SHAWORDS

zulm kyon naaravaa kare koi — Ejaz Ajmeri

HomeEjaz AjmeriGhazal
"zulm kyon naaravaa kare koi kuchh to khauf-e-khudaa kare koi hogaa maghrur aur bhi maghrur aaina de ke kyaa kare koi sun le apne faqir ki sun le ik sadaa hai bhalaa kare koi muft hi kar rahe hain zulm-o-sitam qarz ho to adaa kare koi intihaa ho chuki khushaamad ki us ki marzi kaa kyaa kare koi aah likh kar qalam bhi toD diyaa haal kab tak likhaa kare koi aashiqon kaa faqat bahaana hai dard ho to davaa kare koi lo chalo bazm-e-ghair mein bhi chalein dekhein 'ejaaz' kyaa kare koi"
Urdu

ظلم کیوں ناروا کرے کوئی کچھ تو خوف خدا کرے کوئی ہوگا مغرور اور بھی مغرور آئنہ دے کے کیا کرے کوئی سن لے اپنے فقیر کی سن لے اک صدا ہے بھلا کرے کوئی مفت ہی کر رہے ہیں ظلم و ستم قرض ہو تو ادا کرے کوئی انتہا ہو چکی خوشامد کی اس کی مرضی کا کیا کرے کوئی آہ لکھ کر قلم بھی توڑ دیا حال کب تک لکھا کرے کوئی عاشقوں کا فقط بہانہ ہے درد ہو تو دوا کرے کوئی لو چلو بزم غیر میں بھی چلیں دیکھیں اعجازؔ کیا کرے کوئی

Hindi

ज़ुल्म क्यों नारवा करे कोई कुछ तो ख़ौफ़-ए-ख़ुदा करे कोई होगा मग़रूर और भी मग़रूर आइना दे के क्या करे कोई सुन ले अपने फ़क़ीर की सुन ले इक सदा है भला करे कोई मुफ़्त ही कर रहे हैं ज़ुल्म-ओ-सितम क़र्ज़ हो तो अदा करे कोई इंतिहा हो चुकी ख़ुशामद की उस की मर्ज़ी का क्या करे कोई आह लिख कर क़लम भी तोड़ दिया हाल कब तक लिखा करे कोई आशिक़ों का फ़क़त बहाना है दर्द हो तो दवा करे कोई लो चलो बज़्म-ए-ग़ैर में भी चलें देखें 'एजाज़' क्या करे कोई

zulm kyoñ nāravā kare koī
E
Ejaz Ajmeri
Ejaz Ajmeri
poet14 quotes

More by Ejaz Ajmeri

View all →
Quote
"miri divaangi ko apni zulfon mein chhupaa baiThe tamaashaa dekhne vaale tamaashaa kyon dikhaa baiThe ba-juz in chaar ashkon ke hamaare paas thaa hi kyaa usi daulat ke maalik the usi ko ham luTaa baiThe miri jaanib se pahle hi bhare baiThe the ghusse mein tumhaare haath kyaa aaya lagi mein kyon lagaa baiThe ab us kaa jaisaa ji chaahe bhalaa maane buraa maane hue majbur is dil se to ham bhi dar pe aa baiThe koi vaaqif na thaa 'ejaaz' is dil ke ta'alluq se haqiqat khul gai aakhir jo vo parde mein jaa baiThe ajab aalam thaa ai 'ejaaz' rindon ki masarrat kaa mire haathon mein jaam aaya to mai-khaana luTaa baiThe"
E
Ejaz Ajmeri
Quote
"sab un kaa haal dekh rahe hain nazar se ham baiThe hain is tarah se ki hain be-khabar se ham himmat se kaam le ke nigaahein milaa to lein uljhan mein paD gae hain payaam-e-nazar se ham uDne lagaa hai phailtaa jaataa hai har taraf is daaman-e-khayaal ko pakDein kidhar se ham dikhlaa diyaa jo aaj muqaddar ne us kaa dar ik bojh thaa utaar chale apne sar se ham dil mein utar na aaein vo aankhon ki raah se dil ko bachaa rahe hain khud apni nazar se ham raahein bhi band hain dar-e-taqdir bhi hai band us ke harim-e-naaz mein jaaein kidhar se ham hain aur kyaa iraade tumhein is ki fikr kyon 'ejaaz' puchh leinge usi fitna-gar se ham"
E
Ejaz Ajmeri
Quote
"us ke harim-e-naaz mein teraa guzar kahaan ai dil ye sach bataa ki rahaa raat bhar kahaan manzil se duur gum-shuda-e-kaarvaan huun main aaein miri madad ke liye hain khizar kahaan uzlat-nashin-e-khalvat-o-mast-e-khayaal ban phirtaa rahegaa khaak banaa dar-ba-dar kahaan majbur-e-ishq huun ki uThaataa huun apne haath go jaantaa huun main ki duaa mein asar kahaan ik daastaan-e-shauq mire dil mein hai abhi baatein hui hain yaar se ji khol kar kahaan vo mere ghar pe aaein na aaein bulaa hi lein 'ejaaz' meraa aisaa muqaddar magar kahaan"
E
Ejaz Ajmeri
Quote
"ba-faiz-e-ishq vo din bhi kabhi parvardigaar aae mire ghar koi aa jaae mire ghar mein bahaar aae kabhi to aa hi jaataa hai vo manzar bhi nigaahon mein jahaan marne ko ji chaahe jahaan jiine mein aar aae ye viraani kaa aalam hai yahaan sab khaana-viraan hain ye divaanon ki duniyaa hai yahaan koi hoshiyaar aae bharam sab khul gayaa ai shaikh teri paarsaai kaa sahar masjid mein pahunchaane tujhe jab baada-khvaar aae jinhein apnaa samajhtaa thaa vahi nikle hain begaane jahaan vaalon pe ab kyaa khaak mujh ko eatibaar aae khudaa ne husn kuchh aisaa diyaa hai dekh kar jis ko miraa to zikr hi kyaa hai zamaane bhar ko pyaar aae ye kaisaa dil banaayaa hai hasinon kaa khudaa-vandaa na hansnaa saazgaar aae na ronaa saazgaar aae nigaah-e-mehr se us ne mujhe 'ejaaz' dekhaa hai magar is chalte phirte saae kaa kyaa eatibaar aae"
E
Ejaz Ajmeri
Quote
"maza to jab hai gham-e-ishq aashkaar na ho jigar pe choT lage aur be-qaraar na ho ye dil pasand na kar dekh daagh-daar na ho ise na toD mohabbat ki yaadgaar na ho zaraa sanbhal ke mire haal-e-dil ko suniyegaa miri zabaan kahin shamshir-e-aab-daar na ho hue hain meri taraf se vo bad-gumaan aise main dil bhi chiir ke rakh duun to eatibaar na ho khafaa na ho to bataa duun vo raaz ki baatein kuchh aur yaad dilaa duun jo naagavaar na ho huaa huun gum to zamaana talaash kartaa hai rahun sharik to meraa koi shumaar na ho paDaa huaa hai tire dar pe is liye 'ejaaz' kahin talaash ki zahmat na ho pukaar na ho"
E
Ejaz Ajmeri

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui