SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Tariq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaari haan se bahut raushni nikalti hai ye kis bayaan se bahut raushni nikalti hai vo zaat parda-nashin hai magar main hairaan huun ki aasmaan se bahut raushni nikalti hai basaa huaa hai tire til mein ek anokhaa jahaan aur us jahaan se bahut raushni nikalti hai main chupke chupke tiraa naam le to luun lekin miri zabaan se bahut raushni nikalti hai jahaan-jahaan se mujhe chumtaa rahaa hai vo vahaan-vahaan se bahut raushni nikalti hai tu kis ki yaad mein rotaa hai raat-bhar 'ahmad' tire makaan se bahut raushni nikalti hai"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"Dar ke baiThaa huun sar-nigun vahshat mujh ko batlaa main kyaa karun vahshat hijr kaafi hai dil-lagi ke liye ab main teraa bhi kyaa banun vahshat chaahe jitnaa sanvaar luun khud ko aaine mein magar lagun vahshat jaa chali jaa kahin main chhup jaaun tab tu aanaa main jab kahun vahshat dar khaTakne pe main ne jab puchhaa koi kahne lagaa main huun vahshat aaj titli ke saath baiThak hai aaj thoDaa mile sukun vahshat tum sunaao naa koi she'r 'ahmad' aaj ji kartaa hai sunun vahshat"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"meri afsurdagi se lutf uThaane vaale kitne zaalim hain ye sab log zamaane vaale log hanste hain udaasi mein taDaptaa huun jab ek to dard hai uupar se sataane vaale pyaar apni jagah par ek shikaayat hai mujhe tum ne aane mein bahut der ki aane vaale main kabhi paas chalaa jaataa thaa rone ke liye aur kabhi zehn mein aa jaate rulaane vaale ik taraf ranj bulaataa hai musalsal mujh ko dusri aur mujhe ranj bulaane vaale markaz-e-karb kaa 'ahmad' jo chhiDe zikr kahin jaane kyon teraa bataate hain bataane vaale"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"zamin pe jab bhi kisi paarsaa ko dukh hogaa khudaa gavaah hai khalq-e-khudaa ko dukh hogaa vafaa ke naam pe ai shakhs bevafaai na kar hamaari khair hai lekin vafaa ko dukh hogaa jalaa rahaa thaa charaaghon ko band kamron mein vo jaantaa thaa ki aise havaa ko dukh hogaa jahaan vo baiThegaa kahlaaegi vo jaa-e-nafis aur aas-paas ki saari jagah ko dukh hogaa main mushkilaat mein huun par khudaa ko ilm na ho mujhe pataa hai ki mere khudaa ko dukh hogaa kuchh achchhe log faqat is liye bhi lauT gae unhein lagaa thaa ki shaayad qazaa ko dukh hogaa"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"vaqt kaa kyaa hai mire yaar badal jaataa hai aag lagti hai to baazaar badal jaataa hai ham darakhton ke to phal bhi nahin badle ab tak in parindon kaa to ghar-baar badal jaataa hai khvaab har baar sadaaein diye rah jaate hain ik iraada hai ki har baar badal jaataa hai raat bhar vasl-e-musalsal mein magan rahtaa huun aankh khulti hai to kirdaar badal jaataa hai maan letaa huun tujhe mujh se mohabbat hogi par mohabbat mein adaakaar badal jaataa hai bain karte hue 'ahmad' ko ye maalum nahin bain se ranj kaa meaar badal jaataa hai"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"aah bhar-bhar ke saamne ronaa kisi rahbar ke saamne ronaa us ko ro kar dikhaanaa aisaa hai jaise patthar ke saamne ronaa pahle khud hi lagaanaa ghar ko aag aur phir ghar ke saamne ronaa mujh ko aati nahin thi aksar niind main ne bistar ke saamne ronaa be-vaqufi hai dasht mein hansnaa aur samundar ke saamne ronaa us ke pichhe se ronaa Thiik nahin hausla kar ke saamne ronaa ginte rahnaa hamaari yaad mein din aur calendar ke saamne ronaa khaTkhaTaanaa tamaam darvaaze aur har dar ke saamne ronaa kaun rotaa hai shauq se 'ahmad' apne dilbar ke saamne ronaa"
Ahmad TariqAhmad Tariq
Quote
"vo mujhe mo'atabar na dekh sakaa aur phir umr bhar na dekh sakaa is ko manzil to dikh gai fauran par vo daur-e-safar na dekh sakaa kyaa bataaun sitam-zarif kaa haal vo mujhe ik nazar na dekh sakaa tujh ko kaise dikhaai detaa main tu mujhe is qadar na dekh sakaa vo mujhe baar baar uDaataa rahaa aur mire khasta par na dekh sakaa mere maalik ne bhar diyaa kaasa vo mujhe dar-ba-dar na dekh sakaa sab ke sab dekhte rahe tasvir koi divaar par na dekh sakaa tu bhi dekh aa ke haalat-e-'ahmad' aur iqraar kar na dekh sakaa"
Ahmad TariqAhmad Tariq