SHAWORDS

vo bistar mein paDi rahi — Nazeer Qaisar

HomeNazeer QaisarGhazal
"vo bistar mein paDi rahi shaam gali mein khaDi rahi sote hue bhi haathon mein phulon ki chhaDi rahi vo kahin baahar khaDaa rahaa raat frame mein juDi rahi pairon mein din paDaa rahaa haathon mein hathkaDi rahi honT buund ko taras gae ret mein chhaagal paDi rahi us din kitne phuul khile us din kitni jhaDi rahi diyaa taaq mein paDaa rahaa maachis taaq mein paDi rahi"
Urdu

وہ بستر میں پڑی رہی شام گلی میں کھڑی رہی سوتے ہوئے بھی ہاتھوں میں پھولوں کی چھڑی رہی وہ کہیں باہر کھڑا رہا رات فریم میں جڑی رہی پیروں میں دن پڑا رہا ہاتھوں میں ہتھکڑی رہی ہونٹ بوند کو ترس گئے ریت میں چھاگل پڑی رہی اس دن کتنے پھول کھلے اس دن کتنی جھڑی رہی دیا طاق میں پڑا رہا ماچس طاق میں پڑی رہی

Hindi

वो बिस्तर में पड़ी रही शाम गली में खड़ी रही सोते हुए भी हाथों में फूलों की छड़ी रही वो कहीं बाहर खड़ा रहा रात फ़्रेम में जुड़ी रही पैरों में दिन पड़ा रहा हाथों में हथकड़ी रही होंट बूँद को तरस गए रेत में छागल पड़ी रही उस दिन कितने फूल खिले उस दिन कितनी झड़ी रही दिया ताक़ में पड़ा रहा माचिस ताक़ में पड़ी रही

vo bistar meñ paḌī rahī
Nazeer Qaisar
Nazeer Qaisar
Nazeer Qaisar
poet30 quotes

More by Nazeer Qaisar

View all →
Quote
"miTTi pe koi naqsh bhi ubhraa na rahegaa gir jaaegi divaar to saaya na rahegaa aaegaa nazar dhuup mein chhat par vo khule sar galiyon mein ye raaton kaa nikalnaa na rahegaa shaakhon se numu patton se chhin jaaegi khushbu kaT jaaegaa jab peD to kyaa kyaa na rahegaa sochun to koi lafz milegaa na tire naam likkhungaa to kaaghaz koi saada na rahegaa bikhre hue chehron mein khaDaa soch rahaa huun aankhein na raheingi ki tamaashaa na rahegaa miT jaaungaa likhte hue rudaad shab-o-roz jab main na rahungaa miraa afsaana rahegaa kho jaaegi khaamoshi mein aavaaz-e-jaras bhi raahon mein kahin naqsh-e-kaf-e-paa na rahegaa aage bhi dikhaai nahin degi koi manzil aur ghar ko palaTne kaa bhi rasta na rahegaa main harf huun likh lo mujhe aavaaz huun sun lo aate hain vo din jab koi mujh saa na rahegaa"
Nazeer QaisarNazeer Qaisar
Quote
"dil-tang huun makaan ke andar paDaa huaa baahar abad kaa qufl hai dar par paDaa huaa mujh par garaan guzarti hai meri sadaa ki guunj chup huun durun-e-gumbad-e-be-dar paDaa huaa mumkin jo ho to ek nazar muD ke dekh le ik naqsh hai zamin pe miT kar paDaa huaa main hi nahin huun din ke bagule ke saath saath suraj ke paanv mein bhi hai chakkar paDaa huaa khul hi gai hai aankh to aavaaz de ke dekh khaamosh kyuun hai shab kaa samundar paDaa huaa baiThaa huaa huun chhup ke havaa ke hisaar mein har-samt hai ghanim kaa lashkar paDaa huaa mujh ko havaaein chalne se pahle sameT lo main rahguzaar mein huun bikhar kar paDaa huaa jaise ho koi mere taaaqub mein raat-din apne vajud kaa hai mujhe Dar paDaa huaa main chhuptaa phir rahaa huun khud apni hi zaat se 'qaisar' miraa azaab hai mujh par paDaa huaa"
Nazeer QaisarNazeer Qaisar
Quote
"galiyaan udaas khiDkiyaan chup dar khule hue uktaa gayaa huun main to ye sab dekhte hue haathon pe likh ke chumtaa rahtaa huun us kaa naam muddat guzar gai hai jise khat likhe hue khushbu-o-rang aab-o-havaa saaz-o-khaamushi kyaa qaafile hain dasht-e-khalaa mein ruke hue kuchh puchhti hain peDon ki sarsabz Tahniyaan kuchh kah rahe hain raah mein patte gire hue haathon mein le ke chaltaa huun aankhon ki mishalein har samt hain fazaaon mein chehre bane hue muhtaaj-e-abr-o-baad hue ahl-e-khaak-daan har chand is zamin mein the dariyaa chhupe hue ai maavaraa-e-fikr ab aavaaz de ki ham khud se bichhaD gae hain tujhe DhunDte hue"
Nazeer QaisarNazeer Qaisar
Quote
"gharon mein sabza chhaton par gul-e-sahaab liye havaaein phail gaiin naqsh-o-rang-e-aab liye shab-e-siyaah Dhali subh aashkaar hui jabin pe zakhm liye haath mein gulaab liye main ek Dhaltaa saa saayaa zamin ke qadmon mein tu DhunDne mujhe niklaa hai aaftaab liye guzar gayaa koi pahchaantaa huaa mujh ko puraani yaadon ki shamein pas-e-naqaab liye bikhar ke jaataa kahaan tak ki main to khushbu thaa havaa chali thi mujhe apne ham-rikaab liye ubhar rahe hain kai haath shab ke parde se koi sitaara liye koi maahtaab liye havaaein phirti hain raston mein baal khole hue ye raat sar pe khaDi hai koi azaab liye ajab nahin kahin taabir koi mil jaae bhaTak rahaa huun girah mein hujum-e-khvaab liye"
Nazeer QaisarNazeer Qaisar
Quote
"kaun huun kyuun zinda huun sochtaa rahtaa huun khvaabon ki duniyaa mein jaagtaa rahtaa huun rang aur khushbu se dhundlaae raston mein havaa ki ungli thaam ke chaltaa rahtaa huun aavaazon ki gaThri sar pe uThaae hue khaamoshi ke ziine chaDhtaa rahtaa huun jahaan se mere jism ko ik din ugnaa hai main us baanjh zamin ko DhunDhtaa rahtaa huun aankhon ki uryaani se chhupne ke liye nae nae malbus pahantaa rahtaa huun subh-o-shaam havaa ki andhi lahron mein zarra zarra ho ke bikhartaa rahtaa huun soi hui raahon mein tanhaa chaand ke saath saari saari raat bhaTaktaa rahtaa huun lauh-e-jahaan par banti bigaDti tahrirein dekhtaa rahtaa huun aur sochtaa rahtaa huun jism-o-jaan ki dhuup se jalte sahraa mein apnaa saaya oDh ke chaltaa rahtaa huun"
Nazeer QaisarNazeer Qaisar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar