SHAWORDS

yaad teri bhulaa rahaa huun main — Ashfaq Amir

HomeAshfaq AmirGhazal
"yaad teri bhulaa rahaa huun main ik nayaa giit gaa rahaa huun main jo tire saath hi chali gai thi us ghaDi ko bulaa rahaa huun main aaine mein kahaan hai aks tiraa umr bhar DhunDhtaa rahaa huun main ye samundar hai Dubne ke liye phir bhi naav banaa rahaa huun main kyon dhaDakne lagaa hai teraa dil haal apnaa bataa rahaa huun main raunaq-e-bazm-e-shauq yaad nahin hijr mein mubtalaa rahaa huun main saadgi khinchti hai apni taraf rang mein Duubaa jaa rahaa huun main laakh ahl-e-hunar se duur sahi ishq se faiz paa rahaa huun main khvaab bujhne lage hain aankhon mein raat bhar jaagtaa rahaa huun main is zamin ki niyaaz-mandi mein aasmaan ko jhukaa rahaa huun main ik nai zindagi ke siine mein ik nayaa dil banaa rahaa huun main ik puraane junun ke malbe par aql kaa ghar basaa rahaa huun main"
Urdu

یاد تیری بھلا رہا ہوں میں اک نیا گیت گا رہا ہوں میں جو ترے ساتھ ہی چلی گئی تھی اس گھڑی کو بلا رہا ہوں میں آئنے میں کہاں ہے عکس ترا عمر بھر ڈھونڈھتا رہا ہوں میں یہ سمندر ہے ڈوبنے کے لئے پھر بھی ناؤ بنا رہا ہوں میں کیوں دھڑکنے لگا ہے تیرا دل حال اپنا بتا رہا ہوں میں رونق بزم شوق یاد نہیں ہجر میں مبتلا رہا ہوں میں سادگی کھینچتی ہے اپنی طرف رنگ میں ڈوبا جا رہا ہوں میں لاکھ اہل ہنر سے دور سہی عشق سے فیض پا رہا ہوں میں خواب بجھنے لگے ہیں آنکھوں میں رات بھر جاگتا رہا ہوں میں اس زمیں کی نیاز مندی میں آسماں کو جھکا رہا ہوں میں اک نئی زندگی کے سینے میں اک نیا دل بنا رہا ہوں میں اک پرانے جنوں کے ملبے پر عقل کا گھر بسا رہا ہوں میں

Hindi

याद तेरी भुला रहा हूँ मैं इक नया गीत गा रहा हूँ मैं जो तिरे साथ ही चली गई थी उस घड़ी को बुला रहा हूँ मैं आइने में कहाँ है अक्स तिरा उम्र भर ढूँढता रहा हूँ मैं ये समुंदर है डूबने के लिए फिर भी नाव बना रहा हूँ मैं क्यों धड़कने लगा है तेरा दिल हाल अपना बता रहा हूँ मैं रौनक़-ए-बज़्म-ए-शौक़ याद नहीं हिज्र में मुब्तला रहा हूँ मैं सादगी खींचती है अपनी तरफ़ रंग में डूबा जा रहा हूँ मैं लाख अहल-ए-हुनर से दूर सही इश्क़ से फ़ैज़ पा रहा हूँ मैं ख़्वाब बुझने लगे हैं आँखों में रात भर जागता रहा हूँ मैं इस ज़मीं की नियाज़-मंदी में आसमाँ को झुका रहा हूँ मैं इक नई ज़िंदगी के सीने में इक नया दिल बना रहा हूँ मैं इक पुराने जुनूँ के मलबे पर अक़्ल का घर बसा रहा हूँ मैं

yaad terī bhulā rahā huuñ maiñ
Ashfaq Amir
Ashfaq Amir
Ashfaq Amir
poet27 quotes

More by Ashfaq Amir

View all →
Quote
"pahaaDi raaste par aabju ki aazmaaish hai samundar kis taraf hai justuju ki aazmaaish hai pare divaar-e-jaan ke ek dhoke ke sivaa kiyaa hai mire andar musalsal aarzu ki aazmaaish hai kai lahrein si uThti hain jo lafzon mein nahin Dhaltin in aankhon ke muqaabil guftugu ki aazmaaish hai main apne dil ki khaamoshi tujhe email kartaa huun sunaa hai mai-kade mein haa-o-hu ki aazmaaish hai taayyun samt kaa hotaa nahin aankhein bhaTakti hain qadam kaise uThein jab chaar-su ki aazmaaish hai"
Ashfaq AmirAshfaq Amir
Quote
"mujhe udaas bhi karte rahe mire andar jo phuul khil ke bikharte rahe mire andar mujhe miTaati rahi meri khaamushi aksar mire hi khvaab bikharte rahe mire andar mayassar aaya na un ko libaas-e-saut-o-sadaa mire khayaal sanvarte rahe mire andar ab un ki maar se chehra bujhaa bujhaa hai miraa jo sadme mujh pe guzarte rahe mire andar baDe jatan se jalaae the kuchh diye main ne jo ek jhonke se Darte rahe mire andar vo ashk-e-dil ki zaminon ko kar gae shaadaab jo qatra qatra utarte rahe mire andar miri numu mein rukaavaT bane rahe 'aamir' jo vasvase se ubharte rahe mire andar"
Ashfaq AmirAshfaq Amir
Quote
"guzre dinon kaa zikr huaa aur viraani ki baat chali ik muddat se khushk thiin aankhein phir paani ki baat chali us ki gali se shoala uTThaa mere ghar mein aag lagi jalne kaa to zikr nahin thaa taabaani ki baat chali mushkil manzar dekhte rahnaa us ki puraani aadat thi mushkil se is chashm ke aage aasaani ki baat chali baadal aae havaa chali aur baahar mausam badal gayaa dil ke bahte dariyaa mein bhi tughyaani ki baat chali maayusi ke patthar se ik aas kaa chashma phuuT bahaa aas ke bahte paani mein phir hairaani ki baat chali raushan ho gaiin saari galiyaan sab darvaaze chamak uThe jab se 'aamir' shahr mein us ki mehmaani ki baat chali"
Ashfaq AmirAshfaq Amir

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb