SHAWORDS

uupar dekh le mimbar se bhi — Annkit Gautam

HomeAnnkit GautamGhazal
"uupar dekh le mimbar se bhi suufi aur qalandar se bhi havaa mujhe mahfuz rakhegi dharti se bhi saagar se bhi aasmaan bhi khaali paDaa hai uub gayaa huun daftar se bhi mere paanv zaraa chhoTe hain manzil se bhi Thokar se bhi donon taraf se mat mar jaanaa paise se bhi andar se bhi"
Urdu

اوپر دیکھ لے منبر سے بھی صوفی اور قلندر سے بھی ہوا مجھے محفوظ رکھے گی دھرتی سے بھی ساگر سے بھی آسمان بھی خالی پڑا ہے اوب گیا ہوں دفتر سے بھی میرے پاؤں ذرا چھوٹے ہیں منزل سے بھی ٹھوکر سے بھی دونوں طرف سے مت مر جانا پیسے سے بھی اندر سے بھی

Hindi

ऊपर देख ले मिम्बर से भी सूफ़ी और क़लंदर से भी हवा मुझे महफ़ूज़ रखेगी धरती से भी सागर से भी आसमान भी ख़ाली पड़ा है ऊब गया हूँ दफ़्तर से भी मेरे पाँव ज़रा छोटे हैं मंज़िल से भी ठोकर से भी दोनों तरफ़ से मत मर जाना पैसे से भी अंदर से भी

uupar dekh le mimbar se bhī
Annkit Gautam
Annkit Gautam
Annkit Gautam
poet20 quotes

More by Annkit Gautam

View all →
Quote
"rote rote os boli meraa chehra dekh kar tum bataao kyaa milaa hai khvaab us kaa dekh kar ik shikaari kaa vo bachcha haae vo nanhaa saa phuul main qafas mein lauT aayaa dasht saaraa dekh kar intihaai dhuup se bhi ik qadam aage ki dhuup aah ye bhi bujh rahi hai meraa saayaa dekh kar Thaharnaa to zaat kaa thaa us pe ye bechain jism chaand taare ro paDe hain bahtaa dariyaa dekh kar dusri duniyaa se bachne ke liye piite hain ham ham bahut uktaa gae hain ek duniyaa dekh kar"
Annkit GautamAnnkit Gautam
Quote
"rishton ko jab dhuup dikhaai jaati hai cigarette se cigarette sulgaai jaati hai jism hamaaraa ik aisi mil hai jis mein andhiyaaron se dhuup banaai jaati hai naa se us ki shakl milaane lagtaa huun jab us ki aavaaz sunaai jaati hai kyaa vo panne sach-much kore hote hain jin par koi zarb lagaai jaati hai bulle-baabaa divaanon ko samjhaao apni hasti kaam mein laai jaati hai apni miTTi apnaa paani vaapas le sunte hain ye shai lauTaai jaati hai patthar le kar aate hain sab siine mein bhaag jage to Thokar khaai jaati hai khaamoshi se yakjaa karte hain khud ko shor machaa kar aag bujhaai jaati hai hote hote raushan hotaa hai chehra jaate jaate dil se kaai jaati hai donon bhavon ki shiknein haath baTaati hain apni tisri aankh banaai jaati hai"
Annkit GautamAnnkit Gautam
Quote
"na jaane kis se bichhDe the ham aise zamaane bhar ne dil rakkhaa hamaaraa sadaa gunji magar khaali hi lauTi nishaana phir nahin chukaa hamaaraa tasavvuf ki jo sunte kuchh naa karte kisi jangal mein dil lagtaa hamaaraa tavaazun maangne aaya thaa suraj banaanaa paD gayaa saayaa hamaaraa zamaana so gae the tab jage ham koi sapnaa nahin TuuTaa hamaaraa shajar the kaaT ke laae gae ham jahaan mein kho gayaa qissa hamaaraa sukhan se us ki hairat chhin legaa muqarrar vaqt par marnaa hamaaraa"
Annkit GautamAnnkit Gautam

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar