی جائے ہے جاگ اٹھی ہے جیو جیوتی آس اور وشواس کی کرشن موہنؔ کالما دبدھا کی چھٹتی جائے ہے
उम्र बढ़ती जा रही है ज़ीस्त घटती जाए है जिस्म की ख़ुश्बू की ख़्वाहिश दूर हटती जाए है सोच में भी अब नहीं पहला सा तेवर और लोच शौक़ की दीवार गर्द-ए-ग़म से उठती जाए है बे-मज़ा होने लगी है ज़िंदगी बा'द-ए-शबाब रात अभी बाक़ी है लेकिन नींद उचटती जाए है आ रही है सुख मिलन की चम्पई उजली सहर दुख की ये बेचैन अँधेरी रैन कटती जाए है यास के हस्सास लम्हों में भी है कितना सुरूर शाहिदा उम्मीद की मुझ से लिपटती जाए है काम की इफ़रात में दफ़्तर के हंगामों में भी तेरी याद आए तवज्जोह मेरी बटती जाए है है बदन चूर और कोमल किस क़दर चित-चोर शाम जैसे शर्मीली दुल्हन ख़ुद में सिमटती जाए है है वो चंचल कामनी महबूब सारे शहर को देख कर जिस को नज़र मेरी पलटती जाए है बाब-ए-हसरत दास्तान-ए-शौक़ तस्वीर-ए-उमीद लम्हा लम्हा ज़िंदगी औराक़ उलटती जाए है जाग उठी है जीव-ज्योति आस और विश्वास की 'कृष्ण-मोहन' कालिमा दुबिधा की छटती जाए है

More by Krishna Mohan
View all →"yaas-o-gham mein ai milan ki aas ke aansu chamak 'aql ki zulmat mein ai ehsaas ke jugnu chamak dil rahin-e-yaas hai mahsus hoti hain udaas chaandni shokhi hayaa shabnam adaa khushbu chamak phiki phiki be-maza be-nur si hai zindagi 'aql ki shokhi damak ai husn ke jaadu chamak apni chanchaltaa se mere pyaar ko chamkaa gai tere albele nashile ruup ki dil-ju chamak haar kar tadbir ne taqdir se kah hi diyaa maan bhi jaa main to chamki huun bahut ab tu chamak zindagi mein ho kabhi to koi hangaama bapaa jazba-e-aavaara-o-shokh-e-dil-e-yaksu chamak aise chamkaataa hai qalb-e-zaar ko teraa khayaal jaise dasht-e-tira ko de dida-e-aahu chamak chirnaa hai be-hisi ki gahri zulmat ko tujhe aur abhi is taur se ai dashna-e-abru chamak tere tevar zevar-e-ehsaas hain almaas hain yaad ke kohre mein soz-o-kaavish-e-pahlu chamak ai fusun-e-raaz jalvat-saaz ai khalvat-navaaz pyaar ki aavaaz paa-e-naaz ke ghunghru chamak 'krishn-mohan' ke dukhi man par andheraa chhaa gayaa ruup ki dhuup ai birah ke dard ki daaru chamak"
"milaa ek guuna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye zaraa baar-e-qalb subuk huaa kai daagh dard ke dho liye ho nashaat-e-dil ki malaal-e-dil hamein pesh karnaa jamaal-e-dil kabhi hans ke phuul khilaa liye kabhi roke moti piro liye hai rahin gham miri justuju ye hai kaisaa gulshan-e-rang-o-bu yahaan kuchh gulo ki talaash mein kai khaar main ne chubho liye kai umr dauDte-bhaagte rahe yuun to shab ko bhi jaagte kabhi thak gae to Thahar gae kabhi niind aai to so liye sabhi log mast-e-shuur hain ki khudi ke nashshe mein chuur hain koi gham-shanaas nahin yahaan gham-e-dil kisi pe na kholiye ye unhin kaa nuur hai jis mein ham chale hausle se qadam qadam jo sarishk gham ke bahaa liye jo diye vafaa ke sanjo liye"
"maddham ho gae apne sapne be-dam ho gaiin apni talaashein viraan dil mein dafn hain kitni rangin ummidon ki laashein paiham apne ashk bahe hain dil ne kyaa kyaa jaur sahe hain aafaat-e-naagaah ke charke logon ke taa’non ki kharaashein har jaa zikr miri nikhat kaa har jaa mahrumi kaa charchaa duniyaa mein badnaam hui hain qismat se meri parkhaashein husn kaa josh na 'ishq ki garmi mahv hue saare hangaame be-jaan murda sard fasurda ziist ke lamhe barf ki qaashein kis ne meri biptaa rad ki kis ne meraa haath haTaayaa ab kyon sab apne begaane taa'ne dein ilzaam taraashein"
"dui kaa naqsh fanaa ho to lutf aa jaae anaa mein rang-e-ghinaa ho to lutf aa jaae hamaare jazb-e-darun ke liye dil-e-dauraan tamaam madh-o-sanaa ho to lutf aa jaae umang sang rahe zindagi mein rang rahe zamaana dost banaa ho to lutf aa jaae shab-e-visaal ba-roab-e-jamaal kaafir kaa anaa mein siina tanaa ho to lutf aa jaae milan ki shaam badan jaam kaam-ras ho tamaam vo ruuTh kar jo manaa ho to lutf aa jaae ghurur-e-husn mire shoK-e-fitna-saamaan kaa fanaa na ho jo fanaa ho to lutf aa jaae kaDaa safar hai kaDi dhuup hai umangon ki kahin jo saaya ghanaa ho to lutf aa jaae kisi bhi desh mein dharti ne ranj-o-gham sah kar jo koi viir janaa ho to lutf aa jaae khirad kaa ghor andheraa hai man ki chilman mein junun kaa nuur chhanaa ho to lutf aa jaae junun-taraaz koi sher 'krishn' mohan kaa fusun-e-raaz banaa ho to lutf aa jaae"
"hayaat ik silsila hai aashufta-jaaniyon kaa milaa mujhe khuub ye sila jaan-fishaaniyon kaa fareb-deh hai junun baqaa ki nishaaniyon kaa ye ‘aalam-e-aab-o-gil hai ijlaas faaniyon kaa nigaah-afroz kaif-andoz-o-‘aish-aamoz hai ek sail-e-nashaat uThti javaaniyon kaa junun-e-shaa'ir shu'ur-e-'aalim riyaaz-e-‘aabid hai sab ko andaaz apni apni ravaaniyon kaa bashar ke dil mein falak ki nilaahaTon ki aahaT zamin ki halchal fusun samundar ke paaniyon kaa mujhe ye Dar hai kahin na ho shahr-shahr charchaa tiri jafaa ki miri vafaa ki kahaaniyon kaa ye aadmi aadmi ke biich unch-nich yaarab banaa hai ye tafraqa tamaashaa jahaaniyon kaa visaal mein ham the itne madhosh jaante kyaa ki soz-e-hirmaan hai maa-hasal shaadmaaniyon kaa hayaat aur maut hain tiri dilbari ke ghamze tamaashaa-gah hai jahaan tiri dil-sitaaniyon kaa ye garm aansu ye sard aahein hazin nigaahein khayaal rakhnaa miri vafaa ki nishaaniyon kaa vo kaise mere dil-e-shikasta kaa dard jaanein hujum hai jin ki zindagi kaamraaniyon kaa kahaan hai chaahat ki dilkash-o-dil-navaaz ranjish hai tazkira har jagah tiri mehrbaaniyon kaa udaas hairaan shabaab meraa hadaf rahaa hai tumhaari raaton ki dil-shikan sargiraaniyon kaa vo shor uThaa laa-shu’ur ki nannhi bastiyon mein ghurur TuuTaa shu'ur ki raajdhaaniyon kaa panaah deti hai paap ko kyon vishaal dharti vichaar aisaa samajh kaa hai pher gyaaniyon kaa ye kaisi biptaa paDi hai sansaar par ki ai dil na dhiir qaaem na dhyaan baaqi hai dhyaaniyon kaa main us pe shaidaa huaa huun muddat se 'krishn-mohan' jo dil mein ras gholtaa hai shirin-bayaaniyon kaa jadid raahon kaa shokh raahi hai 'krishn-mohan' vo ham-navaa hai nae tamaddun ke baaniyon kaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"