Quote
"baadalon ke beach thaa main be-sar-o-saamaan na thaa tishnagi kaa zahr pi lenaa koi aasaan na thaa kyaa qayaamat-khez thaa dariyaa mein maujon kaa hujum saahilon tak aate aate phir kahin tufaan na thaa jaane kitni duur us ki lahar mujh ko le gai main samajhtaa thaa ki vo dariyaa-e-be-paayaan na thaa har taraf patjhaD ki aavaazon ki chaadar tan gai dasht mein meri sadaa kaa jism bhi uryaan na thaa is ke rang-o-saut ke jugnu the daaman mein 'alim' kho ke sab kuchh aane vaalaa bhi tahi-daamaan na thaa"
