SHAWORDS

vaqt ke zaalim samundar mein pareshaani ke saath — Misdaque Azmi

HomeMisdaque AzmiGhazal
"vaqt ke zaalim samundar mein pareshaani ke saath Duub jaataa hai koi kyuun itni aasaani ke saath meri saanson ki mahak kaa bhi bahut charchaa huaa raat jab main ne gizaari raat ki raani ke saath main vahi huun aur meraa martaba mujh se buland naam apnaa le rahaa huun main bhi hairaani ke saath main ne to kuchh aastin ke saanp ginvaae the bas tum ne kyuun aankhein milaai hain pashemaani ke saath karbalaa vaale agar hain mohtaram to mohtaram nosh mat jaam-e-shahaadat kijiye paani ke saath ik tabassum kaa bharam aabaad honTon par kiye ji rahe hain log apni apni viraani ke saath mar gayaa 'misdaaq' bhi sultaan-Tipu ki tarah dekh kar hamraaz apnaa dushman-e-jaani ke saath"
Urdu

وقت کے ظالم سمندر میں پریشانی کے ساتھ ڈوب جاتا ہے کوئی کیوں اتنی آسانی کے ساتھ میری سانسوں کی مہک کا بھی بہت چرچا ہوا رات جب میں نے گزاری رات کی رانی کے ساتھ میں وہی ہوں اور میرا مرتبہ مجھ سے بلند نام اپنا لے رہا ہوں میں بھی حیرانی کے ساتھ میں نے تو کچھ آستیں کے سانپ گنوائے تھے بس تم نے کیوں آنکھیں ملائی ہیں پشیمانی کے ساتھ کربلا والے اگر ہیں محترم تو محترم نوش مت جام شہادت کیجئے پانی کے ساتھ اک تبسم کا بھرم آباد ہونٹوں پر کئے جی رہے ہیں لوگ اپنی اپنی ویرانی کے ساتھ مر گیا مصداقؔ بھی سلطان ٹیپو کی طرح دیکھ کر ہم راز اپنا دشمن جانی کے ساتھ

Hindi

वक़्त के ज़ालिम समुंदर में परेशानी के साथ डूब जाता है कोई क्यूँ इतनी आसानी के साथ मेरी साँसों की महक का भी बहुत चर्चा हुआ रात जब मैं ने गुज़ारी रात की रानी के साथ मैं वही हूँ और मेरा मर्तबा मुझ से बुलंद नाम अपना ले रहा हूँ मैं भी हैरानी के साथ मैं ने तो कुछ आस्तीं के साँप गिनवाए थे बस तुम ने क्यूँ आँखें मिलाई हैं पशेमानी के साथ कर्बला वाले अगर हैं मोहतरम तो मोहतरम नोश मत जाम-ए-शहादत कीजिए पानी के साथ इक तबस्सुम का भरम आबाद होंटों पर किए जी रहे हैं लोग अपनी अपनी वीरानी के साथ मर गया 'मिस्दाक़' भी सुल्तान-टीपू की तरह देख कर हमराज़ अपना दुश्मन-ए-जानी के साथ

vaqt ke zālim samundar meñ pareshānī ke saath
Misdaque Azmi
Misdaque Azmi
Misdaque Azmi
poet21 quotes

More by Misdaque Azmi

View all →
Quote
"sukhanvaron ki tarah ishtiyaaq-e-did ke baa'd falak pe chaand khangaalegaa kaun 'iid ke baa'd tamaam shahr thaa qatl-e-husain mein shaamil main kitne naam ginaaun tumhein yazid ke baa'd saDe gale hue miTTi ke ek putle ko 'ataa hayaat hui bhi hai to va’id ke baa'd chaDhaa rahaa hai vahi phuul qabr par meri vatan ko bech diyaa jis ne mujh shahid ke baa'd janaab-e-'mir' ki miraas hain miri ghazlein jadid kyon main banaaun inhein jadid ke baa'd tumhein hi baara-dari se guzar ke aanaa thaa tumhin nikaaloge gunjaaishein mazid ke baa'd sanaa-e-husn na kartin to aur kyaa kartin miri nigaahein tiri be-hijaab diid ke baa'd rakhe hain zakhm namak-daan-e-yaad-e-maazi par hamaaraa dard 'ayaan kyon na ho shadid ke baa'd"
Misdaque AzmiMisdaque Azmi
Quote
"mar gayaa ik aadmi hikmat baDi rakhte hue saanp ke kaaTe ki haathon mein jaDi rakhte hue kah rahe hain ham lab-e-jaanaan ko naazuk saa gulaab 'mir' ji ki pankhuDi par pankhuDi rakhte hue fikr mein Duubaa huaa bachcha nazar aayaa mujhe ik diye ki lau pe apni phuljhaDi rakhte hue mere maalik main tiri fayyaaziyon par hans paDaa zindagi do din ki di shartein kaDi rakhte hue apne kandhe par biThaae mere naanaa bhi chale kachchi pakki rahguzaaron par chhaDi rakhte hue chal rahe hain is taraqqi ke zamaane mein bhi log apne apne sar pe apni jhonpDi rakhte hue ho gaiin 'misdaaq' nam aankhein amir-e-shahr ki tirgi mein rehn sone ki kaDi rakhte hue"
Misdaque AzmiMisdaque Azmi
Quote
"aahaTein sun kar hi mar jaati hai sahraaon ki khaak ab tire vahshi se Dar jaati hai sahraaon ki khaak is junun-e-ishq ki Thokar mein aa jaane ke baa'd aasmaanon mein bikhar jaati hai sahraaon ki khaak khushnumaa manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yaar jab dilon mein bhi utar jaati hai sahraaon ki khaak kaun khema-zan kahaan hai aaiye DhunDein yahaan pal mein sab kuchh khaak kar jaati hai sahraaon ki khaak ungliyaan teri pakaD kar sun le ai baad-e-sabaa gulshanon mein bhi utar jaati hai sahraaon ki khaak paanv phailaati hai ye sahraa-navardi jab miri har taraf 'misdaaq' bhar jaati hai sahraaon ki khaak"
Misdaque AzmiMisdaque Azmi
Quote
"ik zarurat hai jo tahvil tak aa pahunchi hai har haqiqat yahaan tamsil tak aa pahunchi hai ab ukhuvvat pe bharosa nahin karti duniyaa aagahi niyyat-e-qaabil tak aa pahunchi hai ai mire munis o gham-khvaar mujhe marne de baat ab hukm ki taamil tak aa pahunchi hai ab sukhan-var hi nahin khud ko musavvir likhiye shaaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai koshish-e-amn-o-amaan mein hi yahaan logon ki zindagi shorish-e-taavil tak aa pahunchi hai be-hisi dekhiye is daur ke insaanon ki jism kyaa ruuh ki tahlil tak aa pahunchi hai fikr-e-'misdaaq' ne hai khaas masaafat kar li aap ki aankh bhi is jhiil tak aa pahunchi hai"
Misdaque AzmiMisdaque Azmi
Quote
"fursat se ab bhi gaanv ki vaaqif ye dahr hai masruf har koi hai jahaan par vo shahr hai sach bolne ki zid ne amar kar diyaa use suqraat jaantaa thaa piyaale mein zahr hai ham tishnigaan-e-karb-o-balaa khema-zan to hain jab tak yazid-e-vaqt ke qabze mein nahr hai taa'miq o tuul kaa ho asar un pe kis tarah jo log jaante hain ki qatron mein bahr hai main sochtaa huun aap se nisbat kaa silsila meraa khulus meri mohabbat ki mehr hai aisi koi khataa bhi nahin ki hai main ne jab naazil miri sadi pe kyon har lamha qahr hai"
Misdaque AzmiMisdaque Azmi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud