SHAWORDS

vaade jhuTe qasmein jhuTi — Baqa Baluch

HomeBaqa BaluchGhazal
"vaade jhuTe qasmein jhuTi duniyaa ki sab baatein jhuTi khinchi hain jo sachche dil se vo be-naam lakirein jhuTi us ki aankhein bol rahi hain sab khush-rang shabihein jhuTi amn ke saare sapne jhuTe sapnon ki taabirein jhuTi ham ne jin ko sachchaa jaanaa niklin vo sab baatein jhuTi aaj hamein maalum huaa hai guzre kal ki yaadein jhuTi dekho kaan na dharnaa un par dil ki sab aavaazein jhuTi bas ik pyaar kaa bandhan sachchaa aur 'baqaa' sab rasmein jhuTi"
Urdu

وعدے جھوٹے قسمیں جھوٹی دنیا کی سب باتیں جھوٹی کھینچی ہیں جو سچے دل سے وہ بے نام لکیریں جھوٹی اس کی آنکھیں بول رہی ہیں سب خوش رنگ شبیہیں جھوٹی امن کے سارے سپنے جھوٹے سپنوں کی تعبیریں جھوٹی ہم نے جن کو سچا جانا نکلیں وہ سب باتیں جھوٹی آج ہمیں معلوم ہوا ہے گزرے کل کی یادیں جھوٹی دیکھو کان نہ دھرنا ان پر دل کی سب آوازیں جھوٹی بس اک پیار کا بندھن سچا اور بقاؔ سب رسمیں جھوٹی

Hindi

वा'दे झूटे क़स्में झूटी दुनिया की सब बातें झूटी खींची हैं जो सच्चे दिल से वो बे-नाम लकीरें झूटी उस की आँखें बोल रही हैं सब ख़ुश-रंग शबीहें झूटी अम्न के सारे सपने झूटे सपनों की ताबीरें झूटी हम ने जिन को सच्चा जाना निकलीं वो सब बातें झूटी आज हमें मा'लूम हुआ है गुज़रे कल की यादें झूटी देखो कान न धरना उन पर दिल की सब आवाज़ें झूटी बस इक प्यार का बंधन सच्चा और 'बक़ा' सब रस्में झूटी

va.ade jhūTe qasmeñ jhūTī
B
Baqa Baluch
Baqa Baluch
poet21 quotes

More by Baqa Baluch

View all →
Quote
"kam kam rahnaa gham ke surkh jaziron mein ye jo surkh jazire hain sab khunin hain kam kam bahnaa dil dariyaa ke dhaare par ye jo gham ke dhaare hain sab khunin hain hijr ki pahli shaam ho yaa ho vasl kaa din jitne manzar-naame hain sab khunin hain har kuche mein armaanon kaa khuun huaa shahr ke jitne raste hain sab khunin hain ek vasiyyat main ne us ke naam likhi ye jo pyaar ke naate hain sab khunin hain kaun yahaan is raaz kaa parda chaak kare jitne khuun ke rishte hain sab khunin hain"
B
Baqa Baluch
Quote
"jaane kyaa soch ke ghar tak pahunchaa main ki mearaaj-e-hunar tak pahunchaa apne kashkol mein hasrat le kar ik gadaagar tire dar tak pahunchaa dard uTThaa thaa mire pahlu mein aakhir-e-kaar jigar tak pahunchaa ik tabaahi mire dil par utri ik tamaashaa mire ghar tak pahunchaa ik duaa mere labon tak aai ik asar us ki nazar tak pahunchaa jitni aahein mire dil se niklein yaa khudaa un ko asar tak pahunchaa shaakh se TuuTaa huaa pattaa huun tu mujhe mere shajar tak pahunchaa ham sitaaron ki khabar laaeinge ye khabar ahl-e-khabar tak pahunchaa"
B
Baqa Baluch
Quote
"sabr-o-zabt ki jaanaan daastaan to main bhi huun daastaan to tum bhi ho apni apni 'azmat kaa aasmaan to main bhi huun aasmaan to tum bhi ho saahilon ki duuri se saavanon ke mausam mein kaise Duub sakte the be-qaraar mausam mein baadbaan to main bhi huun baadbaan to tum bhi ho jism apne faani hain jaan apni faani hai faani hai ye duniyaa bhi phir bhi faani duniyaa mein jaavedaan to main bhi huun jaavedaan to tum bhi ho ham ne jo bhi paayaa hai 'ishq ke khazaane se vo hai dafn siine mein in dukhon kaa jaan-e-jaan paasbaan to main bhi huun paasbaan to tum bhi ho phir puraani rasmein hain aur phir vahi duniyaa darmiyaan mein haael hai vaqt aur samay kaa ik tarjumaan to main bhi huun tarjumaan to tum bhi ho ham bichhaD chuke lekin rasm-o-raah ki khaatir milte rahte hain varna kuchh udaas shaamon kaa raaz-daan to main bhi huun raaz-daan to tum bhi ho ek jaisaa dariyaa hai ek jaisi maujein hain ek jaisi tughyaani aab-e-gham ki lahron ke darmiyaan to main bhi huun darmiyaan to tum bhi ho"
B
Baqa Baluch
Quote
"ab nahin dard chhupaane kaa qarina mujh mein kyaa karun bas gayaa ik shakhs anokhaa mujh mein us ki aankhein mujhe mahsur kiye rakhti hain vo jo ik shakhs hai muddat se saf-aaraa mujh mein apni miTTi se rahi aisi rifaaqat mujh ko phailtaa jaataa hai ik ret kaa sahraa mujh mein mere chehre pe agar karb ke aasaar nahin ye na samjho ki nahin koi tamannaa mujh mein main kinaare pe khaDaa huun to koi baat nahin bahtaa rahtaa hai tiri yaad kaa dariyaa mujh mein Duub to jaaun tiri mad-bhari aankhon mein magar laDkhaDaane kaa nahin hausla itnaa mujh mein jab se ik shakhs ne dekhaa hai mohabbat se 'baqaa' phailtaa jaataa hai har roz ujaalaa mujh mein"
B
Baqa Baluch

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer