SHAWORDS

vaqt se jab ham mukhaatib ho gae — Abid Akhtar

HomeAbid AkhtarGhazal
"vaqt se jab ham mukhaatib ho gae naa-munaasib bhi munaasib ho gae fahm se Takraain naa-maanusiyaan zehn mein zakhm-e-mataalib ho gae biivi bachchon mein ghire rahte the jo aakhirash vo log raahib ho gae ye na-dida-pan nahin to kyaa hai phir taalib-e-husn-e-kavaakib ho gae achchhe logon ne banaae kuchh usuul rafta-rafta vo mazaahib ho gae husn-e-daulat zindagi jannat sukun aap kin chizon ke taalib ho gae"
Urdu

وقت سے جب ہم مخاطب ہو گئے نا مناسب بھی مناسب ہو گئے فہم سے ٹکرائیں نا مانوسیاں ذہن میں زخم مطالب ہو گئے بیوی بچوں میں گھرے رہتے تھے جو آخرش وہ لوگ راہب ہو گئے یہ ندیدہ پن نہیں تو کیا ہے پھر طالب حسن کواکب ہو گئے اچھے لوگوں نے بنائے کچھ اصول رفتہ رفتہ وہ مذاہب ہو گئے حسن دولت زندگی جنت سکوں آپ کن چیزوں کے طالب ہو گئے

Hindi

वक़्त से जब हम मुख़ातिब हो गए ना-मुनासिब भी मुनासिब हो गए फ़हम से टकराईं ना-मानूसियाँ ज़ह्न में ज़ख़्म-ए-मतालिब हो गए बीवी बच्चों में घिरे रहते थे जो आख़िरश वो लोग राहिब हो गए ये न-दीदा-पन नहीं तो क्या है फिर तालिब-ए-हुस्न-ए-कवाकिब हो गए अच्छे लोगों ने बनाए कुछ उसूल रफ़्ता-रफ़्ता वो मज़ाहिब हो गए हुस्न-ए-दौलत ज़िंदगी जन्नत सुकूँ आप किन चीज़ों के तालिब हो गए

vaqt se jab ham muḳhātib ho ga.e
Abid Akhtar
Abid Akhtar
Abid Akhtar
poet27 quotes

More by Abid Akhtar

View all →
Quote
"jo andheron mein misaal-e-yad-e-baizaa Thahre bas vahi log zamaane mein tamaashaa Thahre jo masihaa ki tavajjoh ho kisi aur taraf manzil-e-dard mein kis tarah mudaavaa Thahre aap ko rang-e-mohabbat bhi nazar aa jaae meri aankhon mein zaraa khuun kaa dariyaa Thahre darmiyaan apne agar dard kaa rishta na rahe phir to duniyaa mein har ik shakhs akelaa Thahre dosto sang-e-malaamat pe na israar karo ham se ye baar na uTThegaa ki shisha Thahre ab na shirin hai na vo vaa’da-e-fardaa kaa yaqin dast-e-farhaad mein phir kis liye tesha Thahre"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"kucha-e-tamannaa se kaar-gaah-e-aazar tak sang sang milte hain vaqt ke payambar tak kaam ki kharaabi se naam Duub jaate hain gaaliyon ki zad mein hain qaatilon ke khanjar tak intizaar karte hain log kyon masihaa kaa faasla nazar kaa hai zakhm-e-dil se nashtar tak tishnagi kaa ruumaa hai ab unhin ke honTon par jo sulagti raaton mein pi gae samundar tak jo ghaTaaein bo kar bhi tishnagi ugaataa hai us ki naa-muraadi par hans diyaa muqaddar tak khud ko maan lo yusuf is liye nahin hai ye aaine ki siDhi se pahunchiye sikandar tak un ke paanv ke niche maah TuuT jaataa hai tum ki aa nahin sakte apne ghar ke 'akhtar' tak"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"dil bahut be-taab thaa un ko muqaabil dekh kar haan magar main hosh mein thaa rang-e-mahfil dekh kar kyaa kahun mauj-e-havaadis ke guzar jaane ke baad kyon uThaa tufaan miri aankhon mein saahil dekh kar sham’-e-dil raushan rakho jahd-o-amal ki raah mein varna zulmat luuT legi tum ko ghaafil dekh kar ab taghaaful kaa gila bejaa hai daur-e-hijr mein dil ko dete vaqt dete laaiq-e-dil dekh kar kyon mire chehre pe gard-e-gham na ho ai ham-nafas aa rahaa huun aandhiyaan manzil-ba-manzil dekh kar maah-e-kaamil ki haqiqat ho gai ham par ayaan ham ne jab bhi un ko dekhaa maah-e-kaamil dekh kar"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"haan aur nahin ki baahami takraar dekhiye inkaar ke libaas mein iqraar dekhiye jo chhu rahe hain azmat-o-rifat ki sarhadein vo raaste azal se hain dushvaar dekhiye aavaaz de rahaa hai yahi vaqt kaa naqib muD muD ke ab na saaya-e-divaar dekhiye bahke qadam machalti nigaahon ke saath saath Thahri hui havaa ki bhi raftaar dekhiye aankhon mein jaag jaae na nafrat kaa devtaa duniyaa ke saath khud ko bhi ik baar dekhiye zarf-o-zamir bech rahe hain agar janaab ik baar samt ru-e-kharidaar dekhiye kirdaar aadmi ke liye laazmi sahi shaair ki zaat chhoDiye ashaar dekhiye"
Abid AkhtarAbid Akhtar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi