SHAWORDS

us ne haal-e-dil-e-naashaad na dekhaa na sunaa — Faheemuddin Ahmad Faheem

"us ne haal-e-dil-e-naashaad na dekhaa na sunaa aisaa zaalim sitam-ijaad na dekhaa na sunaa bol uThe dekh ke vo khaana-e-viraan meraa koi aisaa to gham-aabaad na dekhaa na sunaa tere bismil ko taDapne ki ijaazat bhi nahin main ne tujh saa koi jallaad na dekhaa na sunaa aap kaa bhi hai ajab haal ghalat kah uTThe aap ne qissa-e-farhaad na dekhaa na sunaa main jahaan jaataa huun naaseh bhi pahunchtaa hai vahin is tarah kaa koi ham-zaad na dekhaa na sunaa mausam-e-gul mein chhuDaayaa hai chaman bulbul se zulm is tarah kaa sayyaad na dekhaa na sunaa be-gunaa laakhon hi maqtal mein hue haae shahid tu ne kuchh baani-e-be-daad na dekhaa na sunaa jhuuT sach jo tiraa ji chaahe kahe jaa vaaiz main ne haal-e-adam-aabaad na dekhaa na sunaa khaana-e-dil miraa viraan hai jaisaa aisaa dusraa khaana-e-barbaad na dekhaa na sunaa main to andhaa thaa mohabbat mein kisi ki lekin tu ne bhi ai dil-e-naashaad na dekhaa na sunaa haal-e-dil us ko sunaayaa hai 'fahim' aakhir-kaar main ne tujh saa koi ustaad na dekhaa na sunaa"
Urdu

اس نے حال دل ناشاد نہ دیکھا نہ سنا ایسا ظالم ستم ایجاد نہ دیکھا نہ سنا بول اٹھے دیکھ کے وہ خانۂ ویراں میرا کوئی ایسا تو غم آباد نہ دیکھا نہ سنا تیرے بسمل کو تڑپنے کی اجازت بھی نہیں میں نے تجھ سا کوئی جلاد نہ دیکھا نہ سنا آپ کا بھی ہے عجب حال غلط کہہ اٹھے آپ نے قصۂ فرہاد نہ دیکھا نہ سنا میں جہاں جاتا ہوں ناصح بھی پہنچتا ہے وہیں اس طرح کا کوئی ہم زاد نہ دیکھا نہ سنا موسم گل میں چھڑایا ہے چمن بلبل سے ظلم اس طرح کا صیاد نہ دیکھا نہ سنا بے گنا لاکھوں ہی مقتل میں ہوئے ہائے شہید تو نے کچھ بانیٔ بیداد نہ دیکھا نہ سنا جھوٹ سچ جو ترا جی چاہے کہے جا واعظ میں نے حال عدم آباد نہ دیکھا نہ سنا خانۂ دل مرا ویران ہے جیسا ایسا دوسرا خانۂ برباد نہ دیکھا نہ سنا میں تو اندھا تھا محبت میں کسی کی لیکن تو نے بھی اے دل ناشاد نہ دیکھا نہ سنا حال دل اس کو سنایا ہے فہیمؔ آخر کار میں نے تجھ سا کوئی استاد نہ دیکھا نہ سنا

Hindi

उस ने हाल-ए-दिल-ए-नाशाद न देखा न सुना ऐसा ज़ालिम सितम-ईजाद न देखा न सुना बोल उठे देख के वो ख़ाना-ए-वीराँ मेरा कोई ऐसा तो ग़म-आबाद न देखा न सुना तेरे बिस्मिल को तड़पने की इजाज़त भी नहीं मैं ने तुझ सा कोई जल्लाद न देखा न सुना आप का भी है अजब हाल ग़लत कह उट्ठे आप ने क़िस्सा-ए-फ़रहाद न देखा न सुना मैं जहाँ जाता हूँ नासेह भी पहुँचता है वहीं इस तरह का कोई हम-ज़ाद न देखा न सुना मौसम-ए-गुल में छुड़ाया है चमन बुलबुल से ज़ुल्म इस तरह का सय्याद न देखा न सुना बे-गुना लाखों ही मक़्तल में हुए हाए शहीद तू ने कुछ बानी-ए-बे-दाद न देखा न सुना झूट सच जो तिरा जी चाहे कहे जा वाइज़ मैं ने हाल-ए-अदम-आबाद न देखा न सुना ख़ाना-ए-दिल मिरा वीरान है जैसा ऐसा दूसरा ख़ाना-ए-बर्बाद न देखा न सुना मैं तो अंधा था मोहब्बत में किसी की लेकिन तू ने भी ऐ दिल-ए-नाशाद न देखा न सुना हाल-ए-दिल उस को सुनाया है 'फहीम' आख़िर-कार मैं ने तुझ सा कोई उस्ताद न देखा न सुना

us ne hāl-e-dil-e-nāshād na dekhā na sunā
Faheemuddin Ahmad Faheem
Faheemuddin Ahmad Faheem
Faheemuddin Ahmad Faheem
poet13 quotes

More by Faheemuddin Ahmad Faheem

View all →
Quote
"duniyaa mein koi tujh saa bashar ho nahin saktaa yuun koi kahe laakh magar ho nahin saktaa jo kaam hai dil kaa vo jigar kar nahin saktaa ye dard idhar kaa hai udhar ho nahin saktaa kyaa baiThe hain bekaar ab uThiye bhi yahaan se aghyaar kaa ghar aap kaa ghar ho nahin saktaa ai qalb zaraa tu hi kashish apni dikhaa de naalon mein hamaare to asar ho nahin saktaa vo dekh chuke khuub saa jab nakhl-e-mohabbat kahne lage is mein to samar ho nahin saktaa maujud har ik jaa hai vo ai naaseh-e-naa-fahm kaa'ba hi ik allaah kaa ghar ho nahin saktaa duniyaa mein hasin laakh hon lekin mujhe kyaa kaam ye dil ab idhar se to udhar ho nahin saktaa duniyaa mein hasin laakh hon lekin mujhe kyaa kaam ye dil ab idhar se to udhar ho nahin saktaa aansu ki jhaDi tu hi lagaa de vo na jaanein kuchh tujh se to ai dida-e-tar ho nahin saktaa jo chaaho kaho ghair ki taa'rif mein lekin ye siina ye dil aur ye jigar ho nahin saktaa haq ye hai ki us aariz-e-pur-nur ke aage sarsabz kabhi bhi gul-e-tar ho nahin saktaa ai baad-e-sahar hukm jo us kaa na ho tujh se tinkaa bhi idhar se to udhar ho nahin saktaa allaah musibat se shab-e-gham ki bachaae insaan kaa patthar kaa jigar ho nahin saktaa be-faaeda ghairon se ulajhte hain 'fahim' aap is se to koi un kaa zarar ho nahin saktaa"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem
Quote
"main kahun kyaa unhein yaqin hi nahin vo kahe jaate hain nahin hi nahin yaa koi aashiq is jahaan mein nahin yaa koi aap saa hasin hi nahin aap be-mehr bhi hain zaalim bhi mujh se suniye faqat hasin hi nahin dekhegaa jaaegaa jo jannat mein aish zaahid hamein yahin hi nahin jis pe kanda ho naqsh ulfat kaa dil se behtar koi nagin hi nahin aur kuchh kahiye is samajh pe unhein shaikh saahab ko aafrin hi nahin dasht-e-vahshat maze dikhaa detaa kyaa kahein jeb-o-aastin hi nahin yaa tiraa sang-e-dar nahin zaalim yaa miri aaj ye jabin hi nahin khud use ai 'fahim' kah dekho gar miri baat kaa yaqin hi nahin"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem
Quote
"sau bulandi bhi jo ho pasti hai apni hasti bhi koi hasti hai daaman-e-sabr na haathon se chhuTe ik tarah ki ye tahi-dasti hai ghair to ghair hain ab aavaaze mujh pa meri hi fughaan kasti hai ham nahin bechte dil phir kyaa hai is mein kuchh zor-zabardasti hai ghair sarshaar-e-mai-e-nakhvat hai us ko masti nahin bad-masti hai laakhon hain bechne vaale le lo jins-e-dil ab to bahut sasti hai us ke sar chaDh ke na utraa ai zulf har bulandi ke liye pasti hai jin ko haasil hai tavakkul un ko faaqa-masti mein bhi ik masti hai dil kaa kaanTaa to nikaalein aa kar jin ko daavaa-e-subuk-dasti hai ik nigah jins-e-vafaa ki qimat unhein mahngi hai hamein sasti hai tujh pe miTnaa hai hayaat-e-abadi nisti hi se miri hasti hai dil ke jaane pe main rotaa huun 'fahim' mujh pe ik khalq-e-khudaa hansti hai"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem
Quote
"jaur kis kaa hai sitam kis kaa hai kuchh na puchho ye karam kis kaa hai dil-e-be-taab taDap kar kah de puchhte vo hain ki gham kis kaa hai tere kuche mein bataa de sach-much aaj ye naqsh-e-qadam kis kaa hai jalva-afroz tu hi tu hai tamaam dair kis kaa hai haram kis kaa hai dil-e-naashaad abhi tak qaaem na taDapne se bharam kis kaa hai aamad-e-pir-e-mughaan hai shaayad muntazir shaikh-e-haram kis kaa hai charkh bhi dekh ke chakkar mein hai ki ye andaaz-e-sitam kis kaa hai be-kasi raah lag apni ye na puchh dhyaan mujh ko shab-e-gham kis kaa hai dil ke be-saakhta jo paar huaa haae ye tir-e-sitam kis kaa hai sunte hi bole ye hai nazm 'fahim' aisaa shokh aur qalam kis kaa hai"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem
Quote
"yuun kahne ko khanjar ko bhi khanjar hi kaheinge par kyaa tere abru ke baraabar hi kaheinge zaahid jo mazaa mai mein yahaan puchh na ham se kahnaa hai jo kuchh vo lab-e-kausar hi kaheinge maanaa na karein vaada hamein bhi to kahein vo gar kuchh nahin haal-e-dil-e-muztar hi kaheinge sunne ki koi had bhi hai haan puchhte kyon ho ham haal bhi apnaa sar-e-mahshar hi kaheinge do lafzon mein kyunkar ho na sunnaa hai na suniye ham kahne ko baiTheinge to daftar hi kaheinge sunne ko to kyaa jaaniye kyaa kyaa na suneinge kahne ko to haal-e-dil-e-muztar hi kaheinge is mein tiri mizhgaan ho ki ho gosha-e-abru chubh jaae jo dil mein use nashtar hi kaheinge yuun kaam kiye us ne hazaaron hamein kyaa kaam ham aaina-saazi-e-sikandar hi kaheinge tum ne bhi to dekhaa hai 'fahim' us ko kaho na ham apni si kahne ko baraabar hi kaheinge"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem
Quote
"tere andaaz-o-naaz mein kyaa hai lutf raaz-o-niyaaz mein kyaa hai sajda karte hain ham bhi but ko aur shaikh saahib namaaz mein kyaa hai us ko manhus kahte hain kyon log charkh-e-gardun-faraaz mein kyaa hai saare rindon se vo niraali baat zaahid-e-paak-baaz mein kyaa hai ham se puchho tum us ko kyaa jaano lutf soz-o-gudaaz mein kyaa hai kuchh na samjhe ye rah-ravaan-e-adam is nasheb-o-faraaz mein kyaa hai but-paraston kaa ek jamghaT hai is se baDh kar hijaaz mein kyaa hai mai to ik manfaat ki chiiz hai shaikh uzr is ke javaaz mein kyaa hai hai haqiqat mein kaun saa vo lutf aur zaahid majaaz mein kyaa hai tum to kahte the dil mein kyaa jaanun aur ye zulf-e-daraaz mein kyaa hai charkh se puchho to 'fahim' tire ab dil-e-kina-saaz mein kyaa hai"
Faheemuddin Ahmad FaheemFaheemuddin Ahmad Faheem

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer