"ye nang-e-aashiqi hai suud o haasil dekhne vaale yahaan gumraah kahlaate hain manzil dekhne vaale khat-e-saaghar mein raaz-e-haqq-o-baatil dekhne vaale abhi kuchh log hain saaqi ki mahfil dekhne vaale maze aa aa gae hain ishva-haa-e-husn-e-rangin ke taDapte hain abhi tak raqs-e-bismil dekhne vaale yahaan to 'umr guzri hai isi mauj o talaatum mein vo koi aur honge sair-e-haasil dekhne vaale mire naghmon se sahbaa-e-kuhan bhi ho gai paani ta'ajjub kar rahe hain rang-e-mahfil dekhne vaale junun-e-'ishq mein hasti 'aalam par nazar kaisi rukh-e-lailaa ko kyaa dekheinge mahmil dekhne vaale"
ye kyaa kahaa ki gham-e-ishq naagavaar huaa — Asghar Gondvi
"ye kyaa kahaa ki gham-e-ishq naagavaar huaa mujhe tu jura-e-talkh aur saazgaar huaa sarishk-e-shauq kaa vo ek qatra-e-naachiz uchhaalnaa thaa ki ik bahar-e-be-kanaar huaa adaa-e-ishq ki tasvir khinch gai puuri vufur-e-josh se yuun husn be-qaraar huaa bahut latif ishaare the chashm-e-saaqi ke na main huaa kabhi be-khud na hushyaar huaa liye phiri nigah-e-shauq saare aalam mein bahut hi jalva-e-husn aaj be-qaraar huaa jahaan bhi meri nigaahon se ho chalaa maadum are baDaa ghazab ai chashm sehr-kaar huaa miri nigaahon ne jhuk jhuk ke kar diye sajde jahaan jahaan se taqaazaa-e-husn-e-yaar huaa"
یہ کیا کہا کہ غم عشق ناگوار ہوا مجھے تو جرعۂ تلخ اور سازگار ہوا سرشک شوق کا وہ ایک قطرۂ ناچیز اچھالنا تھا کہ اک بحر بے کنار ہوا ادائے عشق کی تصویر کھنچ گئی پوری وفور جوش سے یوں حسن بے قرار ہوا بہت لطیف اشارے تھے چشم ساقی کے نہ میں ہوا کبھی بے خود نہ ہشیار ہوا لیے پھری نگہ شوق سارے عالم میں بہت ہی جلوۂ حسن آج بے قرار ہوا جہاں بھی میری نگاہوں سے ہو چلا معدوم ارے بڑا غضب اے چشم سحر کار ہوا مری نگاہوں نے جھک جھک کے کر دئیے سجدے جہاں جہاں سے تقاضائے حسن یار ہوا
ये क्या कहा कि ग़म-ए-इश्क़ नागवार हुआ मुझे तू ज़ुरअ-ए-तल्ख़ और साज़गार हुआ सरिश्क-ए-शौक़ का वो एक क़तरा-ए-नाचीज़ उछालना था कि इक बहर-ए-बे-कनार हुआ अदा-ए-इश्क़ की तस्वीर खिंच गई पूरी वुफ़ूर-ए-जोश से यूँ हुस्न बे-क़रार हुआ बहुत लतीफ़ इशारे थे चश्म-ए-साक़ी के न मैं हुआ कभी बे-ख़ुद न हुश्यार हुआ लिए फिरी निगह-ए-शौक़ सारे आलम में बहुत ही जल्वा-ए-हुस्न आज बे-क़रार हुआ जहाँ भी मेरी निगाहों से हो चला मादूम अरे बड़ा ग़ज़ब ऐ चश्म सेहर-कार हुआ मिरी निगाहों ने झुक झुक के कर दिए सज्दे जहाँ जहाँ से तक़ाज़ा-ए-हुस्न-ए-यार हुआ

More by Asghar Gondvi
View all →"majaaz kaisaa kahaan haqiqat abhi tujhe kuchh khabar nahin hai ye sab hai ik khvaab ki si haalat jo dekhtaa hai sahar nahin hai shamim-e-gulshan nasim-e-sahraa shuaa-e-khurshid mauj-e-dariyaa har ek garm-e-safar hai in mein meraa koi ham-safar nahin hai nazar mein vo gul samaa gayaa hai tamaam hasti pe chhaa gayaa hai chaman mein huun yaa qafas mein huun main mujhe ab is ki khabar nahin hai chamak damak par miTaa huaa hai ye baaghbaan tujhko kyaa huaa hai fareb-e-shabnam mein mubtalaa hai chaman ki ab tak khabar nahin hai ye mujh se sun le to raaz-e-pinhaan salaamti khud hai dushman-e-jaan kahaan se raah-rau mein zindagi ho ki raah jab pur-khatar nahin hai main sar se paa tak huun mai-parasti tamaam shorish tamaam masti khulaa hai mujh par ye raaz-e-hasti ki mujh ko kuchh bhi khabar nahin hai havaa ko mauj-e-sharaab kar de fazaa ko mast o kharaab kar de ye zindagi ko shabaab kar de nazar tumhaari nazar nahin hai paDaa hai kyaa us ke dar pe 'asghar' vo shokh maail hai imtihaan par subut de zindagi kaa mar kar niyaaz ab kaargar nahin hai"
"aks kis chiiz kaa aaina-e-hairat mein nahin teri surat mein hai kyaa jo meri surat mein nahin donon aalam tiri nairang adaai ke nisaar ab koi chiiz yahaan jeb-e-mohabbat mein nahin daulat-e-qurb ko khaasaan-e-mohabbat jaanein chand ashkon ke sivaa kuchh meri qismat mein nahin log marte bhi hain jiite bhi hain betaab bhi hain kaun saa sehr tiri chashm-e-inaayat mein nahin sab se ik tarz judaa sab se ik aahang judaa rang mahfil mein tiraa jo hai vo khalvat mein nahin nashsha-e-ishq mein har chiiz uDi jaati hai kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin daava-e-did ghalat daava-e-irfaan bhi ghalat kuchh tajalli ke sivaa chashm-e-basirat mein nahin ho gai jam' mataa-e-gham-e-hirmaan kyunkar main samajhtaa thaa koi parda-e-ghaflat mein nahin zarre zarre mein kiyaa josh-e-tarannum paidaa khud magar koi navaa saaz-e-mohabbat mein nahin najd ki samt se ye shor-e-anaa-lailaa kyuun shokhi-e-husn agar parda-e-vahshat mein nahin"
"tu ek naam hai magar sadaa-e-khvaab ki tarah main ek harf huun magar nishaan-e-aab ki tarah mujhe samajh ki main hi asl raaz-e-kaaenaat huun dharaa huun tere saamne khuli kitaab ki tarah main koi giit huun magar sadaa ki bandishon mein huun mire lahu mein raag hai sam-e-azaab ki tarah miri panaah-gaah thi unhi khalaaon mein kahin main sath-e-aab par rahaa habaab-e-aab ki tarah main 'asghar'-e-hazin kabhi kisi ke doston mein thaa vo din bhi mujh ko yaad hain khayaal-e-khvaab ki tarah"
"kaun thaa us ke havaa-khvaahon mein jo shaamil na thaa ab huaa maalum mujh ko dil bhi meraa dil na thaa ishq ki betaabiyon par husn ko rahm aa gayaa jab nigaah-e-shauq taDpi parda-e-mahmil na thaa thiin nigaah-e-shauq ki ranginiyaan chhaai hui parda-e-mahmil uThaa to saahib-e-mahmil na thaa qahr hai thoDi si bhi ghaflat tariq-e-ishq mein aankh jhapki qais ki aur saamne mahmil na thaa"
"hai dil-e-naakaam-e-aashiq mein tumhaari yaad bhi ye bhi kyaa ghar hai ki hai barbaad bhi aabaad bhi dil ke miTne kaa mujhe kuchh aur aisaa gham nahin haan magar itnaa ki hai is mein tumhaari yaad bhi kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqi tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyaad bhi siine mein dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gayaa ab vo haalat hai ki kar sakte nahin fariyaad bhi phaaD Daalungaa garebaan phoD lungaa apnaa sar hai mire aafat-kade mein qais bhi farhaad bhi kuchh to 'asghar' mujh mein hai qaaim hai jis se zindagi jaan bhi kahte hain us ko aur un ki yaad bhi"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"