SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzra Waheed(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"havaa ke lab pe nae intisaab se kuchh hain ki shaakh-e-vasl pe taaza gulaab se kuchh hain ye pal kaa qissa hai sadiyon pe jo muhit rahaa bar-aab saaat-e-guzaraan habaab se kuchh hain hujum ham ko sar aankhon pe kyuun biThaae rahaa dil-o-nazar pe hamaare azaab se kuchh hain lahu rulaate hain aur phir bhi yaad aate hain mohabbaton ke puraane nisaab se kuchh hain utarte rahte hain aankhon ke aainon pe sadaa kitaab-e-khasta mein gum-gashta baab se kuchh hain sivaae tishnagi kuchh aur de sake na hamein jo zer-e-aab chamakte saraab se kuchh hain mudaam un ko chamaknaa baghair khauf-e-fanaa ye aasmaan pe jo be-hisaab se kuchh hain"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"par saubat raaston ki garmiyaan bhi de gayaa aane vaali chhaanv ki khush-fahmiyaan bhi de gayaa sakht bijon se sunahri baaliyaan bhi bhar gaiin garm jhonkaa mausamon ki sakhtiyaan bhi de gayaa baadalon ki aas us ke saath hi rukhsat hui shahr ko vo aag ki be-rahmiyaan bhi de gayaa ehtisaab us kaa amal thaa us se vo faarigh huaa vaqt saDkon ko luTi shahzaadiyaan bhi de gayaa bebasi aur bhuuk mein jo hausle detaa rahaa pyaar karne ki mujhe kamzoriyaan bhi de gayaa Tahniyaan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gaiin mausam-e-gul jaate jaate titliyaan bhi de gayaa aasmaan ne maan zamin ki god to bhar di magar de ke beTe un ko kuchh naa-samjhiyaan bhi de gayaa"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"ghubaar-e-jaan pas-e-divaar-o-dar sameTaa hai dayaar-e-sang mein shishe kaa ghar sameTaa hai samundaron mein bhi suraj ne bo diye hain saraab gae the siip uThaane bhanvar sameTaa hai saubaton ki koi had na aakhiri dekhi har ek raah mein zaad-e-safar sameTaa hai mohabbaton ne diyaa hai sadaaqaton kaa shuur bikhar gayaa hai jab ik baar ghar sameTaa hai havaa ke saath safar mein qabaahatein thiin bahut misaal-e-abr bikhartaa nagar sameTaa hai andheri raat mein suraj ki justuju ki hai havaaon mein bhi charaagh-e-nazar sameTaa hai jo shaakh shaakh parindon kaa aashiyaana thaa vo barg barg puraanaa shajar sameTaa hai numu ke rab kabhi us munsifi ki daad to de shajar koi na lagaayaa samar sameTaa hai"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"safar andar kaa mushkil aur be-aavaaz hotaa hai parinda be-dili se aazim-e-parvaaz hotaa hai main naghmon ki uThaanon mein talaashun jhalkiyaan us ki vo jab hotaa hai aavaaz-e-shikast-e-saaz hotaa hai main aane vaale sab lamhon pe likkhun hijr ke manzar vo har guzre zamaane mein miraa dam-saaz hotaa hai havaa jab sarsaraati hai ghane pipal ke peDon mein baDe unche pahaaDon par koi dar baaz hotaa hai main jab palkon se chunti huun gae lamhon ke rezon ko sunahre aasmaanon mein koi hamraaz hotaa hai"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"gire qatron mein patthar par sadaa aisaa bhi hotaa hai bhalaa ho kar bhalaa naam-e-khudaa aisaa bhi hotaa hai dilon mein talkhiyaan phir bhi nazar mein muskuraahaT ho balaa ke habs mein bhi ho havaa aisaa bhi hotaa hai main khud se ajnabi ho kar qabaa-e-khush-dili pahnun mire andar rahe koi chhupaa aisaa bhi hotaa hai kanaar-e-aab-e-dajla dhuup tapti ho qayaamat ki har ik zarra bane karb-o-balaa aisaa bhi hotaa hai kabhi tanhaaiyon mein khud-kalaami aur phir hansnaa mujhe raas aae ye aab-o-havaa aisaa bhi hotaa hai sabhi paDh kar phir apni raah ho lete hain basti mein sar-e-divaar kuchh mubham likhaa aisaa bhi hotaa hai bachaa luun nuuh ke beDe ko tufaanon ki shiddat se baDhaa bahr-e-madad khud kibriyaa aisaa bhi hotaa hai"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"masale zer-e-nazar kitne the ahl-e-dil ahl-e-hunar kitne the hashr aae to yahi faisla ho kitne insaan the bashar kitne the kaasa-e-chashm mein ummid liye jo bhi the khaak-basar kitne the saari basti mein makaan the behad jo khule rahte the dar kitne the vo jo aasaaishon mein tulte the sang-e-marmar ke vo ghar kitne the tujh ko paaein tujhe kho baiThein phir zindagi ek thi Dar kitne the kitne dariyaa the kinaare kitne manzilein kitni safar kitne the har taraf dhuup ki yalghaarein thiin har taraf mom ke ghar kitne the kitni aankhon ne gavaahi di thi dhuup kitni thi shajar kitne the kitne shab-khun abhi taak mein hain luT gae the jo nagar kitne the vaqt ki gard ye qadmon ke nishaan soch lo baar-e-digar kitne the kachchi basti ke makin bhi gin lo shahr mein saahab-e-zar kitne the"
Azra WaheedAzra Waheed
Quote
"fazaa kaa rang nikhartaa dikhaai detaa hai hai shab tamaam ki sapnaa dikhaai detaa hai lahu kaa rang hai miT kar bhi rang laaegaa ufuq kaa rang sunahraa dikhaai detaa hai vo jis ne dhuup ke mele ko chhat muhayyaa ki saDak pe us kaa baseraa dikhaai detaa hai main kaun huun ki hai sab kaanch kaa vajud miraa miraa libaas bhi mailaa dikhaai detaa hai saraab lab pe sajaae har ek phirtaa hai mujhe to shahr bhi sahraa dikhaai detaa hai tane ko chhoD ke patton ko thaamne vaalo tumhein shajar bhi tamaashaa dikhaai detaa hai abhi se kashtiyaan saahil pe le chale logo abhi se tum ko kinaaraa dikhaai detaa hai vo saunp jaataa hai mujh ko havaa ke haathon mein usi kaa mujh ko sahaaraa dikhaai detaa hai"
Azra WaheedAzra Waheed