Quote
"hamaare nafs se chaltaa hai is hayaat kaa kaam aur is hayaat se chaltaa hai kaainaat kaa kaam main aaj khush huun to phir kyuun hi ashk zaae' karun ki tang-haali mein paDtaa hai zevaraat kaa kaam miri ragon ne hi thaamaa huaa hai meraa badan so un kaa kaam vahi hai jo jangalaat kaa kaam yahin se jannat-o-dozakh ke faisle honge yahin ke kaam se hogaa pul-e-siraat kaa kaam hamaari zaat ke kaamon mein kaam karnaa hai vo kaam hogaa na hogaa khudaa ki zaat kaa kaam kisi bhi bhuke ko roTi na pheink kar diije ye nek kaam hai is ko banaaein haath kaa kaam jo raat der se soein to din mein niind aae hamaare din mein khalal Daaltaa hai raat kaa kaam"







