Quote
"honTon pe us ke jumbish-e-inkaar bhi nahin aankhon mein koi shokhi-e-iqraar bhi nahin basti mein koi munis-o-gham-khvaar bhi nahin 'ghaalib' kaa haae koi taraf-daar bhi nahin kashti buri tarah hai bhanvar mein phansi hui lekin hamaare haath mein patvaar bhi nahin un ko sazaaein di hain zamaane ne baarhaa mulzim bhi jo nahin hain gunahgaar bhi nahin tohfa 'ajab diyaa hai chaman ko bahaar ne phulon kaa zikr kyaa hai koi khaar bhi nahin shaayad ta'alluqaat mein ab injimaad hai pahli si baat baat pe takraar bhi nahin show-pis to banaa diyaa haalaat ne 'asad' koi magar hamaaraa kharidaar bhi nahin"







