SHAWORDS

ziist kyaa aab-e-ravaan ho jaise — Arshad Hamraz

HomeArshad HamrazGhazal
"ziist kyaa aab-e-ravaan ho jaise ye jahaan koi dhuaan ho jaise jism sahraa hai ye andar jis ke dil koi koh-e-giraan ho jaise le gae luuT ke jaane vaale ab to ye khaali makaan ho jaise 'aalam-e-vasl yahaan misl-e-bahaar mausam-e-hijr khizaan ho jaise raatein aankhon mein basar hoti thiin ab vo rut vahm-o-gumaan ho jaise"
Urdu

زیست کیا آب رواں ہو جیسے یہ جہاں کوئی دھواں ہو جیسے جسم صحرا ہے یہ اندر جس کے دل کوئی کوہ گراں ہو جیسے لے گئے لوٹ کے جانے والے اب تو یہ خالی مکاں ہو جیسے عالم وصل یہاں مثل بہار موسم ہجر خزاں ہو جیسے راتیں آنکھوں میں بسر ہوتی تھیں اب وہ رت وہم و گماں ہو جیسے

Hindi

ज़ीस्त क्या आब-ए-रवाँ हो जैसे ये जहाँ कोई धुआँ हो जैसे जिस्म सहरा है ये अंदर जिस के दिल कोई कोह-ए-गिराँ हो जैसे ले गए लूट के जाने वाले अब तो ये ख़ाली मकाँ हो जैसे 'आलम-ए-वस्ल यहाँ मिस्ल-ए-बहार मौसम-ए-हिज्र ख़िज़ाँ हो जैसे रातें आँखों में बसर होती थीं अब वो रुत वहम-ओ-गुमाँ हो जैसे

ziist kyā āb-e-ravāñ ho jaise
Arshad Hamraz
Arshad Hamraz
Arshad Hamraz
poet7 quotes

More by Arshad Hamraz

View all →
Quote
"the log bhole-bhaale na jaane kahaan gae vo dost yaar saare puraane kahaan gae kaaghaz ki naav jeb mein sikke jo chand the dil DhunDhtaa hai saare khazaane kahaan gae pakke gharon ne basti kaa naqsha badal diyaa miTTi ke vo hamaare Thikaane kahaan gae gaanv ki har gali ye mujhe puchhti hai ab thiin raunaqein vo jin se kamaane kahaan gae jab ghar the chhoTe sab ke magar dil faraakh the vo log pyaare achchhe zamaane kahaan gae har shakhs ab to rahtaa hai ghamgin hi yahaan hansmukh jo the vo hansne hansaane kahaan gae ab to tamaam dasht-o-bayaabaan ujaD gae aabaad the ye jin se divaane kahaan gae har samt ab fazaaon mein nafrat ki aag hai mausam vo chaahaton ke suhaane kahaan gae 'hamraaz' tum bhi shahr ke ho jaao yaar ab gaanv mein tum ye rone rulaane kahaan gae"
Arshad HamrazArshad Hamraz
Quote
"zindagi ke is safar mein haadse baDhne lage ranj-o-gham se rafta-rafta raabte baDhne lage zahr nafrat ke dimaagh-o-dil mein kis ne bhar diye jism-o-jaan ke darmiyaan ab faasle baDhne lage ziist ke is khel mein bas shart marne hi ki thi ham hue shaamil to us ke zaabte baDhne lage saamne manzil thi par milnaa muqaddar mein na thaa jis taraf paaon uThe vo raaste baDhne lage achchhe-achchhon ki nazar uThti na thi pahle idhar ab to aise-vaison ke bhi hausle baDhne lage jab se vo ‘hamraaz’ ban baiThaa hai mir-e-kaarvaan qaafile mein luuT ke ab vaaqa'e baDhne lage"
Arshad HamrazArshad Hamraz

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil