SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Rizwan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aataa hi nahin hone kaa yaqin kyaa baat karun hai duur bahut vo khvaab-nashin kyaa baat karun kyaa baat karun jo aks thaa meri aankhon mein vo chhoD gayaa ik shaam kahin kyaa baat karun kyaa baat karun jo ghaDiyaan meri hamdam thiin vo ghaDiyaan hi aazaar banin kyaa baat karun kyaa baat karun mire saathi mujh se chhuT gae vo log nahin vo khvaab nahin kyaa baat karun kyaa baat karun ye log bhalaa kab sunte hain sab baatein andar Duub gaiin kyaa baat karun kyaa baat karun apnon ki jitni laashein thiin mire siine mein sab aan girin kyaa baat karun kyaa baat karun jo baatein tum se karni thiin ab un baaton kaa vaqt nahin kyaa baat karun kyaa baat karun kabhi paani baatein kartaa thaa ye dariyaa is ki khushk zamin kyaa baat karun kyaa baat karun sahraa mein chaand akelaa hai aur mere saath bhi koi nahin kyaa baat karun kyaa baat karun 'rizvaan' ki ronaa aataa hai sab baatein us ki baat se thiin kyaa baat karun"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"khaak dekhi hai shafaq-zaar falak dekhaa hai zarf bhar teri tamannaa mein bhaTak dekhaa hai aisaa lagtaa hai koi dekh rahaa hai mujh ko laakh is vahm ko sochon se jhaTak dekhaa hai qudrat-e-zabt bhi logon ko dikhaai ham ne surat-e-ashk bhi aankhon se chhalak dekhaa hai jaane tum kaun se manzar mein chhupe baiThe ho meri aankhon ne bahut duur talak dekhaa hai raat kaa khauf nahin ghaTtaa andheraa to kujaa sab tarah-daar sitaaron ne chamak dekhaa hai ek muddat se use dekh rahaa huun 'ahmad' aur lagtaa hai abhi ek jhalak dekhaa hai"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"kisi ko chhoD detaa huun kisi ke saath chaltaa huun main chaltaa huun to phir vaabastagi ke saath chaltaa huun sitaare baanTne vaale kisi pal lauT aaeinge chalo kuchh der yunhi tirgi ke saath chaltaa huun mujhe ye kyaa paDi hai kaun meraa ham-safar hogaa havaa ke saath gaataa huun nadi ke saath chaltaa huun vo kahte hain zamaana tez hai lambi masaafat hai mohabbat kaa sitaaraa huun sabhi ke saath chaltaa huun badalte mausamon kaa khvaab huun kitne zamaanon se yahaan main kaarvaan-e-zindagi ke saath chaltaa huun manaazir rok lete hain mire uThte qadam 'ahmad' zaraa saa bhi agar begaanagi ke saath chaltaa huun"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"aankhein banaataa dasht ki vusat ko dekhtaa hairat banaane vaale ki hairat ko dekhtaa hotaa na koi kaar-e-zamaana mire supurd bas apne kaarobaar-e-mohabbat ko dekhtaa kar ke nagar nagar kaa safar is zamin par logon ki bud-o-baash o rivaayat ko dekhtaa aataa agar khayaal shajar chhaanv mein nahin ghar se nikal ke dhuup ki hiddat ko dekhtaa yuun lag rahaa thaa main koi sahraa kaa peD huun us shaam to agar miri haalat ko dekhtaa 'ahmad' vo izn-e-did jo detaa to ek shaam khud par guzarne vaali aziyyat ko dekhtaa"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"shab Dhale gumbad-e-asraar mein aa jaataa hai ek saaya dar-o-divaar mein aa jaataa hai main abhi ek havaale se use dekhtaa huun dafatan vo nae kirdaar mein aa jaataa hai yuun shab-e-hijr shab-e-vasl mein Dhal jaati hai koi mujh saa miri guftaar mein aa jaataa hai mujh saa divaana koi hai jo tire naam ke saath raqs kartaa huaa baazaar mein aa jaataa hai jab vo kartaa hai nae Dhab se miri baat ko radd lutf kuchh aur bhi guftaar mein aa jaataa hai dekhnaa us ko bhi paDtaa hai miyaan duniyaa mein saamne jo yunhi be-kaar mein aa jaataa hai ek din qais se jaa miltaa hai vahshat ke tufail jo bhi is dasht-e-sukhan-zaar mein aa jaataa hai main kabhi khud ko agar DhunDhnaa chaahun 'ahmad' dusraa maariz-e-izhaar mein aa jaataa hai"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"main khaak ho rahaa huun yahaan khaak-daan mein vo rang bhar rahaa hai udhar aasmaan mein ye kaun boltaa hai mire dil ke andarun aavaaz kis ki gunjti hai is makaan mein phir yuun huaa ki zamzama-pardaaz ho gai vo andalib aur kisi gulsitaan mein uDti hai khaak dil ke darichon ke aas-paas shaayad makin koi nahin is makaan mein yunhi nahin rukaa thaa zaraa der ko safar divaar aa gai thi koi darmiyaan mein ik khvaab ki talaash mein niklaa huaa vajud shaayad pahunch chukaa hai kisi daastaan mein 'ahmad' taraashtaa huun kahin baad mein use tasvir dekh letaa huun pahle chaTaan mein"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"baat karne kaa nahin saamne aane kaa nahin vo mujhe meri aziyyat se bachaane kaa nahin duur ik shahr hai jo paas bulaataa hai mujhe varna ye shahr kahin chhoD ke jaane kaa nahin kyaa yunhi raat ke pahlu mein kaTegi ye hayaat kyaa koi shahr ke logon ko jagaane kaa nahin ajnabi log hain main jin mein ghiraa rahtaa huun aashnaa koi yahaan mere fasaane kaa nahin ye jo ik shahr hai ye jis pe tasarruf hai miraa main yahaan koi bhi divaar banaane kaa nahin baad muddat ke jo aayaa thaa vahi lauT gayaa ab yahaan koi charaaghon ko jalaane kaa nahin aane vaali hai nai subh zaraa der ke baad kyaa koi raah-e-tamannaa ko sajaane kaa nahin"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan