Quote
"shab-rang parinde rag-o-reshe mein utar jaaein kohsaar agar meri jagah hon to bikhar jaaein har samt siyah gard ki chaadar si tani hai suraj ke musaafir bhi idhar aaein to mar jaaein sab khel havaaon ke ishaaron pe hai varna maujein kahaan mukhtaar ki ji chaahe jidhar jaaein is dasht mein paani ke sivaa DhunDhnaa kyaa hai aankhon mein miri ret ke sau zaaiqe bhar jaaein saae ki tarah saath hi chaltaa hai siyah-bakht ab haath ki bechaari lakirein bhi kidhar jaaein"
