SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzal Ahmad Syed(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ye nahr-e-aab bhi us ki hai mulk-e-shaam us kaa jo hashr mujh pe bapaa hai vo ehtimaam us kaa sipaah-e-taaza bhi us ki saf-e-nigaah se hai safaa-e-sina-e-shmshir par hai naam us kaa amaan khema-e-ram-khurdgaan mein baaqi hai ki naa-tamaam hai ik shauq-e-qatl-e-aam us kaa kitaab-e-umr se sab harf uD gae mere ki mujh asiir ko honaa hai ham-kalaam us kaa dil-e-shikasta ko laanaa hai ru-ba-ru us ke jo mujh se narm huaa koi band daam us kaa main us ke haath se kis zakhm mein kami rakkhun shuru-e-naaz bhi us kaa hai ikhtitaam us kaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"huaa hai qata miraa dast-e-mojaza tujh pe giyaah-e-zard bahut hai ye saaneha tujh pe main chaahtaa huun mujhe mashalon ke saath jalaa kushaada-tar hai agar khema-e-havaa tujh pe main apne kushta charaaghon kaa pul banaa detaa kisi bhi shaam miri nahr-e-pesh-paa tujh pe ye koi kam hai ki ai reg-e-shisha-e-saaat ugaa rahaa huun main ik nakhl-e-aaina tujh pe ki ajnabi huun bahut saaya-e-shajar ke liye so reg-e-zard mein hotaa huun ru-numaa tujh pe pukaarti hai mujhe khaak-e-khisht-e-paivasta ye nasb hone kaa hai khatm silsila tujh pe"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"duaa ki raakh pe marmar kaa itr-daan us kaa gazidgi ke liye dast-e-mehrbaan us kaa gahan ke roz vo daaghi hui jabin us ki shab-e-shikast vahi jism be-amaan us kaa kamand-e-ghair mein sab asp o gosfand us ke nasheb-e-khaak mein khufta-sitaara-daan us kaa tannur-e-yakh mein ThiThurte hain khvaab o khuun us ke likhaa hai naam sar-e-lauh-e-raftagaan us kaa chuni hui hain tah-e-khisht ungliyaan us ki khulaa huaa hai pas-e-reg baadbaan us kaa vo ik charaagh hai divaar-e-khastagi pe rukaa havaa ho tez to har haal mein ziyaan us kaa usi se dhuup hai ambaar-e-dhund hai ru-posh giraft-e-khvaab se barsar hai kaarvaan us kaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"kuchh aur rang main tartib-e-khushk-o-tar kartaa zamin bichhaa ke havaa oDh ke basar kartaa gul o shaguft ko aapas mein dastaras detaa aur aaine ke liye aaina sipar kartaa charaagh-e-kohna haTaataa fasil-e-murda se giyaah-e-khaam pe shabnam dabiz-tar kartaa vo niim naan-e-khunuk aab aur sag-e-ham-naam main zer-e-sabz-shajar apnaa mustaqar kartaa vo jis se shahr ki divaar be-navishta hai main us ki shaakh-e-tahayya ko be-samar kartaa main chumtaa huaa ik ahd-naama-e-mansukh kisi qadim samundar mein rahguzar kartaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"bahut na hausala-e-izz-o-jaah mujh se huaa faqat faraaz-e-nagin-o-nigaah mujh se huaa charaagh-e-shab ne mujhe apne khvaab mein dekhaa sitaara-e-sahari khush-nigaah mujh se huaa giraft-e-kuzaa se ik khaak meri samt baDhi saf-e-saraab koi sadd-e-raah mujh se huaa shab-e-fasaana-o-farsang us se mil aayaa jo maavaraa-e-safed-o-siyaah mujh se huaa sar-e-gurez-o-gumaan us ne imtihaan liyaa jo ham-kanaar miraa kam-nigaah mujh se huaa Kamaan-e-khaana-e-aflaak ke muqaabil bhi main us se aur vo phir kaj-kulaah mujh se huaa jo sail-e-hijrat-e-gul thaa mire qadam se rukaa kamand lamha-e-sad-ishtibaah mujh se huaa niyaam-zad na hui mujh se tegh-e-hairaani shikaste-e-aaina-e-intibaah mujh se huaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"koi na harf-e-naved-o-khabar kahaa us ne vahi fasaana-e-ashufta-tar kahaa us ne shiraakat-e-khas-o-shola hai kaarobaar-e-junun ziyaan-kade mein kis anjaam par kahaa us ne use bhi naaz-e-ghalat-karda-e-taghaaful thaa ki khvaab o khema-faroshi ko ghar kahaa us ne tamaam log jise aasmaan kahte hain agar kahaa to use baal o par kahaa us ne use ajab thaa ghurur-e-shaguft-e-rukhsaari bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kahaa us ne ye gul hain aur ye sitaare hain aur ye main huun bas ek din mujhe taalim kar kahaa us ne miri misaal thi saffaaki-e-tamannaa mein supurdagi mein mujhe qatl kar kahaa us ne main aaftaab-e-qayaamat thaa so tulu huaa hazaar matla-e-naa-saaz-tar kahaa us ne"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"kabhi na khud ko bad-andesh-e-dasht-o-dar rakkhaa utar ke chaah mein paataal kaa safar rakkhaa yahi bahut the mujhe naan o aab o shama o gul safar-nazhaad thaa asbaab mukhtasar rakkhaa havaa-e-shaam-e-dil-aazaar ko asiir kiyaa aur us ko dasht mein pan-chakkiyon ke ghar rakkhaa vo ek reg-gazida si nahr chalne lagi jo main ne chuum ke paikaan kamaan par rakkhaa vo aai aur vahin taaqchon mein phuul rakhe jo main ne nazr ke patthar pe jaanvar rakkhaa jabin ke zakhm pe misqaal-e-khaak rakkhi aur ik alvidaa kaa shugun us ke haath par rakkhaa giraft tez rakkhi rakhsh-e-umr par main ne bajaae jumbish-e-mahmez-e-nishtar rakkhaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed
Quote
"giraa to gir ke sar-e-khaak-e-ibtizaal aayaa main tegh-e-tez thaa lekin mujhe zavaal aayaa ajab huaa ki sitaara-shanaas se mil kar shikast-e-anjum-e-nau-khez kaa khayaal aayaa main khaak-e-sard pe soyaa to mere pahlu mein phir ek khwaab-e-shikast aaina-misaal aayaa kamaan-e-shaakh se gul kis hadaf ko jaate hain nasheb-e-khaak mein jaa kar mujhe khayaal aayaa koi nahin thaa magar saahil-e-tamannaa par havaa-e-shaam mein jab rang-e-indimaal aayaa yahi hai vasl dil-e-kam-muaamla ke liye ki aaine mein vo khurshid-e-khadd-o-khaal aayaa"
Afzal Ahmad SyedAfzal Ahmad Syed