SHAWORDS

yaad aataa hai ki khud ko naujavaan samjhaa thaa main — Agha Naginwi

HomeAgha NaginwiGhazal
"yaad aataa hai ki khud ko naujavaan samjhaa thaa main is tilism-e-rang-o-bu ko gulsitaan samjhaa thaa main haan use fakhr-e-hasinaan-e-jahaan samjhaa thaa main us kaa milnaa haasil-e-kaun-o-makaan samjhaa thaa main us sanam ko khud pe jab tak mehrbaan samjhaa thaa main us ke atvaar-e-sitam ko shokhiyaan samjhaa thaa main un ki nazron mein nihaan jo bijliyaan samjhaa thaa main har adaa ko iltifaat-e-be-karaan samjhaa thaa main mere chehre se numaayaan thaa fishaar-e-zabt-e-gham aah ko bhi shikva-e-jaur-e-butaan samjhaa thaa main rafta rafta us ne baDh kar mere dil ko khuun kiyaa jis khalish mein lazzat-e-paiham nihaan samjhaa thaa main husn-e-faani gar nahin ishq-e-majaazi bhi nahin chand-roza shai thi jis ko jaavedaan samjhaa thaa main daaimi furqat ne 'aaghaa' meri aankhein khol diin ik jahannum hai jise baagh-e-jinaan samjhaa thaa main"
Urdu

یاد آتا ہے کہ خود کو نوجواں سمجھا تھا میں اس طلسم رنگ و بو کو گلستاں سمجھا تھا میں ہاں اسے فخر حسینان جہاں سمجھا تھا میں اس کا ملنا حاصل کون و مکاں سمجھا تھا میں اس صنم کو خود پہ جب تک مہرباں سمجھا تھا میں اس کے اطوار ستم کو شوخیاں سمجھا تھا میں ان کی نظروں میں نہاں جو بجلیاں سمجھا تھا میں ہر ادا کو التفات بے کراں سمجھا تھا میں میرے چہرے سے نمایاں تھا فشار ضبط غم آہ کو بھی شکوۂ جور بتاں سمجھا تھا میں رفتہ رفتہ اس نے بڑھ کر میرے دل کو خوں کیا جس خلش میں لذت پیہم نہاں سمجھا تھا میں حسن فانی گر نہیں عشق مجازی بھی نہیں چند روزہ شے تھی جس کو جاوداں سمجھا تھا میں دائمی فرقت نے آغاؔ میری آنکھیں کھول دیں اک جہنم ہے جسے باغ جناں سمجھا تھا میں

Hindi

याद आता है कि ख़ुद को नौजवाँ समझा था मैं इस तिलिस्म-ए-रंग-ओ-बू को गुल्सिताँ समझा था मैं हाँ उसे फ़ख़्र-ए-हसीनान-ए-जहाँ समझा था मैं उस का मिलना हासिल-ए-कौन-ओ-मकाँ समझा था मैं उस सनम को ख़ुद पे जब तक मेहरबाँ समझा था मैं उस के अतवार-ए-सितम को शोख़ियाँ समझा था मैं उन की नज़रों में निहाँ जो बिजलियाँ समझा था मैं हर अदा को इल्तिफ़ात-ए-बे-कराँ समझा था मैं मेरे चेहरे से नुमायाँ था फ़िशार-ए-ज़ब्त-ए-ग़म आह को भी शिकवा-ए-जौर-ए-बुताँ समझा था मैं रफ़्ता रफ़्ता उस ने बढ़ कर मेरे दिल को ख़ूँ किया जिस ख़लिश में लज़्ज़त-ए-पैहम निहाँ समझा था मैं हुस्न-ए-फ़ानी गर नहीं इश्क़-ए-मजाज़ी भी नहीं चंद-रोज़ा शय थी जिस को जावेदाँ समझा था मैं दाइमी फ़ुर्क़त ने 'आग़ा' मेरी आँखें खोल दीं इक जहन्नुम है जिसे बाग़-ए-जिनाँ समझा था मैं

yaad aatā hai ki ḳhud ko naujavāñ samjhā thā maiñ
A
Agha Naginwi
Agha Naginwi
poet6 quotes

More by Agha Naginwi

View all →
Quote
"ek kaif-e-sarmadi se kheltaa rahtaa rahun main bandagi mein bandagi se kheltaa rahtaa huun main raat din zinda-dili se kheltaa rahtaa huun main ranj-o-gham mein bhi khushi se kheltaa rahtaa huun main aaj-kal akhtar-shumaaron mein hai meraa bhi shumaar raat mein bhi raushni se kheltaa rahtaa huun main maut mein hi zindagi hai misl-e-parvaana miri shama ki taabindagi se kheltaa rahtaa huun main tauq-e-gardan se milaa zauq-e-giraanbaari mujhe lekin is mehnat-kashi se kheltaa rahtaa huun main banda-e-mazdur ki izzat bachaane ke liye izz-o-jaah-e-qaisari se kheltaa rahtaa huun main baar-e-khaatir ban gai go yaar-e-shaatir ki bisaat lekin us par saadgi se kheltaa rahtaa huun main allah-allah meraa shauq-e-jazb-e-kaamil dekhnaa fikr-e-vahdat mein doi se kheltaa rahtaa huun main vo mire aivaan-e-gham mein zinat-e-guldasta hai phuul ki afsurdagi se kheltaa rahtaa huun main vo ye kahte hain ki fursat mein bahal jaataa hai dil apne ‘ahsan-kaazmi' se kheltaa rahtaa huun main"
A
Agha Naginwi
Quote
"jahaan mein koi haqiqat bhi be-hijaab nahin urus-e-marg ke munh par magar naqaab nahin talab hai husn-e-haqiqi ki fasl-e-gul bar-dosh ye vo kitaab hai jis mein khizaan kaa baab nahin ishaara kun hai haqiqat kaa bahr-e-be-paayaan taayyunaat kaa haasil ba-juz habaab nahin ye aabshaar o gul o kohsaar o maah-o-nujum muzaahire hain magar husn baa-naqaab nahin main be-piye tiri aankhon ko baDh ke chuum na luun rahin-e-minnat-e-mai masti-e-shabaab nahin fareb-e-vahm hai 'aaghaa' ye khud-faraamoshi ba-hosh-baash nazar teri kaamyaab nahin"
A
Agha Naginwi
Quote
"basaae jaate hain ahl-e-junun se viraane rumuz-e-mamlikat-e-husn koi kyaa jaane ye kis ki bazm hai aaraasta khudaa jaane nahin hai shama to kyon jal rahe hain parvaane hai banda hone ke izhaar par bashar majbur pa-e-sujud banein masjidein ki but-khaane na qais dasht mein hai aur na koh mein farhaad par un ke naam se guunj uThte hain ye viraane fuzun hain naghma-e-bulbul se qahqahe gul ke ki intizaam-e-chaman ab kareinge divaane dayaar-e-ishq mein barpaa hai inqilaab-e-azim ye daur vo hai ki apne hue hain begaane chhupaa liyaa rukh-e-anvar hinaai haathon se hamaare dil pe jo guzri tiri balaa jaane sitam hazaar hon zaalim magar dilon ko na toD tire khayaal se aabaad hain ye kaashaane vo haal-e-gham miraa khud mujh se sun ke kahte hain ki sun chuke hain ham aise hazaar afsaane hai baada-noshi se maston ko baad-e-marg bhi rabt ki un ki khaak se yaan ban rahe hain paimaane sanam se haal-e-dil-e-zaar kah to duun 'aaghaa' magar main jaaun kahaan vo agar buraa maane"
A
Agha Naginwi
Quote
"arz-e-matlab ne kiyaa aur bhi kuchh khvaar mujhe jab bhi milte hain sunaa dete hain do-chaar mujhe shauq kartaa hai agar maail-e-raftaar mujhe rok letaa hai miraa tauq-e-giraan-baar mujhe chaaraagar kaisi davaa chheD na bekaar mujhe chhoD bhi de miri haalat pe mire yaar mujhe dekhti hai jo miri nargis-e-bimaar mujhe yaad rahtaa nahin apnaa koi aazaar mujhe husn-e-khvaabida tiri khvaab-gah-e-naaz mein aaj le ke aaya hai miraa taala-e-bedaar mujhe mohtasib ishq nahin aaina ye mujrim hai tu kis ilzaam mein kartaa hai giraftaar mujhe naam-e-haq le ke su-e-manzil-e-maqsad huun ravaan na to vahshat hai na khauf-e-rasan-o-daar mujhe shab gai aai sahar shor-e-azaan hai 'aaghaa' phir kiyaa naara-e-takbir ne bedaar mujhe"
A
Agha Naginwi
Quote
"nashaat kam hai ki saamaan-e-dilkashi kam hai sharik-e-bazm nahin hain to kyaa tumhein gham hai khudi kaa zor hai ehsaas-e-bandagi kam hai ik inqalaab se barham nizaam-e-aalam hai hayaat vaajib-o-mumkin kaa rabt-e-baaham hai hamaare dil ki taDap haasil-e-do-aalam hai fareb jab se mohabbat pe ho gayaa ghaalib ik iztiraab hai bechain ruh-e-aalam hai natija aish-e-musalsal kaa shauq-e-mamnuaat ajab nahin ki ye miraas-e-ibn-e-aadam hai shajar nihaal hain khandaan hain gul khilin kaliyaan chaman mein jaan-e-tamannaa kaa khair-maqdam hai ye har ghaDi ki pareshaan-khayaaliyaan 'aaghaa' tafakkuraat-e-zamaana se naak mein dam hai chhupaa sakaa na mohabbat ke raaz ko 'aaghaa' hazaar zabt kiyaa phir bhi aankh pur-nam hai"
A
Agha Naginwi

More on Yaad

View all →
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari