SHAWORDS

vafaa ke zakhm ham dhone na paae — Baqi Siddiqui

HomeBaqi SiddiquiGhazal
"vafaa ke zakhm ham dhone na paae bahut roe magar rone na paae kuchh itnaa shor thaa shahr-e-sabaa mein musaafir raat-bhar sone na paae jahaan thi haadisa har baat 'baaqi' vahin kuchh haadse hone na paae"
Urdu

وفا کے زخم ہم دھونے نہ پائے بہت روئے مگر رونے نہ پائے کچھ اتنا شور تھا شہر سبا میں مسافر رات بھر سونے نہ پائے جہاں تھی حادثہ ہر بات باقیؔ وہیں کچھ حادثے ہونے نہ پائے

Hindi

वफ़ा के ज़ख़्म हम धोने न पाए बहुत रोए मगर रोने न पाए कुछ इतना शोर था शहर-ए-सबा में मुसाफ़िर रात-भर सोने न पाए जहाँ थी हादिसा हर बात 'बाक़ी' वहीं कुछ हादसे होने न पाए

vafā ke zaḳhm ham dhone na paa.e
Baqi Siddiqui
Baqi Siddiqui
Baqi Siddiqui
poet75 quotes

More by Baqi Siddiqui

View all →
Quote
"is kaar-e-gah-e-rang mein ham tang nahin kyaa jo sar pe lagaa hai abhi vo sang nahin kyaa tasvir ko tasvir dikhaai nahin jaati is aaina-khaane mein nazar dang nahin kyaa hai halqa-e-jaan apni vafaaon kaa tasavvur is daagh se aage koi farsang nahin kyaa har baat pe ham dete hain ghairon kaa havaala apnaa koi aahang koi rang nahin kyaa bakhshe hue ik ghunT pe ham jhuum rahe hain ab maang ke piinaa bhi koi nang nahin kyaa zakhm-e-dil-e-betaab hai haathon mein nivaala is baat pe duniyaa se miri jang nahin kyaa vo rang nahin shoala-e-ehsaas mein 'baaqi' ham saaz-e-tamannaa se ham-aahang nahin kyaa"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui
Quote
"ham to duniyaa se bad-gumaan Thahre aage dil ki khushi jahaan Thahre haae vo qaafile jo luT kar bhi zer-e-divaar-e-gulsitaan Thahre aap ko kaarvaan se kyaa matlab aap to mir-e-kaarvaan Thahre zindagi chaahti hai hangaama aur ham log be-zabaan Thahre kabhi teri talaash mein nikle kabhi ban kar tiraa nishaan Thahre gardish-e-dahr saath saath rahi ham jidhar bhi gae jahaan Thahre har qadam par thaa ik sanam-khaana kyaa bataaein kahaan kahaan Thahre kuchh to kaj-rau jahaan bhi hai 'baaqi' aur kuchh ham bhi qissa-khvaan Thahre"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui
Quote
"subh kaa bhed milaa kyaa ham ko lag gayaa raat kaa dhaDkaa ham ko shauq-e-nazzaaraa kaa parda uThThaa nazar aane lagi duniyaa ham ko kashtiyaan TuuT gai hain saari ab liye phirtaa hai dariyaa ham ko bhiiD mein kho gae aakhir ham bhi na milaa jab koi rasta ham ko talkhi-e-gham kaa mudaavaa maalum paD gayaa zahr kaa chaskaa ham ko tere gham se to sukun miltaa hai apne sho'lon ne jalaayaa ham ko ghar ko yuun dekh rahe hain jaise aaj hi ghar nazar aayaa ham ko ham ki shoala bhi hain aur shabnam bhi tu ne kis rang mein dekhaa ham ko jalva-e-laalaa-o-gul hai divaar kabhi milte sar-e-sahraa ham ko le uDi dil ko nasim-e-sahari bu-e-gul kar gai tanhaa ham ko sair-e-gulshan ne kiyaa aavaara lag gayaa rog sabaa kaa ham ko yaad aai hain barahna shaakhein thaam le ai gul-e-taaza ham ko le gayaa saath uDaa kar 'baaqi' ek sukhaa huaa pattaa ham ko"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri