Quote
"husn khud mein na huaa jalva-numaa mere baad raas kyaa aati zamaane ki havaa mere baad myaan se nikli na shamshir-e-jafaa mere baad raqs-e-bismil kaa tamaasha na huaa mere baad paas-e-dastur na saaqi ko rahaa mere baad dar-e-mai-khaana khulaa chhoD diyaa mere baad ik mire uThne se dil baiTh gayaa rindon kaa jaam uThe aur na shisha hi jhukaa mere baad har qadam duri-e-manzil ki taraf le ke gayaa raasta bhuul gae raah-numaa mere baad baar-e-ehsaan se dab jaae na turbat 'aazaad' chaadar-e-gul se na marqad ko sajaa mere baad"







