SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmed Nisar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tire paas rah kar sanvar jaaungaa main judaa ho ke tujh se bikhar jaaungaa main zaraa sochne de main uThne se pahle tire dar se uTh kar kidhar jaaungaa main tire saath jiine ki ummid lekin tiraa saath na ho to mar jaaungaa main tire pyaar ke saae mein chand lamhe zaraa ji to luun phir guzar jaaungaa main simaT kar hi rahne de aanchal se tere tu jhuTlaae to chashm-e-tar jaaungaa main na hargiz chalungaa kisi rahguzar se tu roke agar to Thahar jaaungaa main tire pyaar mein zakhm khaa khaa ke ik din ki aaghosh-e-gham mein utar jaaungaa main 'nisaar' ishq ki aag mein jal rahaa huun pata hai ki ik din nikhar jaaungaa main"
Ahmed NisarAhmed Nisar
Quote
"rishta-e-dil usi se miltaa hai jo koi saadgi se miltaa hai baiTh jaataa hai dil miraa aksar jab koi bebasi se miltaa hai haae afsos meraa rasta bhi bevafaa ki gali se miltaa hai raaz-e-dil kyaa sunaa gayaa us ko tab se vo be-dili se miltaa hai umr bhar jo mujhe sataaegaa har ghaDi be-kali se miltaa hai bhuul paanaa jise nahin mumkin phuul ban kar hansi se miltaa hai jis ke dil mein jagah nahin meri meraa dil bhi usi se miltaa hai haal-e-dil ab zabaan nahin kahti aankh ki is tari se miltaa hai kyaa 'nisaar' aaj-kal koi lamha aap se bhi khushi se miltaa hai"
Ahmed NisarAhmed Nisar
Quote
"ishq mein barbaad hone ke sivaa rakkhaa na thaa gham ko sahne ke alaava koi bhi chaara na thaa yaad rah rah kar kisi ki hai sataati raat bhar subh hote bhuul jaanaa ye tujhe sheva na thaa ye tiri ulfat mujhe rakhti hai betaabi mein gum ye sabhi ko thi khabar lekin koi charchaa na thaa aaina dekhun to kyuun tu hi nazar aae mujhe boltaa hai kyaa tiraa chehra mere jaisaa na thaa din guzar jaataa hai duniyaa ki masaafat mein magar raat hi ik imtihaan hai jis kaa andaaza na thaa raat ki tanhaaiyaan aaghosh mein le kar mujhe puchhti hain kyaa kabhi tanhaaiyaan dekhaa na thaa kyaa mohabbat vo nasha hai main zaraa jaanun 'nisaar' zindagi mein is tarah pahle kabhi bahkaa na thaa"
Ahmed NisarAhmed Nisar
Quote
"gham kaa pahaaD mom ke jaise pighal gayaa ik aag le ke ashkon ki surat nikal gayaa khush-fahmiyon ko soch ke main bhi machal gayaa jaise khilaunaa dekh ke bachcha bahal gayaa kal tak to kheltaa thaa vo shoalon se aag se naa jaane aaj kaise vo paani se jal gayaa jhulse badan ko dekh ke katraa rahaa hai vo jis ke main ghar ki aag bujhaane mein jal gayaa baarish hui ghamon ki to aankhon ki siip mein aansu kaa qatra palkon se girte sambhal gayaa vaise sabhi to ziist se daaman bachaa liye vo kaun hai jo maut se bach kar nikal gayaa taqdir so na jaae kahin jaagiye zaraa dekho taraqqiyon kaa bhi suraj nikal gayaa gar ho sake to aap bhi badlo miyaan 'nisaar' kahnaa paDe na ye ki zamaana badal gayaa"
Ahmed NisarAhmed Nisar
Quote
"vo to mujh mein hi nihaan thaa mujhe maalum na thaa khuun ban kar vo ravaan thaa mujhe maalum na thaa itne majruh the jazbaat hamaare jis par charkh bhi mahv-e-fughaan thaa mujhe maalum na thaa pyaas shiddat ki thi sahraa bhi taDap jaataa thaa imtihaan sar pe javaan thaa mujhe maalum na thaa pair to pair yahaan ruuh ke chhaale nikle duur itnaa bhi makaan thaa mujhe maalum na thaa dil bhi hotaa hai sunaa karte the har siine mein dard bhi us mein nihaan thaa mujhe maalum na thaa ishq ke bahr mein ghota to lagaayaa lekin baad mein us ke kahaan thaa mujhe maalum na thaa fitna-gar luTne vaalaa sar-e-baazaar yahaan itnaa shirin-zabaan thaa mujhe maalum na thaa husn-e-ulfat ko samaae hue siine mein 'nisaar' dil mein ik dard javaan thaa mujhe maalum na thaa"
Ahmed NisarAhmed Nisar
Quote
"dil ko ba-naam-e-ishq sajaanaa paDaa hamein phir ik fareb dil mein basaanaa paDaa hamein ye kis kaa haal kis ko sunaanaa paDaa hamein aur dil kaa haal dil se chhupaanaa paDaa hamein jal kar bhi tere naam ki khushbu bikher de phulon mein aisi aag lagaanaa paDaa hamein daaman ye khaar se nahin phulon se taar hai jaane ye kaisaa qarz chukaanaa paDaa hamein jab se khushi salib-e-mohabbat pe chaDh gai hansnaa bhi ab udhaar mein laanaa paDaa hamein khulte hain roz kyaa ye mohabbat ke mai-kade ye aazmaa ke dekhne jaanaa paDaa hamein ik aarzu ke vaaste kyaa kyaa nahin kiyaa 'ahmad' 'nisaar' dil ko jalaanaa paDaa hamein"
Ahmed NisarAhmed Nisar