"yuun shab-e-hijr teri yaad aai duur bajti ho jaise shahnaai aap apni hansi uDaataa huun khud tamaasha huun khud-tamaashaai jab zamaane ne saath chhoD diyaa apni divaangi hi kaam aai kal junun kaa mazaaq uDaati thi ab junun se khajil hai daanaai aaina dil kaa chuur chuur huaa aur aavaaz tak nahin aai kitnaa iThlaa ke chal rahi hai sabaa teraa paighaam to nahin laai shaairon mein shumaar ho jis se mujh mein vo baat abhi nahin aai"
vaa'da-e-subh tiraa shaam tak aa pahunchaa hai — Maher Chand Kausar
"vaa'da-e-subh tiraa shaam tak aa pahunchaa hai shauq kis hasrat-e-naakaam tak aa pahunchaa hai pesh-khema hai kisi ranj-e-digar kaa shaana dard kuchh surat-e-aaraam tak aa pahunchaa hai meri vahshat ko na raas aai ye qaid-e-aadaab zikr phir meraa tire naam tak aa pahunchaa hai phuul khilte hi baDhaa dast-e-daraaz-e-gulchin kaif-e-aaghaaz hi anjaam tak aa pahunchaa hai jis ki vus'at ke liye tang the donon 'aalam vo junun tauf-e-dar-o-baam tak aa pahunchaa hai shauq suljhaataa hai phir zulf-e-pareshaan 'kausar' yaa'ni phir taair-e-dil daam tak aa pahunchaa hai"
وعدۂ صبح ترا شام تک آ پہنچا ہے شوق کس حسرت ناکام تک آ پہنچا ہے پیش خیمہ ہے کسی رنج دگر کا شانہ درد کچھ صورت آرام تک آ پہنچا ہے میری وحشت کو نہ راس آئی یہ قید آداب ذکر پھر میرا ترے نام تک آ پہنچا ہے پھول کھلتے ہی بڑھا دست دراز گلچیں کیف آغاز ہی انجام تک آ پہنچا ہے جس کی وسعت کے لیے تنگ تھے دونوں عالم وہ جنوں طوف در و بام تک آ پہنچا ہے شوق سلجھاتا ہے پھر زلف پریشاں کوثرؔ یعنی پھر طائر دل دام تک آ پہنچا ہے
वा'दा-ए-सुब्ह तिरा शाम तक आ पहुँचा है शौक़ किस हसरत-ए-नाकाम तक आ पहुँचा है पेश-ख़ेमा है किसी रंज-ए-दिगर का शाना दर्द कुछ सूरत-ए-आराम तक आ पहुँचा है मेरी वहशत को न रास आई ये क़ैद-ए-आदाब ज़िक्र फिर मेरा तिरे नाम तक आ पहुँचा है फूल खिलते ही बढ़ा दस्त-ए-दराज़-ए-गुलचीं कैफ़-ए-आग़ाज़ ही अंजाम तक आ पहुँचा है जिस की वुस'अत के लिए तंग थे दोनों 'आलम वो जुनूँ तौफ़-ए-दर-ओ-बाम तक आ पहुँचा है शौक़ सुलझाता है फिर ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ 'कौसर' या'नी फिर ताइर-ए-दिल दाम तक आ पहुँचा है

More by Maher Chand Kausar
View all →"tark-e-ulfat kaa iraada bhi nahin un se izhaar tamannaa bhi nahin vaqt kaTtaa hi na thaa jis ke baghair us ko muddat hui dekhaa bhi nahin jaisi guzri hai ghanimat hai magar zindagi teraa bharosa bhi nahin dil mein rakhtaa hai bahut kuchh lekin baat kahne ki vo kahtaa bhi nahin khuub saj-dhaj hai tumhaari phir bhi dekhnaa kaisaa vo taktaa bhi nahin ghuur kar dekhtaa rahtaa hai mujhe main ne us ko kabhi dekhaa bhi nahin baatein kartaa hai musalsal 'kausar' roz miltaa hai shanaasaa bhi nahin"
"na jaane kaun hai dekhaa huaa saa lagtaa hai ik ajnabi hai magar aashnaa saa lagtaa hai tazaad-e-surat-o-sirat pe ab yaqin aayaa vo bevafaa hai magar baa-vafaa saa lagtaa hai garaan na guzraa thaa aisaa ye intizaar kabhi ab ek lamha bhi sabr-aazmaa saa lagtaa hai unhein umiid ho taamil ki to kyuun kar ho ki un kaa hukm hi kuchh iltijaa saa lagtaa hai ye phuul saada-o-be-rang hi sahi lekin tumhaare joDe mein kyaa khushnumaa saa lagtaa hai vo bhaai bhaai hain rahte hain ek hi ghar mein magar diyon mein baDaa faasla saa lagtaa hai vo tum vo main vo lab-e-ju vo raat aur vo chaand ye ek khvaab hi kitnaa bhalaa saa lagtaa hai na mujh mein vasf na khubi na kuchh hunar phir bhi tamaam shahr miraa ham-navaa saa lagtaa hai ye aaj shahr mein kyaa baat ho gai 'kausar' jise bhi dekhiye sahmaa huaa saa lagtaa hai"
"bhare jahaan mein koi raazdaar bhi na milaa qaraar DhunDne nikle qaraar bhi na milaa ye meri sokhta-bakhti nahin to phir kyaa hai vo phuul laae to meraa mazaar bhi na milaa na jaane kaisi karaamat thi dast-e-saaqi mein ba-qaid-e-hosh koi hoshiyaar bhi na milaa chaman chaman mein udaasi kaa bol-baalaa hai bahaar kaisi nishaan-e-bahaar bhi na milaa bahut the aish ke lamhon mein jaan-nisaar apne paDaa jo vaqt koi gham-gusaar bhi na milaa main apne gaanv mein rah kar bhi ajnabi hi rahaa mujhe to apnon se thoDaa saa pyaar bhi na milaa kharaab hi rahi qismat khizaan-nasibon ki bahaar aai to lutf-e-bahaar bhi na milaa hansi to apnaa muqaddar na thi magar 'kausar' hamein to rone pe kuchh ikhtiyaar bhi na milaa"
"aain-e-asiri ke ye meaar nae hain zindaan to vahi hai dar-o-divaar nae hain ikhlaas makinon kaa to dekhaa nahin ab tak haan shahr ke sab kucha-o-baazaar nae hain dushman se to kuchh khauf na ab hai na kabhi thaa Dar ye hai ki ab mere taraf-daar nae hain baaqi nahin pahli si vo taqdis-e-mohabbat ab husn nayaa us ke parastaar nae hain pahchaan liyaa ham ne tumhein raah-numaao baatein vahi pairaaya-e-izhaar nae hain sahmaa huaa sannaaTaa hai makhdush fazaaein ab dekh ke chalegaa ye aasaar nae hain baazaar ki raunaq vahi pahli si hai 'kausar' itnaa hai ki is baar kharidaar nae hain"
"phir mujhe hausla-e-arz-o-bayaan mil jaae kuchh dinon ke liye mujh ko bhi zabaan mil jaae saamnaa hogaa to kuchh kah na sakeinge us se jaane us bhiiD mein vo shokh kahaan mil jaae ajnabi gaanv mein phirtaa huun ye ummid liye chhaanv darkaar hai thoDi si jahaan mil jaae kyaa tamaasha hai ki main qasd-e-nasheman le kar ghar se niklun to mujhe barq-e-tapaan mil jaae vahin aa jaataa hai naakaami-e-qismat kaa khayaal suud ki dil mein tamannaa ho ziyaan mil jaae kaash qaasid ko miraa haal sunaane ke liye chand lamhon ke liye meri zabaan mil jaae mere ashaar huun maqbul-e-zamaana 'kausar' mujh ko aisaa kahin andaaz-e-bayaan mil jaae"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"