Quote
"main thaa ik sham-e-sozaan raat bhar uTThaa dhuaan mujh se suni duniyaa ne sau sau tarah dil ki daastaan mujh se Dubo di aabru-e-soz-e-pinhaan tu ne aankhon ki shikaayat kar rahe hain qatra-haa-e-raaegaan mujh se rafiq-e-kaarvaan-e-nighat-e-gul hai miri vahshat na aage baDh sakegi tu nigaah-e-baaghbaan mujh se mujhe niind aa gai thi raah ki ThanDi havaaon mein main ik vaamaanda huun puchho hadis-e-kaarvaan mujh se mire dil ki tamanna turra-e-dastaar-e-gulchin ho aur us par ye qayaamat daad maange baaghbaan mujh se saraapaa maatam-e-nazzaara hai aankhon ki maayusi ki parda uTh chukaa hai aur jalve hain nihaan mujh se"
A
Ahsan Ahmad Ashk