SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Qadir(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aasmaan sar pe uThaayaa bhi nahin jaaegaa haan magar us ko bhulaayaa bhi nahin jaaegaa hausla apni jagah Thiik hai lekin ham se dusraa ishq nibhaayaa bhi nahin jaaegaa shikva-e-zulmat-e-shab khuub kiyaa jaaegaa ik diyaa khud kaa jalaayaa bhi nahin jaaegaa khaak us shakhs se taabir pe asraar karein jis se kuchh khvaab dikhaayaa bhi nahin jaaegaa tum ne achchhaa hi kiyaa tark-e-mohabbat kar ke tum se ye misraa uThaayaa bhi nahin jaaegaa vo bhi mumkin hai na aane ke bahaane DhunDe aur ab ham se bulaayaa bhi nahin jaaegaa puchhne aae hain ahvaal vo 'abdul-qaadir' kyaa bataaein ki bataayaa bhi nahin jaaegaa"
A
Abdul Qadir
Quote
"jab se us ko nazar mein rakkhaa hai hosh ko ham ne ghar mein rakkhaa hai aankh hairaan hai ki ham ne bhi kyaa nazaara nazar mein rakkhaa hai hauslon se uDaan bhar pyaare kyaa bhalaa baal-o-par mein rakkhaa hai baahari rang-o-nur khuub sahi par khazaana to ghar mein rakkhaa hai hai faqat aadaton kaa ik daftar varna kyaa khaak ghar mein rakkhaa hai paanv kis rahguzar mein rakhnaa thaa paanv kis rahguzar mein rakkhaa hai haan ye teraa hi naam hai haan haan jo miri chashm-e-tar mein rakkhaa hai hai faqat garm jhuuT kaa baazaar kyaa bhalaa ab khabar mein rakkhaa hai jo utaaraa na jaa sake ham se ham ne vo saudaa sar mein rakhaa hai aakhirat an-qarib hai 'qaadir' kyaa kyaa zaad-e-safar mein rakkhaa hai"
A
Abdul Qadir
Quote
"ham nahin milte nahin milte hain ham shaam ke baad phir bhi aa jaate hain kuchh ahl-e-karam shaam ke baad din vo zaalim hai ki Dhaataa hai sitam shaam ke baad baDhtaa jaataa hai miraa koh-e-alam shaam ke baad jaane lag jaate hain sab su-e-haram shaam ke baad aur vahaan phir se vahi jhuTi qasam shaam ke baad apni yaadon se gham-e-shaam ki chhuTTi rakkhein hone lag jaati hai aankh aur bhi nam shaam ke baad biivi bachchon ki hansi asl kamaai hai miri bas yahi bachti hai le de ke raqam shaam ke baad mai-kadaa saare masaail ko miTaa detaa hai masala diin kaa vahaan hai na dharam shaam ke baad din mein to khuub sataaish ki sanad milti hai khulte jaate hain mire saare bharam shaam ke baad vo jo jaataa hai to mujh ko bhi liye jaataa hai haae ho jaataa huun main aur bhi kam shaam ke baad aaj kyaa lenaa hai kyaa khaanaa hai 'abdul-qaadir' sar uThaae hue phirte hain ye gham shaam ke baad"
A
Abdul Qadir
Quote
"sar mein saudaa koi baaqi na junun hai yuun hai ab to aaraam hai raahat hain sukun hai yuun hai us se milne ke bahaane to bahut hain lekin us se milnaa mire pindaar kaa khuun hai yuun hai naasehaa tujh ko khabar sab hai mohabbat kyaa hai varna yunhi nahin samjhaa thaa ki yuun hai yuun hai ham hain muhtaaj har ik kaam ke karne mein yahaan rab kaa har kaam faqat kun-fayakun hai yuun hai kitni raghbat thi tiri yaad se pahle mujh ko aur tiri yaad bhi ab kaar-zabun hai yuun hai phir vahi kal ki tarah der se ghar aaoge phir vahi uzr bataaoge ki yuun hai yuun hai pahle kuchh baat bhi ho jaati thi us se 'qaadir' aur ab us se miri haan hai na huun hai yuun hai"
A
Abdul Qadir
Quote
"ab kyaa ye hisaab kitaab rakkhein kis kis ne hamein barbaad kiyaa kis kis ne khushiyaan diin ham ko kis kis ne hamein naashaad kiyaa ik aas thi so vo TuuT gai ik saans thi vo bhi chhuT gai ab ye kaahe ki hichki hai ab kaun hai jis ne yaad kiyaa vo ishq thaa yaa majburi thi ab tak ye muamma hal na huaa har roz muaafi ke badle ik taaza sitam ijaad kiyaa aasaan nahin thaa us ke binaa par guzar gai jo guzarni thi vo dil jo kabhi ujaaDaa hi nahin tire gham ne jise aabaad kiyaa ye pyaar-vyaar ki baatein sab duniyaa jise sher samajhti hai sab us ki jafaa ke qisse hain jis ne hamein laaeq-e-daad kiyaa jab tum hi nahin haasil ham ko kyaa haasil duniyaa milne se bejaa ye khvaahish-e-ishq rahi bejaa khud ko farhaad kiyaa barbaad to honaa thaa aakhir ik din to kisi ke haathon se par naaz karo 'abdul-qaadir' ki us ne tumhein barbaad kiyaa"
A
Abdul Qadir
Quote
"kaam bas faatiha-khvaani se nahin hotaa hai ishq izhaar zabaani se nahin hotaa hai hai ye quraan amal karne ki daulat yaaro nafaa bas lafz-e-maaani se nahin hotaa hai kuchh inaayat yahaan ahbaab bhi kar jaate hain sab ziyaan dushman-e-jaani se nahin hotaa hai kaam ho jaataa hai bas misraa-e-avval se bhi kabhi kaam jo misra-e-saani se nahin hotaa hai ye tijaarat nahin ik aham ibaadat hai miyaan ishq mein laabh-o-haani se nahin hotaa hai baaz auqaat Thaharne ki talab hoti hai kaam har vaqt ravaani se nahin hotaa hai jaan-levaa kabhi khaamoshi bhi ho jaati hai khuun bas shoala-bayaani se nahin hotaa hai aarzi pyaas to bujh jaati hai is se lekin pyaas miT jaae ye paani se nahin hotaa hai piinaa paDtaa hai yahaan jaam-e-shahaadat 'qaadir' naam bas qissa kahaani se nahin hotaa hai"
A
Abdul Qadir