Quote
"tark-e-ulfat kaa iraada bhi nahin un se izhaar tamannaa bhi nahin vaqt kaTtaa hi na thaa jis ke baghair us ko muddat hui dekhaa bhi nahin jaisi guzri hai ghanimat hai magar zindagi teraa bharosa bhi nahin dil mein rakhtaa hai bahut kuchh lekin baat kahne ki vo kahtaa bhi nahin khuub saj-dhaj hai tumhaari phir bhi dekhnaa kaisaa vo taktaa bhi nahin ghuur kar dekhtaa rahtaa hai mujhe main ne us ko kabhi dekhaa bhi nahin baatein kartaa hai musalsal 'kausar' roz miltaa hai shanaasaa bhi nahin"
