SHAWORDS

vatan se duur yaaraan-e-vatan ki yaad aati hai — Ali Sardar Jafri

"vatan se duur yaaraan-e-vatan ki yaad aati hai qafas mein ham-navaayaan-e-chaman ki yaad aati hai ye kaisaa zulm hai phir saaya-e-divaar-e-zindaan mein vatan ke saaya-e-sarv-o-saman ki yaad aati hai tasavvur jis se rangin hai takhayyul jis se raqsaan hai ghazaal-e-hind-o-aahu-e-khutan ki yaad aati hai kabhi lailaa-o-shirin gaah hir-o-shohni ban kar niraale yaar ki baanke sajan ki yaad aati hai kahaan kaa khauf-e-zindaan dahshat-e-daar-o-rasan kaisi qad-e-maashuq-o-zulf-e-pur-shikan ki yaad aati hai"
Urdu

وطن سے دور یاران وطن کی یاد آتی ہے قفس میں ہم نوایان چمن کی یاد آتی ہے یہ کیسا ظلم ہے پھر سایۂ دیوار زنداں میں وطن کے سایۂ سرو و سمن کی یاد آتی ہے تصور جس سے رنگیں ہے تخیل جس سے رقصاں ہے غزال ہند و آہوئے ختن کی یاد آتی ہے کبھی لیلیٰ و شیریں گاہ ہیر و سوہنی بن کر نرالے یار کی بانکے سجن کی یاد آتی ہے کہاں کا خوف زنداں دہشت دار و رسن کیسی قد معشوق و زلف پر شکن کی یاد آتی ہے

Hindi

वतन से दूर यारान-ए-वतन की याद आती है क़फ़स में हम-नवायान-ए-चमन की याद आती है ये कैसा ज़ुल्म है फिर साया-ए-दीवार-ए-ज़िन्दाँ में वतन के साया-ए-सर्व-ओ-समन की याद आती है तसव्वुर जिस से रंगीं है तख़य्युल जिस से रक़्साँ है ग़ज़ाल-ए-हिंद-ओ-आहू-ए-ख़ुतन की याद आती है कभी लैला-ओ-शीरीं गाह हीर-ओ-सोहनी बन कर निराले यार की बाँके सजन की याद आती है कहाँ का ख़ौफ़-ए-ज़िन्दाँ दहशत-ए-दार-ओ-रसन कैसी क़द-ए-माशूक-ओ-ज़ुल्फ़-ए-पुर-शिकन की याद आती है

vatan se duur yārān-e-vatan kī yaad aatī hai
Ali Sardar Jafri
Ali Sardar Jafri
Ali Sardar Jafri
poet62 quotes

More by Ali Sardar Jafri

View all →
Quote
"khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzaar magar khizaan ko mayassar nahin yaqin-e-bahaar khabar nahin hai bamon ke banaane vaalon ko tamiz ho to mah-o-mehr-o-kahkashaan hain shikaar usi se tegh-e-nigah aab-daar hoti hai tujhe bataaun baDi shai hai jurat-e-inkaar kiye hain shauq ne paidaa hazaar viraane ik aarzu ne basaae hain laakh shahr-e-dayaar nashaat-e-subh-e-bahaaraan tujhe nasib nahin tire nigah mein hai biiti hui shabon kaa khumaar farokht hoti hai insaaniyat si jins-e-giraan jahaan ko phunk na degi ye garmi-e-baazaar yahi hai zinat-o-aaraaish urus-e-sukhan magar fareb bhi deti hai shokhi-e-guftaar"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri
Quote
"vufur-e-shauq ki rangin hikaayatein mat puchh labon kaa pyaar nigah ki shikaayatein mat puchh kisi nigaah ki nas nas mein tairte nishtar vo ibtidaa-e-mohabbat ki raahatein mat puchh vo nim-shab vo javaan husn vo vufur-e-niyaaz nigaah o dil ne jo ki hain ibaadatein mat puchh hujum-e-gham mein bhi jiinaa sikhaa diyaa ham ko gham-e-jahaan ki hain kyaa kyaa inaayatein mat puchh ye sirf ek qayaamat hai chain ki karvaT dabi hain dil mein hazaaron qayaamatein mat puchh bas ek harf-e-baghaavat zabaan se niklaa thaa shahid ho gaiin kitni rivaayatein mat puchh ab aaj qissa-e-daaraa-o-jam kaa kyaa hogaa hamaare paas hain apni hikaayatein mat puchh nishaan-e-hiTlari-o-qaisari nahin miltaa jo ibraton ne likhi hain ibaaratein mat puchh nashaat-e-zist faqat ahl-e-gham ki hai miraas mileingi aur abhi kitni daulatein mat puchh"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri
Quote
"baiThe hain jahaan saaqi paimaana-e-zar le kar us bazm se uTh aae ham dida-e-tar le kar yaadon se tiri raushan mehraab-e-shab-e-hijraan DhunDheinge tujhe kab tak qindil-e-qamar le kar kyaa husn hai duniyaa mein kyaa lutf hai jiine mein dekhe to koi meraa andaaz-e-nazar le kar hoti hai zamaane mein kis tarah paziraai niklo to zaraa ghar se ik zauq-e-safar le kar raahein chamak uTTheingi khurshid ki mashal se hamraah sabaa hogi khushbu-e-sahar le kar makhmal si bichhaa deinge qadmon ke tale saahil dariyaa ubal aaeinge sad-mauj-e-guhar le kar pahnaaeinge taaj apnaa peDon ke ghane saae nikleinge shajar apne khush-rang samar le kar lapkeinge gale milne sarv aur sanobar sab uTheinge gulistaan bhi shaakh-e-gul-e-tar le kar hanste hue shahron ki aavaaz bulaaegi lab jaam ke chamkeinge sau shoala-e-tar le kar aflaak bajaaeinge saaz apne sitaaron kaa gaaeinge bahut lamhe anfaas-e-sharar le kar ye aalam-e-khaaki ik sayyaara-e-raushan hai aflaak se Takraa do taqdir-e-bashar le kar"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri
Quote
"aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai magar zauq-e-junun ki shoala-saamaani nahin jaati khudaa maalum kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zamin-e-ku-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuun hai to kyuun hai yuun nahin to kyuun nahin aakhir yaqin mohkam hai lekin zid ki hairaani nahin jaati lahu jitnaa thaa saaraa sarf-e-maqtal ho gayaa lekin shahidaan-e-vafaa ke rukh ki taabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan kaa muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shai aur mahngi aur mahngi hoti jaati hai bas ik khun-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati ye naghma naghma-e-bedaari-e-jamhur-e-aalam hai vo shamshir-e-navaa jis ki darakhshaani nahin jaati nae khvaabon ke dil mein shoala-e-khurshid-e-mahshar hai zamir-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-bandi ali-'sardaar' ki shaan-e-ghazal-khvaani nahin jaati"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri
Quote
"ham jo mahfil mein tiri sina-figaar aate hain rang-bar-dosh gulistaan-ba-kanaar aate hain chaak-dil chaak-jigar chaak-garebaan vaale misl-e-gul aate hain maanind-e-bahaar aate hain koi maashuq sazaavaar-e-ghazal hai shaayad ham ghazal le ke su-e-shahr-e-nigaar aate hain kyaa vahaan koi dil-o-jaan kaa talabgaar nahin jaa ke ham kucha-e-qaatil mein pukaar aate hain qaafile shauq ke rukte nahin divaaron se sainkaDon mahbas-o-zindaan ke dayaar aate hain manzilein dauD ke rahrav ke qadam leti hain bosa-e-paa ke liye raahguzaar aate hain khud kabhi mauj-o-talaatum se na nikle baahar paar jo saare zamaane ko utaar aate hain kam ho kyuun abru-e-qaatil ki kamaanon kaa khinchaao jab sar-e-tir-e-sitam aap shikaar aate hain"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri
Quote
"farogh-e-dida-o-dil laala-e-sahar ki tarah ujaalaa bin ke raho sham-e-rahguzar ki tarah payambaron ki tarah se jiyo zamaane mein payaam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso sitaara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah Daraa saki na mujhe tirgi zamaane ki andheri raat se guzraa huun main qamar ki tarah samundaron ke talaatum ne mujh ko paalaa hai chamak rahaa huun isi vaaste guhar ki tarah tamaam koh o tal o bahr o bar hain zer-e-nagin khulaa huaa huun main shaahin ke baal-o-par ki tarah tamaam daulat-e-kaunain hai khiraaj us kaa ye dil nahin kisi luuTe hue nagar ki tarah guzar ke khaar se ghunche se gul se shabnam se main shaakh-e-vaqt mein aayaa huun ik samar ki tarah main dil mein talkhi-e-zahraab-e-gham bhi rakhtaa huun na misl-e-shahd huun shirin na main shakar ki tarah khizaan ke dast-e-sitam ne mujhe chhuaa hai magar tamaam shoala o shabnam huun kaashmar ki tarah miri navaa mein hai lutf-o-surur-e-subh-e-nashaat har ek sher hai rindon ki shaam-e-tar ki tarah ye faatehaana ghazal asr-e-nau kaa hai aahang buland o past ko dekhaa hai dida-var ki tarah"
Ali Sardar JafriAli Sardar Jafri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi