"shab-rang parinde rag-o-reshe mein utar jaaein kohsaar agar meri jagah hon to bikhar jaaein har samt siyah gard ki chaadar si tani hai suraj ke musaafir bhi idhar aaein to mar jaaein sab khel havaaon ke ishaaron pe hai varna maujein kahaan mukhtaar ki ji chaahe jidhar jaaein is dasht mein paani ke sivaa DhunDhnaa kyaa hai aankhon mein miri ret ke sau zaaiqe bhar jaaein saae ki tarah saath hi chaltaa hai siyah-bakht ab haath ki bechaari lakirein bhi kidhar jaaein"
ye kis karni kaa phal hogaa kaisi rut mein jaage ham — Ahsan Yusuf Zai
"ye kis karni kaa phal hogaa kaisi rut mein jaage ham tez nukili talvaaron ke biich mein kachche dhaage ham Tahni Tahni jhuul rahi hain laashein zinda patton ki kyaa is nazzaare ki khaatir jangal jangal bhaage ham jalti dhupein pyaasaa panchhi nahr kinaare utregaa jab bhi koi zakhm dikhaa hai ang piyaa ke laage ham apni hi pahchaan nahin to saae ki pahchaan kahaan chappa chappa divaarein hain kyaa dekheinge aage ham sab ke aangan jhaankne vaale ham se hi kyuun bair tujhe kab tak teraa rasta dekhein saari raat ke jaage ham"
یہ کس کرنی کا پھل ہوگا کیسی رت میں جاگے ہم تیز نکیلی تلواروں کے بیچ میں کچے دھاگے ہم ٹہنی ٹہنی جھول رہی ہیں لاشیں زندہ پتوں کی کیا اس نظارے کی خاطر جنگل جنگل بھاگے ہم جلتی دھوپیں پیاسا پنچھی نہر کنارے اترے گا جب بھی کوئی زخم دکھا ہے انگ پیا کے لاگے ہم اپنی ہی پہچان نہیں تو سائے کی پہچان کہاں چپہ چپہ دیواریں ہیں کیا دیکھیں گے آگے ہم سب کے آنگن جھانکنے والے ہم سے ہی کیوں بیر تجھے کب تک تیرا رستہ دیکھیں ساری رات کے جاگے ہم
ये किस करनी का फल होगा कैसी रुत में जागे हम तेज़ नुकीली तलवारों के बीच में कच्चे धागे हम टहनी टहनी झूल रही हैं लाशें ज़िंदा पत्तों की क्या इस नज़्ज़ारे की ख़ातिर जंगल जंगल भागे हम जलती धूपें प्यासा पंछी नहर किनारे उतरेगा जब भी कोई ज़ख़्म दिखा है अंग पिया के लागे हम अपनी ही पहचान नहीं तो साए की पहचान कहाँ चप्पा चप्पा दीवारें हैं क्या देखेंगे आगे हम सब के आँगन झाँकने वाले हम से ही क्यूँ बैर तुझे कब तक तेरा रस्ता देखें सारी रात के जागे हम

More by Ahsan Yusuf Zai
View all →"kaaghaz ki naav huun jise tinkaa Dubo sake yuun bhi nahin ki aap se ye bhi na ho sake barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake ai chikhti havaao ke sailaab shukriya itnaa to ho ki aadmi suuli pe so sake dariyaa pe band baandh ke roko jagah jagah aisaa na ho ki aadmi ji bhar ke ro sake halki si raushni ke farishte hain aas-paas palkon mein buund buund jahaan tak piro sake"
"shishe shishe ko paivast-e-jaan mat karo chand tinkon ko itnaa garaan mat karo raushni jis jagah jhaankti bhi nahin us andhere ko tum aasmaan mat karo ek kamre mein rahnaa hai sab ko yahaan giile patte jalaa kar dhuaan mat karo dushmani to havaaon mein maujud hai koi zahmat pae dostaan mat karo kyaa pata kis ke daaman tale aag hai sab ke chehron pe apnaa gumaan mat karo"
"jahaan shisha hai patthar jaagte hain zarar-ijaad ghar ghar jaagte hain sadaf aasudgi ki niind soe magar pyaase samundar jaagte hain uDi afvaah andhi bastiyon mein sitaaron se muqaddar jaagte hain luTeron ke liye soti hain aankhein magar ham apne andar jaagte hain andheron mein khanDar sotaa paDaa hai abaabilon ke lashkar jaagte hain"
"lahar se lahar kaa naataa kyaa hai mujh pe ilzaam phir aataa kyaa hai bolti aankh mein billor ki ruuh sang-e-aavaaz uThaataa kyaa hai roz o shab bech diye hain main ne is bulandi se giraataa kyaa hai laakhon barson ke safar se haasil dekhnaa kyaa hai dikhaataa kyaa hai tiir andhe hain shikaari andhaa khel hai khel mein jaataa kyaa hai"
"haan nahin ke biich dhundlaai si shaam saae saae mein hai shabnam saa qayaam chehre aankhein honT hanste hain tamaam basti basti tohmat-e-aavaara-gaam raushni ki baazyaabi aaftaab TuTne vaale sitaare teraa naam harf-o-lab maalum samton ke naqib dil safir-e-naa-gahaan samt-e-kalaam kaainaat-e-lams maujud-o-adam kuchh na honaa bhi huaa itnaa tamaam"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"