SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAinuddin Azim(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan main ne iid karne ki Thaan li hai ghamon ke ek ek pal se khushiyaan kashid karne ki Thaan li hai main us ki baaton kaa zahr apni khamoshiyon mein utaar lungaa agar muzir hai to main ne us ko mufid karne ki Thaan li hai talaash ki shiddaton ne arz-o-samaa ki sab duriyaan miTaa diin so main ne ab teri justuju ko shadid karne ki Thaan li hai machine bonaa hai jin kaa pesha unhein zamin bech di hai tum ne kisaan ho kar khud apni miTTi palid karne ki Thaan li hai ye meri tahzib kaa asaasa hi meri pahchaan ban sakegaa tamaam kohna rivaayaton ko jadid karne ki Thaan li hai siyaah shab kaa ghanim shaayad ki aa gayaa raushni ki zad mein sabhi charaaghon ko jis ne 'aazim' shahid karne ki Thaan li hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"mujhi mein jiitaa hai suraj tamaam hone tak main apne jism mein aataa huun shaam hone tak khabar mili hai mujhe aaj apne hone ki kahin ye jhuuT na ho jaae aam hone tak kahaan ye jurat-e-izhaar thi kisi shai mein sukut-e-shab se mire ham-kalaam hone tak ye pukhtagi thi ghamon mein na dhaDkanon mein sabaat tumhaare dard kaa dil mein qayaam hone tak ye chaand taare miri dastaras se duur nahin ki faasle hain mire tez-gaam hone tak guzar rahe hain nazar se nazar milaae baghair Thahar bhi jaaiye ek ek jaam hone tak diye bujhaa diye jaate hain subh tak 'aazim' miraa havaala diyaa us ne naam hone tak"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"zehn par jab dard khaamoshi ki chaadar taantaa hai qatra qatra aankh se lafz-o-maaani chhaantaa hai har kas-o-naa-kas ko raas aati nahin aavaara-gardi raaste us par hi khulte hain jo chalnaa jaantaa hai naqsh-e-paarina haTaa kar main nae paikar taraashun kuza-gar kankar haTaa kar jaise miTTi saantaa hai vo hai divaana use gumnaami o tashhir se kyaa khaamushi se kar guzartaa hai jo dil mein Thaantaa hai kor-chashmi ne bikheraa husn kaa shiraaza varna ishtihaari jism bhi poshidgi ko maantaa hai ye sila bhi kam nahin 'aazim' tiri mashq-e-sukhan kaa koi ghazlon ke havaale se tujhe pahchaantaa hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"paanv phanse mein haath chhuDaane aayaa thaa tum se mil kar vaapas jaane aayaa thaa saaraa shor mire andar kaa jaag uTThaa sannaaTon mein dil bahlaane aayaa thaa jangal jaisi raat kahaan tanhaa kaTti teraa gham bhi haath baTaane aayaa thaa duniyaa par main ne bhi parda Daal diyaa vo bhi dil ki baat bataane aayaa thaa aankhein jhapkin ahd-e-javaani biit gayaa le kar kitne khvaab suhaane aayaa thaa 'aazim' dil ki kaai-zada chaTTaanon par dard kaa lashkar paanv jamaane aayaa thaa"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"main ne jab had se guzarne kaa iraada kar liyaa manzil-e-dushvaar ko tai paa-piyaada kar liyaa be-haqiqat ho gae meri nazar mein mehr-o-maah main ne jab ghar ke diye se istifaada kar liyaa aansuon ne gham ko uryaan kar diyaa hotaa magar dil ki ghairat ne tabassum ko labaada kar liyaa amn ki sab shaahraahein tang ho kar rah gaiin haadson ne raasta kitnaa kushaada kar liyaa umr bhar 'aazim' rahegaa nashsha-e-gham kaa khumaar aankh ko paimaana-e-khun dil ko baada kar liyaa"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"vahshat mein dil kitnaa kushaada karnaa paDtaa hai in giili aankhon ko sahraa karnaa paDtaa hai mujh ko ik aavaaz tiri sunne ki koshish mein kitne sannaaTon kaa pichhaa karnaa paDtaa hai tab khulti hai ham par qadr-o-qimat phulon ki jab kaanTon ke saath guzaaraa karnaa paDtaa hai yaar baDaa ban kar rahnaa aasaan nahin hotaa apne aap ko kitnaa chhoTaa karnaa paDtaa hai koh-e-giraan haail hotaa hai jis ke raste mein ik din us ko tez dhamaaka karnaa paDtaa hai apne ghar ki baatein 'aazim' ghar tak rakhne mein divaar-o-dar se samjhautaa karnaa paDtaa hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"sataaish na kijiye tabrra sahi nahin bint-e-angur Tharraa sahi taassur nahin un ke rukh par na ho hai quraan to quraan muarraa sahi magar kitne suraj hain dushman mire miri haisiyat ek zarra sahi kahaan chain tere junun-kaar ko gham-e-do-jahaan se mubarraa sahi badan dar badan ishq ruh-e-ravaan zamaan dar zamaan ek Dharraa sahi raunat gharibi kaa mahsul hai sukhi ko sakhaavat kaa gharraa sahi piyeinge yunhi hans ke ham zahr-e-gham hamaare liye roz-marra sahi milaa kuchh to qaatil se 'aazim' tumhein pas-e-daagh-e-dil ek chharraa sahi"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"dard teraa mire siine se nikaalaa na gayaa ik muhaajir ko madine se nikaalaa na gayaa main tire saath guzaare hue din jiitaa rahaa ek pal bhi tujhe jiine se nikaalaa na gayaa ek moti bhi na ubhraa miri aankhon mein kabhi tere bin kuchh bhi dafine se nikaalaa na gayaa jab nikaalaa hai mujhe dil se to rote kyuun ho tum se kaanTaa bhi qarine se nikaalaa na gayaa luqma-e-tar na milegaa tire naazuk tan ko gar mire khuun pasine se nikaalaa na gayaa main ne maangaa thaa bas ik dhuup kaa TukDaa 'aazim' vo bhi saavan ke mahine se nikaalaa na gayaa"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"ab junun ke rat-jage khirad mein aa gae saare khvaab raushni ki zad mein aa gae log paa gae haqiqatein qayaas mein ham yaqin se gumaan ki had mein aa gae 'ilm ke muraaqabe hain ghair-mustanad jehl ke munaazare sanad mein aa gae lafz-e-fath ke jo tarjumaan the kabhi kyuun simaT ke harf-e-al-madad mein aa gae ik panaah kyaa mali ki husn-o-ishq ke sab gunaah nekiyon ki mad mein aa gae dil ki tah mein 'aazim' un ki yaad rah gai gham ubhar ke mere khaal-o-khad mein aa gae"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"mere hamraah sitaare kabhi jugnu nikle justuju mein tiri har raat muhim-ju nikle teri roti hui aankhein hain miri aankhon mein varna patthar mein kahaan jaan ki aansu nikle saans lene ki jasaarat bhi na kar paaungaa jism se mere jo pal bhar ke liye tu nikle ahl-e-dil yunhi tar-o-taaza nahin rakhte unhein zakhm bhar jaaein to mumkin nahin khushbu nikle zikr mein tere gavaaraa nahin itnaa bhi mujhe maa-sivaa tere koi aur bhi pahlu nikle teri chaukhaT pe pahunchnaa hai salaamat mujh ko jaan pyaase ki jo nikle to lab-e-ju nikle main vo naadaan ki DhunDun koi apne jaisaa aur ahbaab the 'aazim' ki arastu nikle"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"laa-makaan se bhi pare khud se mulaaqaat karein khul ke tanhaai ki vusat pe zaraa baat karein har baDe naam ko chhoTon se jilaa milti hai shahr ki haashiya-aaraai mazaafaat karein laaj viraani ki rakhni hai chalo ahl-e-junun aabla-paai se aabaad kharaabaat karein khet sukhe to havaa phir se sanak jaaegi aap baadal hain to daavaa nahin barsaat karein gulnavaazo hamein kaanTon ne navaazaa hai bahut ham pe vaajib hai ki zakhmon ki mudaaraat karein aish-e-aavaargi kyaa kyaa the tiri galiyon mein soch ki pariyaan vahin ab guzar auqaat karein main agar zikr bhi us kaa na karun sheron mein istiaaraat alaamaat ishaaraat karein matn ko husn ke eraab ataa ham ne kiye ham se tashrih talab jism ki aayaat karein ghair mahram se bachaa apni ghazal ko 'aazim' chheDkhaani na kahin maulvi hazraat karein"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"yahi ik jism-e-faani jaavedaani kaa ahaata karne vaalaa hai kiraae kaa makaan hi laa-makaani kaa ahaata karne vaalaa hai Thahar jaao ghaDi bhar dhaDkanon is tez-rau kaa jaaeza le luun sukun andar kaa baahar ki ravaani kaa ahaata karne vaalaa hai ise aansu samajh kar mat giraao rahne do palkon pe hi goyaa yahi qatra tumhaari be-zabaani kaa ahaata karne vaalaa hai gila barson kaa hai jitni safaai doge utnaa tuul pakDegaa ab harf-e-maazarat hi lantaraani kaa ahaata karne vaalaa hai in aankhon mein ghazal kaa vo mukammal istiaara hai ki jo 'aazim' khutut-e-jism ke lafz-o-maaani kaa ahaata karne vaalaa hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"paDho ibaarat-e-takhliq-e-dard chehre par likhi hai karb ki rudaad zard chehre par chhupaa rahi hai khad-o-khaal jhurriyaan ban kar jami hui thi safar mein jo gard chehre par kamaal-e-zabt to ye hai ki rang-e-maayusi dam-e-shikast bhi jhalke na mard-chehre par pighalti kyuun na bhalaa barf ajnabiyyat ki nazar ki dhuup jo Thahri thi sard chehre par main dhuul ahl-e-chaman meri qadr kyaa jaanein mujhe sajaate hain sahraa-navard chehre par har ek jism barahna lage vahaan 'aazim' jahaan naqaab rakhe fard fard chehre par"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"kaarobaari shahron mein zehn-o-dil mashinein hain jism kaarkhaana hai jis ki jitni aamadani itnaa hi baDaa us ke hirs kaa dahaana hai ye shuur-zaade jo manfaat-guzida hain haif un ki nazron mein be-gharaz mulaaqaatein aur khulus ki baatein feal-e-ahmaqaana hai apni zaat se qurbat apne naam se nisbat apne kaam se raghbat apnaa khol hi un kaa khitta-e-maraasim hai ku-e-dostaana hai har khushi ki mahfil mein qahqahe luTaate hain khud hi luTte bhi hain gham ki majlison mein bhi sab kaa apnaa apnaa sar apnaa apnaa shaana hai jin buland shaakhon par narm-rau havaaein hain bijliyon kaa Dar bhi hai irtiqaa ke jangal mein haadsaat ki zad par sab kaa aashiyaana hai tarz-e-baaghbaani mein shiddat-e-numu-khezi kaise gul khilaaegi nim-vaa shagufon ke rang-e-dil-farebi mein bu-e-taajiraana hai jagmagaate baam-o-dar jhilmilaate rauzan hain chamchamaati dahlizein zaahiri chamak 'aazim' turra-e-sharaafat hai raunaq-e-zamaana hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"jo main ne kah diyaa us se mukarne vaalaa nahin ki aasmaan zamin par utarne vaalaa nahin main reza reza huun lekin nami abhi tak hai havaaein laakh chalein main bikharne vaalaa nahin main jaantaa huun vo achchhe dinon kaa saathi hai bure dinon mein idhar se guzarne vaalaa nahin hamaare shahr mein chehra nahin rahaa shaayad paDe hain aaina-khaane sanvarne vaalaa nahin tire karam kaa sazaa-vaar main huun yaa dil hai diyaa hai tu ne vo kaasa jo bharne vaalaa nahin kahaan kaa khvaab musaafir ki aankh mein 'aazim' ki bahte paani mein manzar Thaharne vaalaa nahin"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"aavaaz ke saudaagaron mein itni fankaari to hai sher-o-adab ke naam hi par garm-baazaari to hai koi kahe koi sune koi likhe koi paDhe har dil ko bahlaae ghazal bik jaae bechaari to hai kavvon ke aage gung hain kyaa tutiyaan ki bulbulein ahl-e-chaman hain mutmain rasm-e-sukhan jaari to hai maanaa zamin-e-karbalaa par dastaras mumkin nahin lekin sar-e-kufa yazidon ki amal-daari to hai in shaairon mein ek do shaaer bhi hain mahfil-zada sad-aafrin in Thekaa-daaron mein ravaa-daari to hai kis ne kahaa 'aazim' khushaamad ji-huzuri aib hai raah-e-talab hamvaar karne ki kalaa-kaari to hai"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"surkh-ru sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage jab hue ham aankh se ojhal nazar aane lage shahr vaalo jaan lenaa gaanv meraa aa gayaa bachchiyon ke sar pe jab aanchal nazar aane lage ham ne maangi bhi duaa-e-abr-e-rahmat kis ghaDi jab saron par zulm ke baadal nazar aane lage aaine par aaj ke jamne na de maazi ki dhuul taaki teraa aane vaalaa kal nazar aane lage ham vahaan tak bhi na pahunche jis bulandi se gire jab ki pichhDe log bhi avval nazar aane lage log to kahte the 'aazim' ye kabhi phalti nahin zulm ki Tahni pe kaise phal nazar aane lage"
Ainuddin AzimAinuddin Azim
Quote
"tahi-daaman barahna-paa ravaana ho gayaa huun tabaahi chal tire shaana-ba-shaana ho gayaa huun tiri raftaar par qurbaan jaaun ai taraqqi main apne 'ahd mein guzraa zamaana ho gayaa huun mere atraaf rahtaa hai hujum-e-naa-muraadi jabin-e-naa-rasaa mein aastaana ho gayaa huun havaa ki taan par gaate hain mujh ko khushk patte main har TuuTe hue dil kaa taraana ho gayaa huun miri miTTi mein ab meri haqiqat DhunDhti hai main duniyaa ke liye jab se fasaana ho gayaa huun miraa bhi tazkira hone lagaa daanishvaron mein to kyaa phir main bhi 'aazim' kuchh divaana ho gayaa huun"
Ainuddin AzimAinuddin Azim