"dil se ik dusre ke pyaare hain un ke ham aur vo hamaare hain apnaa daaman jo vo pasaare hain mere aansu bhi chaand taare hain be-khudi bhi hai hoshiyaari bhi chashm-e-saaqi ke kyaa ishaare hain ghair ko dekh kar hamein dekhaa tiir par tiir tum ne maare hain husn parde mein bhi nahin chhuptaa un ke chilman se bhi ishaare hain vo hasin un ke ham-jalis hasin chaand vo dusre sitaare hain bas yahi haasil-e-mohabbat hai tum ye kah do ki ham tumhaare hain un ki aankhein hain DhunDhti 'nashtar' jin ke aankhon hi mein nazaare hain"
ye miri shaam-e-judaai kis balaa ki shaam hai — Nashtar Qaimganjvi
"ye miri shaam-e-judaai kis balaa ki shaam hai saikDon laakhon balaaein ik dil-e-naakaam hai dast-e-saaqi mein jhalaktaa saaghar-e-gulfaam hai jaane qismat kaa sikandar kaun tishna-kaam hai ikhtitaam-e-roghan-e-hasti kaa ye anjaam hai lau charaagh-e-zindagi ki larza-bar-andaam hai mere laashe par aziz-o-aashnaa rote hain kyon ab mujhe taklif kyaa aaraam hi aaraam hai bekasi ne meri baalin par dam-e-aakhir kahaa jitni subhein ho chuki hain hoti sab ki shaam hai paanv thak jaaein balaa se shauq thakne kaa nahin manzil-e-maqsud laakhon kos bhi do gaam hai laDkhaDaa kar gir paDaa huun aa ke manzil ke qarib tum kahaan baiThe ho aao ab tumhaaraa kaam hai achchhi surat ko na jaane kyon buraa kahte hain log husn-e-bechaara to 'nashtar' muft mein badnaam hai"
یہ مری شام جدائی کس بلا کی شام ہے سیکڑوں لاکھوں بلائیں اک دل ناکام ہے دست ساقی میں جھلکتا ساغر گلفام ہے جانے قسمت کا سکندر کون تشنہ کام ہے اختتام روغن ہستی کا یہ انجام ہے لو چراغ زندگی کی لرزہ بر اندام ہے میرے لاشہ پر عزیز و آشنا روتے ہیں کیوں اب مجھے تکلیف کیا آرام ہی آرام ہے بیکسی نے میری بالیں پر دم آخر کہا جتنی صبحیں ہو چکی ہیں ہوتی سب کی شام ہے پاؤں تھک جائیں بلا سے شوق تھکنے کا نہیں منزل مقصود لاکھوں کوس بھی دو گام ہے لڑکھڑا کر گر پڑا ہوں آ کے منزل کے قریب تم کہاں بیٹھے ہو آؤ اب تمہارا کام ہے اچھی صورت کو نہ جانے کیوں برا کہتے ہیں لوگ حسن بیچارہ تو نشترؔ مفت میں بدنام ہے
ये मिरी शाम-ए-जुदाई किस बला की शाम है सैकड़ों लाखों बलाएँ इक दिल-ए-नाकाम है दस्त-ए-साक़ी में झलकता साग़र-ए-गुलफ़ाम है जाने क़िस्मत का सिकंदर कौन तिश्ना-काम है इख़्तिताम-ए-रोग़न-ए-हस्ती का ये अंजाम है लौ चराग़-ए-ज़िंदगी की लर्ज़ा-बर-अंदाम है मेरे लाशे पर अज़ीज़-ओ-आश्ना रोते हैं क्यों अब मुझे तकलीफ़ क्या आराम ही आराम है बेकसी ने मेरी बालीं पर दम-ए-आख़िर कहा जितनी सुब्हें हो चुकी हैं होती सब की शाम है पाँव थक जाएँ बला से शौक़ थकने का नहीं मंज़िल-ए-मक़्सूद लाखों कोस भी दो गाम है लड़खड़ा कर गिर पड़ा हूँ आ के मंज़िल के क़रीब तुम कहाँ बैठे हो आओ अब तुम्हारा काम है अच्छी सूरत को न जाने क्यों बुरा कहते हैं लोग हुस्न-ए-बेचारा तो 'नश्तर' मुफ़्त में बदनाम है

More by Nashtar Qaimganjvi
View all →"jalve kaa un ke ye hai asar kuchh khabar nahin main kaun huun kahaan huun kidhar kuchh khabar nahin siine mein har taraf nazar aataa hai dard hi dil hai kahaan kahaan hai jigar kuchh khabar nahin aankhon mein ek rang udaasi kaa jam gayaa kaisi hai shaam kaisi sahar kuchh khabar nahin ab chaaraagar tu mujh se miraa haal kuchh na puchh hai yaa nahin hai dard-e-jigar kuchh khabar nahin har dam tire khayaal mein hai mahviyat mujhe hoti hai kaise umr basar kuchh khabar nahin itnaa to jaante hain ki dil mein hain zalzale kyaa kar gai ik un ki nazar kuchh khabar nahin rahtaa hai bandishon mein vo har vaqt ziist ki apni qazaa ki rakhtaa bashar kuchh khabar nahin ab itni mahviyat hai hamein tere ishq mein kaisi khabar kahaan ki khabar kuchh khabar nahin laai hai apne saath jo 'nashtar' shab-e-firaaq is shaam ki kab hogi sahar kuchh khabar nahin"
"dil-o-jigar kaa faraaham jo kuchh lahu karte to phir namaaz-e-mohabbat kaa ham vuzu karte maze ajal ke bayaan un ke ru-ba-ru karte masih-o-khizr bhi marne ki aarzu karte vo apne husn pe naazaan kabhi nahin hote jo aaina vo kabhi apne ru-ba-ru karte jo apne dast-e-junun ko qaraar aa jaataa to chaak-e-dil ko kahin baiTh kar rafu karte milaa huaa thaa gale se mire vo gul 'nashtar' tamaam umr hui jis ki justuju karte"
"mataaa-e-aish jo paai to muflisi na rahi tum aa gae to kisi chiiz ki kami na rahi vo lau lagi ki na aankhein rahin na dil baaqi bujhi bujhi na rahi aur lagi lagi na rahi ye gham rahaa dam-e-rukhsat tumhein nahin dekhaa ab aae tum ki jab aankhon mein raushni na rahi tamaam umr ye dekhaa karishma-e-qismat bigaD bigaD ke bani aur bani bani na rahi na aae phir vo judaa jab se ho gae 'nashtar' rahaa bhi kyaa jo mire ghar ki raushni na rahi"
"gham ko apne khushi banaataa huun ashk pi pi ke muskuraataa huun jis taraf main nazar uThaataa huun us taraf tum hi tum ko paataa huun dil mein khaakon pe naa-muraadi ke aas kaa rang main jamaataa huun apni taqdir ke sitaare ko apne sajdon se jagmagaataa huun tum bhi ab ye karo na yaad aao main tumhein dil se ab bhulaataa huun main har ik saaz-e-gham pe ai 'nashtar' un ki ulfat ke giit gaataa huun"
"raahat-e-jaan thaa vahi ab dushman-e-jaan ho gayaa zarf-e-marham apni qismat se namak-daan ho gayaa zindagi par bas nahin hai maut par qaabu nahin bas inhin majburiyon kaa naam insaan ho gayaa khuun ki chhinTon se vahshi ne khilaae itne gul ik chaman chhoTaa saa bar-divaar-e-zindaan ho gayaa khuun kaa daavaa to kaisaa aur ulTaa hashr mein kaT gayaa main jab miraa qaatil pashemaan ho gayaa haTiye haTiye naghma-e-hasti se lau uThne lagi bachiye bachiye mere jal bujhne kaa saamaan ho gayaa zabt ki duniyaa Dubo di ek aansu ne mire bund-bar paani baDhaa itnaa ki tufaan ho gayaa ashk-e-khuni ne mire 'nashtar' vo kiin gulkaariyaan meraa daaman ek chhoTaa saa gulistaan ho gayaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"