SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBulbul Kashmiri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hotaa rahaa firaaq mein laaghar tamaam raat haathon se uTh sakaa bhi na saaghar tamaam raat badlin shab-e-firaaq mein kuchh itni karvaTein aae hain yaad des ke machchhar tamaam raat baDhne do soz-e-ishq mein ye dil ki dhaDkanein jalte rahein ye aag ke heater tamaam raat vo baandhte rahe main use kholtaa rahaa bichh hi sakaa na Dhang se bistar tamaam raat kashmir ke havaale se khvaab-o-khayaal mein ugte rahe hain sarv-o-sanobar tamaam raat 'bulbul' kisi hasin pe yuun dil machal gayaa naachaa ho jaise sahn mein bandar tamaam raat"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"kuchh baraae saaqi-e-gulfaam pi letaa huun main kuchh ba-israar-e-lab-e-maadaam pi letaa huun main kuchh ba-naam-e-'ghaalib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam' kuchh bayaad-e-haafiz-o-khayyaam pi letaa huun main az-sar-e-nau sar pe baalon ko ugaane ke liye hasb-e-nuskha roghan-e-baadaam pi letaa huun main mai-kade mein jab bhi piitaa huun kabhi zaahid ke saath bil adaa kartaa hai vo be-daam pi letaa huun main vaadi-e-kashmir ki ranginiyon ki yaad mein chaae ke uble gulaabi jaam pi letaa huun main jab kabhi bulbul mujhe hotaa hai nazla aur zukaam bas zaraa do ghunT vaqt-e-shaam pi letaa huun main"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"sarkaar mere ishq kaa meaar dekhnaa laayaa huun aap ke liye main kaar dekhnaa main chhik chhik kar huaa bimaar dekhnaa nisvaar-e-vaaz dete ho miqdaar dekhnaa laakhon hue hain shahr mein be-kaar dekhnaa baavar na ho to aaj kaa akhbaar dekhnaa arzaan lage na dil miraa to ai mire aziiz sau baar jaa ke ishq kaa baazaar dekhnaa kahtaa hai kaun shaikh ji maghrib pasand hain patlun chust ke tale shalvaar dekhnaa 'bulbul' ko chonch maarne aao to soch kar talvaar si hai us ki bhi minqaar dekhnaa"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"maikhaane ke dar par jo laTkaa nazar aataa hai ye shaikh-e-haram hi kaa kurtaa nazar aataa hai powder hai ki chehre par aaTaa nazar aataa hai mahbub-e-khud-aaraa to baniyaa nazar aataa hai laDkaa nazar aati hai laDki nazar aataa hai maghrib kaa jo sidhaa hai ulTaa nazar aataa hai malmal kaa amaama to london mein nahin miltaa ai shaikh tire sar par Dhaaka nazar aataa hai ghaaeb hain namaazi bhi ghaaeb hai vo mullaa bhi masjid mein musalle par loTaa nazar aataa hai aashiq ke janaaze par duniyaa hi chali aai kaalaa nazar aataa hai goraa nazar aataa hai vaaiz ne kaTaa Daali maikhaane mein phir bole kyaa chor ki daaDhi mein tinkaa nazar aataa hai"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"mashriqi duniyaa mein biivi hai agar naukar kaa naam maghribi duniyaa mein shofar jaaniye shauhar kaa naam rasm-e-shaadi ghaT rahi hai baDh rahi hai dosti maan bataa sakti nahin bachchon ko ab father kaa naam shaadiyaan dushvaar-tar karne lagi rasm-e-jahez lab pe aasaani se aataa hi nahin dukhtar kaa naam kisht-o-khun mein kaT rahe hain is tarah logon ke sar aadmi hai aaj-kal muuli kaa yaa gaajar kaa naam gaanv ke kitne manaazir rang barsaane lage dafatan yaad aa gayaa chhoDe hue aajar kaa naam kals kaa dullar kaa daachhigaam kaa maaDar kaa naam madmati kaa traaggaa-bal kaa aur sheraasar kaa naam"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"mohabbat ko na rakkho dil ke naazuk aabginon mein ye aisaa aab-e-zam-zam hai jise rakhte hain Tinon mein samundar kaa safar kaise kareinge vo safinon mein jo buzdil Dar ke maare Duub jaate hain pasinon mein baDi tashvish phaili hai vatan ke taarkinon mein unhein milti hain sau sau dhamkiyaan do do mahinon mein ajaaib-ghar mein rakhiye ye kisi qaarun kaa sar hai milaa hai ye bhi aasaar-e-qadima ke dafinon mein dil-e-gum-gashta meraa un ke baTve se nikal aayaa abas DhunDaa kiye ham aasmaanon aur zaminon mein musallam hai janaab-e-shaikh ki paakiza-daamaani ki bin puchhe chale jaate hain vo parda-nashinon mein bigaDti hai kabhi qismat kabhi biivi kabhi motor yaqinan mushtarak hai koi si ik chiiz tinon mein khudaavandaa na jaane un tire bandon pe kyaa guzre nikal aate hain jiite jaagte chuze mashinon mein idhar Duube udhar ubhre udhar ubhre idhar Duube mohabbat bahr hai aur apnaa maskan sab-marinon mein khudaa hi laaj rakh letaa hai bimaar-e-mohabbat ki vo jab tashrif laate hain to rozon ke mahinon mein jinhein iqbaal ne sinchaa thaa apne khuun se 'bulbul' ham apne hal chalaane lag gae hain un zaminon mein"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"sharaab-e-arghavaan ko shaikh pahle to buraa samjhe magar phir rafta rafta sehat-afzaa shorbaa samjhe nazar-baazon ko bhi dhoka huaa fashion ke chhal-bal se vo aksar achchhi khaasi chhokri ko chhokaraa samjhe ilaaj-e-dard-e-dil meraa kare vo chaaraagar kaise jo dil gurde ko samjhe aur jigar ko phephDaa samjhe hazaaron saal se police ki taftish jaari hai hasinon ki kamar ko vo hamesha laapata samjhe huaa kashmir aur punjab mein ab tak na samjhautaa idhar ye kaangDi maange udhar vo kaangDaa samjhe zabaan-e-yaar-e-man turki va man turki nami daanam maza kahne kaa jab hai ik kahe aur dusraa samjhe tire aashiq tire kuche ko teri sard-mehri se kabhi kashmir samjhe to kabhi colombia samjhe na baandho gol chakkar apne sar par zulf-e-pechaan kaa kahin aisaa na ho 'bulbul' usi ko ghonsla samjhe"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"rahe qaaem miraa culture miraa imaan zabaan meri na ho gum qulqul-e-minaa-e-maghrib mein azaan meri mohabbat mein bhalaa kyaa kaam aatin dhamkiyaan meri hasinon ne pakaD kar toD di hain pasliyaan meri mazaa jab hai ki ik hi qabr mein hon dafn ham donon vo kyaa marnaa vahaan teri lahad ho aur yahaan meri kitchen mein toD kar anDe sitam toDaa hai ye kah kar safedi aap ki hai aur saari zardiyaan meri sunaa hai ik balaa-e-naa-gahaan rocket mein utregi nazar us vaaste rahti hai su-e-asmaan meri kahaa gori ne kursi par adab se baiThnaa sikho nigoDe toD diin do din mein saari kursiyaan meri lifaafe mein chhachhundar band karke ab main bhejungaa paDhaa kartaa hai chiTThi khol kar chiTThi-rasaan meri kahaa biivi ne shauhar se ki bachchon ki khabar rakhnaa chalo daftar chali main mujh ko denaa jutiyaan meri bahaar aane pe bulbul dekhnaa jashn-e-bahaaraan mein qafas mein naachti hongi qafas ki titliyaan meri miri mauj-e-sukhan 'bulbul' kahin dariyaa na ban jaae bahut rokaa pa rukti hi nahin tab'-e-ravaan meri"
B
Bulbul Kashmiri
Quote
"shaa'ir bane hain doctor jo doctor na the manzil unhein mili jo sharik-e-safar na the gesu-e-yaar pahle to yuun mukhtasar na the fashion hi kuchh tavil thaa yaa barber na the aae miri lahad pe vo ghairon ki kaar mein aanchal tamaam khushk thaa rukhsaar tar na the khaana-ba-dosh agar rahaa majnun to kyaa huaa ye vo zamaana thaa kahin sahraa mein ghar na the us vaqt bhi pahunchti thi ghar ghar mein har khabar jis vaqt radio na thaa ye taar-ghar na the surkhaab ke the par lage gul ki kulaah mein bulbul kaa us mein khuun thaa bulbul ke par na the"
B
Bulbul Kashmiri