SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAijaz Farooqui(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yahi honaa thaa jo hoyaa ahaa haahaa ahaa haahaa vahi kaaTaa jo thaa boyaa ahaa haahaa ahaa haahaa kahaa thaa zindagi bhar baat bhi mujh se na rakkhegaa vo mujh se phir huaa goyaa ahaa haahaa ahaa haahaa kai haail the parde vasl ki raaton mein lekin ab takalluf-bartaraf hoyaa ahaa haahaa ahaa haahaa mohabbat mein akele main hi bas barbaad rahnaa thaa ab us ne bhi sukun khoyaa ahaa haahaa ahaa haahaa kabhi jab apne sar ko main ne us ki god mein rakkhaa gulon ki god mein soyaa ahaa haahaa ahaa haahaa haqiqat mein nahin lekin hamaare khvaab mein aa kar koi pahlu mein aa soyaa ahaa haahaa ahaa haahaa vo jis ki dil-farebi aur baDh jaati thi ghusse mein kabhi jab phuuT kar royaa ahaa haahaa ahaa haahaa gunaahon ke musalsal bojh kaa ehsaas thaa 'e'jaaz' magar ashkon se jab dhoyaa ahaa haahaa ahaa haahaa"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"jab saamne ho raahguzar tiin chaar paanch kaise koi karegaa safar tiin chaar paanch us ke hinaai haath mein ik khaar kyaa chubhaa us ne to kaaT Daale shajar tiin chaar paanch muddat se bas sitam ke sivaa kuchh nahin diyaa ehsaan ginaa diye hain magar tiin chaar paanch baad-e-sabaa to chalti hai bas subh-dam janaab hoti nahin hai koi sahar tiin chaar paanch puuraa nahin to thoDaa hi badlaao kar sakein mil jaaein ham-khayaal agar tiin chaar paanch ho jaate mustafid jahaan mein kuchh aur log hote hamaare haath agar tiin chaar paanch"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"ham ne jo apne 'adl ki talvaar Taang di ab lag rahaa hai jaise ki bekaar Taang di is paar Taangni thi jo us paar Taang di tasvir-e-yaar kyon pas-e-divaar Taang di puchhaa jo main ne daam vafaa aur khulus kaa qimat ke saath us ne bhi miqdaar Taang di lahraa ke apni reshmi zulf-e-siyaah mein meri tamaam shokhi-e-guftaar Taang di karne lagaa jo tark-e-ta'alluq se guftugu gardan mein mere kaakul-e-khamdaar Taang di dil se nikaal dungaa main tasvir-e-bevafaa har baar utaartaa rahaa har baar Taang di di maut se baDi sazaa us ne salib se mujh ko utaar kar miri dastaar Taang di"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"judaa hue hain to chaahte hain vo zindagaani talaash karnaa fareb denaa hai dil ko apne jo us kaa saani talaash karnaa ham ahl-e-dil hain hamaari nazron ki justuju kaa bas ek mehvar haqiqaton ke bhanvar mein jaa kar koi kahaani talaash karnaa na-jaane kaisi ye bebasi hai na-jaane kaisi ye hasratein hain udaas chehre ki jhurriyon mein gai javaani talaash karnaa bichhaD gae hain to kyaa huaa hai hayaat kaa ab yahi hai maqsad chaman ke har gul mein har kali mein tiri nishaani talaash karnaa havaas o dil par hai naqsh aisaa huaa hai shaamil ye 'aadaton mein shafaq-zada aasmaan mein bhi vo rang dhaani talaash karnaa ye 'ishq ke kaise marhale hain ye 'ishq ki kaisi manzilein hain jo is ke mubham se lafz ke bhi kai ma'aani talaash karnaa 'ajib sar mein samaayaa saudaa 'ajib saa ab ye mashghala hai havaa pe dariyaa kaa naam likhnaa phir us mein paani talaash karnaa"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"ishaara kar ke ye kahte hain mujh se uu kyaa hai namaaz-e-'ishq mein hotaa nahin vuzu kyaa hai sitam to dekhiye chhoDaa zamaana jis ke liye vo kah rahaa hai mujhe aaj ye ki tu kyaa hai vo jaantaa hai miri hasraton ke baare mein magar ye puchh rahaa hai ki aarzu kyaa hai jahaan bhi dekhnaa bas sakht baat kah denaa tumhaari shokh-mizaaji hai yaa ki khu kyaa hai qabaaein apni sanbhaalo tumhein nazar na lage hamaare chaak-e-garebaan ko rafu kyaa hai fariq donon biThaae the saamne apne to phir bataao naa anjaam-e-guftugu kyaa hai tavaaf karti jo rahti hai mere chehre kaa tumhaari chashm-e-pareshaan ko justuju kyaa hai tavaaf karnaa ho maqsad tiri gali kaa jise to us ke vaaste sardi hai aur lu kyaa hai sifaat laakh hon 'e'jaaz' us mein kyaa haasil bujhaa sake na agar pyaas aabju kyaa hai"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"qudrat ne us mein rakkhaa hai itnaa saa khair bhi ulfat ke saath rakhtaa hai thoDaa saa bair bhi gulshan ke saare phuul hain aamad ke muntazir karni to chaahiye tumhein gulshan ki sair bhi maanaa ki ruuTh kar ke gayaa hai vo mujh se par mujh ko to maangni hai sadaa us ki khair bhi us ne palaT ke dekhaa nahin mujh ko ek baar haalaanki samt us ke baDhaayaa thaa pair bhi lahron ke saath saath to chalte hain beshtar lahron ke bar-khilaaf zaraa der tair bhi haamil hain us ki zaat mein kuchh aisi hi sifaat taa'rif jis ki karte hain apne bhi ghair bhi tum kah rahe the rah nahin sakte mire baghair dekho guzaar di hai tumhaare baghair bhi apnon ke vaaste bhi du'aa kar sake na tum main ne to maang li mire dushman ki khair bhi 'e'jaaz' dekhne ko bachaa kyaa jahaan mein ham ne haram bhi dekhaa hai dekhaa hai dair bhi"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"hai pairahan kaa vo apne faqat naqib button agar zabaan mayassar ho to khatib button sadaa-e-dil bhi vo suntaa hai go tabib button sabab ye hai ki bahut dil ke hai qarib button libaas-e-shokh pe zebaa to khush-nasib button lage gharib ke collar pe to gharib button lagaate vaqt giraa haath se chhiTak kar jab to us ko chhoD diyaa kah ke kam-nasib button jo TuuT kar kabhi kapDon mein lag nahin paate unhin ko kahte hain duniyaa mein bad-nasib button nazar vo aaein sabhi se alag isi dhun mein lagaa ke aae hain kurte mein kuchh 'ajib button havas bhari hui nazrein to chubh nahin paatin khule libaas ko hotaa agar nasib button kisi faqir ke jab pairahan kaa saath milaa to us ko kahne lage sab ki hai najib button iraada jaise kiyaa us ne haq-bayaani kaa gale mein Daal ke chalne lagaa salib button bayaan kaise karun main tumhaari 'azmat kaa har ik libaas kaa hotaa hai to munib button libaas meraa tire bin hai naa-mukammal to kharaaj pesh hai tujh ko mire habib button jo be-khayaali mein honTon se lag gayaa 'e'jaaz' to us ne kah diyaa meraa hai ab raqib button"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"kahaan kahaan pe hai miltaa kahaan nahin miltaa zamin jaanti hai aasmaan nahin miltaa samajh sakaa na kabhi koi kaifiyat meri main vo charaagh huun jis kaa dhuaan nahin miltaa safar kaThin hai bahut sanglaakh raahein hain sukun ke liye ab saaebaan nahin miltaa Thahar gai hai talaatum mein kashti-e-hasti main kyaa karun mujhe aab-e-ravaan nahin miltaa main apne raaz sabhi khol duun kisi dil par kahun main kis se koi raaz-daan nahin miltaa kabhi to jhaank liyaa hotaa apne andar bhi talaash kartaa hai jis jaa vahaan nahin miltaa sadaaein dair se aati hain yaan bhi dekh to le haram pukaar ke kahtaa hai vaan nahin miltaa gumaan chhoD de manzil ki kuchh sharaait hain binaa qubul kiye do-jahaan nahin miltaa"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui
Quote
"kyaa zaruri hai ki takraar ho aao bolo jaantaa huun pas-e-divaar ho aao bolo main ne to kar diyaa izhaar magar chaahtaa huun 'ishq mein tum bhi giraftaar ho aao bolo hasrat-e-did kaa e'laan kiye phirtaa huun tum bhi gar taalib-e-didaar ho aao bolo ham to rakhte hain 'ilaaj-e-dil-e-afsurda bhi tum bhi kyaa 'ishq ke bimaar ho aao bolo marhale 'ishq ke taklif bahut dete hain tum bhi kyaa 'aashiq-e-aazaar ho aao bolo suntaa rahtaa huun main fariyaad-e-muhabbat sab ki tum bhi gar mere talabgaar ho aao bolo"
Aijaz FarooquiAijaz Farooqui