SHAWORDS

us ko jin aankhon se duniyaa dikhti hai — Gaurav Trivedi

HomeGaurav TrivediGhazal
"us ko jin aankhon se duniyaa dikhti hai main ne un aankhon mein duniyaa dekhi hai jis ko meraa haath pakaDnaa chaahiye thaa vo meri ik ghalati pakDe baiThi hai aankh se nikli tab mujh ko maa'lum huaa khvaab ki arthi paani jaisi hoti hai san navve mein vo duniyaa mein aai thi san navve se shaam ye bahki bahki hai vo kahti thi mar jaaegi mere bin koi to batlaao ab vo kaisi hai"
Urdu

اس کو جن آنکھوں سے دنیا دکھتی ہے میں نے ان آنکھوں میں دنیا دیکھی ہے جس کو میرا ہاتھ پکڑنا چاہیئے تھا وہ میری اک غلطی پکڑے بیٹھی ہے آنکھ سے نکلی تب مجھ کو معلوم ہوا خواب کی ارتھی پانی جیسی ہوتی ہے سن نوے میں وہ دنیا میں آئی تھی سن نوے سے شام یہ بہکی بہکی ہے وہ کہتی تھی مر جائے گی میرے بن کوئی تو بتلاؤ اب وہ کیسی ہے

Hindi

उस को जिन आँखों से दुनिया दिखती है मैं ने उन आँखों में दुनिया देखी है जिस को मेरा हाथ पकड़ना चाहिए था वो मेरी इक ग़लती पकड़े बैठी है आँख से निकली तब मुझ को मा'लूम हुआ ख़्वाब की अर्थी पानी जैसी होती है सन नव्वे में वो दुनिया में आई थी सन नव्वे से शाम ये बहकी बहकी है वो कहती थी मर जाएगी मेरे बिन कोई तो बतलाओ अब वो कैसी है

us ko jin āñkhoñ se duniyā dikhtī hai
Gaurav Trivedi
Gaurav Trivedi
Gaurav Trivedi
poet16 quotes

More by Gaurav Trivedi

View all →
Quote
"toD di saare jahaan se dosti achchhaa kiyaa aur khud se bhi koi khvaahish na ki achchhaa kiyaa ik qasam jo rok sakti thi hamaari rukhsati khair tum ne vo qasam ham ko na di achchhaa kiyaa lauTtaa to dekhtaa kuchh aur pairon ke nishaan par na lauTaa main kabhi us ki gali achchhaa kiyaa logon kaa bartaav to thaa hi bahut bekaar par khud se main ne kaun saa khud bhi kabhi achchhaa kiyaa ab to jhuTe munh bhi tum kahte nahin ho pyaar hai tum ne aakhir chhoD hi di dil-lagi achchhaa kiyaa"
Gaurav TrivediGaurav Trivedi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb