Quote
"udaas baam hai dar kaaTne ko aataa hai tire baghair ye ghar kaaTne ko aataa hai khayaal-e-mausam-e-gul bhi nahin sitamgar ko bahaar mein bhi shajar kaaTne ko aataa hai faqih-e-shahr se insaaf kaun maangegaa faqih-e-shahr to sar kaaTne ko aataa hai isi liye to kisaanon ne khet chhoD diye ki koi aur samar kaaTne ko aataa hai tire khayaal kaa aahu kahin bhi din mein rahe magar vo raat idhar kaaTne ko aataa hai kahaa to thaa ki hamein is qadar bhi Dhiil na de ab uD rahe hain to par kaaTne ko aataa hai ye kaam karte the pahle sagaan-e-aavaara bashar ko aaj bashar kaaTne kaa aataa hai ye us ki raah nahin hai magar yunhi 'baaqi' vo mere saath safar kaaTne ko aataa hai"







