SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAli Kaunain(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"badli thi ek dasht mein lekin vo chhaT gai pyaali mire nasib ki aise ulaT gai har fard apne apne qabile se mil gayaa har chiiz apni asl ki jaanib palaT gai qadmon mein mere aa ke gire qudsiyaan-e-'arsh paaon ke saath shaakh-e-surayyaa lipaT gai bikhri to daaeron mein bikharti chali gai simTi to ek nuqte mein duniyaa simaT gai ab khud ko kostaa huun ki rakhtaa kitaab mein rakkhi hui thi jeb mein tasvir phaT gai barson se meri rah mein rukaavaT bani rahi ik din vo mere raaste se aap haT gai"
Ali KaunainAli Kaunain
Quote
"yahaan talak ki miraa apnaa dil nahin hotaa miri udaasi mein koi mukhil nahin hotaa kisi kisi pe hi khultaa hai bhed miTTi kaa har ek shakhs yahaan paa-ba-gil nahin hotaa tamaam zakhmon pe marham rahaa asar-andaaz bus ek zakhm hai jo mundamil nahin hotaa har aire-ghaire ki hamsaaegi mein rahtaa hai magar vo meri taraf muntaqil nahin hotaa ye duniyaa hoti kisi TheT gaanv ke maanind ye gas-o-bijli vaghaira kaa bill nahin hotaa hamaare dil mein koi aur dil samaae kyaa hamaare pahlu mein apnaa hi dil nahin hotaa"
Ali KaunainAli Kaunain
Quote
"manzil nahin baandhi koi jaada nahin baandhaa main ne kahin jaane kaa iraada nahin baandhaa main dast-e-talab rakkhun kisi aur ke aage itnaa bhi zarurat ko kushaada nahin baandhaa khulti hi chali jaati hai har shakhs ki gaThri achchhaa hai ki dil had se ziyaada nahin baandhaa jitnaa ki samajhtaa hai tu aisaa bhi nahin hai baandhaa hai magar itnaa bhi saada nahin baandhaa taa'viz-e-mohabbat hai ise pahn ke rakhnaa gardan mein koi teri qilaada nahin baandhaa main jaantaa huun farq-e-shutur-gurba mire dost asvaar ke hamraah piyaada nahin baandhaa ik baar idhar aa gayaa to aa gayaa 'kaunain' ab vaapsi jaane kaa iraada nahin baandhaa"
Ali KaunainAli Kaunain
Quote
"dariyaa bhi kam thaa jis ke muqaabil nahin rahaa qurbaan sab pe hotaa huaa dil nahin rahaa vaise to har jagah pe mayassar rahaa magar ab DhunDne lagaa huun to vo mil nahin rahaa ham ne bhi us ke radd mein kiye kuchh javaab arz vo bhi hamaari baat kaa qaail nahin rahaa us par 'ayaan ye baat bahut der se hui main us ki ik nazar kaa bhi ghaayal nahin rahaa jo baat honi chaahiye thi ho nahin rahi jo phuul khilnaa chaahiye thaa khil nahin rahaa jab se girah mein baandhaa hai mushkil-kushaa madad meraa to koi kaam bhi mushkil nahin rahaa"
Ali KaunainAli Kaunain
Quote
"paani pe numudaar kabhi gul mein numaayaan honaa hai agar tujh ko to ho dil mein numaayaan main ne use dekhaa hai kisi aag ki lau mein main ne use dekhaa hai kisi til mein numaayaan ye ab jo tire pahlu mein baiThaa hai koi dost ik roz yahi hogaa muqaabil mein numaayaan vo aur kisi tarz mein mumkin hi nahin thaa jo zakhm huaa tauq-o-salaasil main numaayaan ik ism pe mauquf hain sab kaar-e-'adaalat phir faisla hogaa haq-o-baatil mein numaayaan 'kaunain' 'alaamaat-e-sitam karb-o-balaa mein maqtul se baDh kar huiin qaatil mein numaayaan"
Ali KaunainAli Kaunain