SHAWORDS

ye mere saamne shisha lagaa diyaa kis ne — Aqib Jawed

HomeAqib JawedGhazal
"ye mere saamne shisha lagaa diyaa kis ne ye mujh ko aaj mujhi se milaa diyaa kis ne vo apne chehre kaa DhunDhe hai daagh shishe mein hai daagh chaand pe us ko bataa diyaa kis ne vo jis ke ashkon se puuri zamin giili hai havaa se puchho ghaTaa ko rulaa diyaa kis ne thaa qaid dil kaa parinda jo un ki aankhon mein nazar ye un se milaa kar uDaa diyaa kis ne main ek khoTaa huun sikka parakhne vaalo gar mujhe baazaar mein laa kar chalaa diyaa kis ne mariz-e-ishq huun didaar meri hasrat hai vo puchhte hain ke paagal banaa diyaa kis ne kisi ki royaa na mayyat pe to kabhi 'aaqib' ye yaad aai hai kis ki rulaa diyaa kis ne"
Urdu

یہ میرے سامنے شیشہ لگا دیا کس نے یہ مجھ کو آج مجھی سے ملا دیا کس نے وہ اپنے چہرے کا ڈھونڈھے ہے داغ شیشے میں ہے داغ چاند پہ اس کو بتا دیا کس نے وہ جس کے اشکوں سے پوری زمین گیلی ہے ہوا سے پوچھو گھٹا کو رلا دیا کس نے تھا قید دل کا پرندہ جو ان کی آنکھوں میں نظر یہ ان سے ملا کر اڑا دیا کس نے میں ایک کھوٹا ہوں سکہ پرکھنے والو گر مجھے بازار میں لا کر چلا دیا کس نے مریض عشق ہوں دیدار میری حسرت ہے وہ پوچھتے ہیں کے پاگل بنا دیا کس نے کسی کی رویا نہ میت پہ تو کبھی عاقبؔ یہ یاد آئی ہے کس کی رلا دیا کس نے

Hindi

ये मेरे सामने शीशा लगा दिया किस ने ये मुझ को आज मुझी से मिला दिया किस ने वो अपने चेहरे का ढूँढे है दाग़ शीशे में है दाग़ चाँद पे उस को बता दिया किस ने वो जिस के अश्कों से पूरी ज़मीन गीली है हवा से पूछो घटा को रुला दिया किस ने था क़ैद दिल का परिंदा जो उन की आँखों में नज़र ये उन से मिला कर उड़ा दिया किस ने मैं एक खोटा हूँ सिक्का परखने वालो गर मुझे बाज़ार में ला कर चला दिया किस ने मरीज़-ए-इश्क़ हूँ दीदार मेरी हसरत है वो पूछते हैं के पागल बना दिया किस ने किसी की रोया न मय्यत पे तो कभी 'आकिब' ये याद आई है किस की रुला दिया किस ने

ye mere sāmne shīsha lagā diyā kis ne
Aqib Jawed
Aqib Jawed
Aqib Jawed
poet10 quotes

More by Aqib Jawed

View all →
Quote
"kitni mushkil se us ko DhunDaa hai be-sabab dil kahaan ye TuuTaa hai achchhi surat kaa kyaa karein charchaa achchhi khushbu se phuul biktaa hai us ke bachchon ki aisi sirat hai vaise inTein hain jaisaa khaancha hai us ke vaa'de ki kyaa main baat karun kachchaa dhaaga bhi us se pakkaa hai teri zulfon se bas rihaa ho kar main ne pinjre kaa dard samjhaa hai jab main phulon ko pyaar kartaa huun mujh ko titli se pyaar miltaa hai pahle mahngi thi pyaar ki daulat ab to daulat se pyaar sastaa hai us ki fitrat mein baat aisi hai jo buraa hai to vo bhi achchhaa hai dekhne vaalaa ho agar 'aaqib' zakhm aankhon mein dekh saktaa hai"
Aqib JawedAqib Jawed
Quote
"raah-e-vafaa mein jo bhi koi jaa-nashin bane tujh saa bane to khair hai mujh saa nahin bane shaayad hamaare vaaste koi nahin banaa shaayad kisi ke vaaste ham bhi nahin bane saari zamin ke vaaste ik aasmaan banaa so aasmaan ke vaaste ham bhi makin bane sab husn ban chuke hain tu sab se hasin hai shaayad jahaan mein ab koi tujh saa hasin bane meri khushi ke vaaste meri lahad vahin us ki lahad ke paas hi bilkul vahin bane teraa badan ho baarishon ki ki buund ki tarah meraa badan so us ke liye sar-zamin bane shaayad tumhaare vaaste ik main hi huun banaa shaayad hamaare vaaste ik ho tumhin bane"
Aqib JawedAqib Jawed

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer