SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chaahe maano buraa ham nahin maante pattharon ko khudaa ham nahin maante jis ke hone na hone ki tasdiq ho us khudaa ko khudaa ham nahin maante maante hain use jo dikhaai na de aur koi khudaa ham nahin maante chaahe kitnaa hi mushkil ho jiinaa use zindagi ko sazaa ham nahin maante apne aamaal ki bhi hai kuchh to khataa sab hai rab ki razaa ham nahin maante ham ko khud bhi nahin kuchh pataa dosto maante bhi hain yaa ham nahin maante maante hain buri aadaton kaa buraa ghalatiyon kaa buraa ham nahin maante ham samajhte hain sar par chaDhaanaa buraa pyaar kaa to buraa ham nahin maante mai ke piine se kitni bhi raahat mile mai kaa piinaa bajaa ham nahin maante dosh de sakte hain apni taqdir ko yaar ko bevafaa ham nahin maante maan sakte hain ham us ko ik khauf hi kuchh hai rab se baDaa ham nahin maante kyon yahi kuchh hi 'parvaaz' aksar kaho main nahin maantaa ham nahin maante"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz
Quote
"duniyaa ke masaail se har vaqt ghiraa honaa mushkil to bahut hogaa duniyaa kaa khudaa honaa ummid ke daaman ko chhoDaa bhi nahin jaataa lagtaa to hai naa-mumkin vaade kaa vafaa honaa jitni bhi khataaein hain yaa-rab hain javaani ki jab bas mein nahin hotaa achchhaa ki buraa honaa dashrath ki tarah duniyaa chhoDi bhi nahin jaati taklif to detaa hai apnon se judaa honaa bekaar banaataa hai behaal banaataa hai insaan kaa apni hi nazron se giraa honaa ummid hai un ko bhi shaayad mire aane ki itnaa to bataanaa hai darvaaze kaa vaa honaa honaa to zaruri hai har roz ibaadat kaa achchhaa bhi nahin lagtaa har roz gila honaa kyaa un ko sikhaaegaa kyaa un ko banaaegaa talvaaron ke saae mein bachchon kaa baDaa honaa yaaron ki mohabbat hai teraa bhi karam yaa-rab 'parvaaz' se insaan ko har shai kaa milaa honaa"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz
Quote
"sonaa chaandi hi na laae ho na gauhar laae jaa ke tum chaand se laae bhi to patthar laae kaun saa kaam hai dushvaar tasavvur ke liye ye agar chaahe to chullu mein samundar laae vaqt kyaa shai hai khudaayaa tiri rahmat kyaa shai log kahte hain ki har chiiz muqaddar laae aur kuchh bhi to nahin paas duaaon ke sivaa ham tire vaaste jo bhi thaa mayassar laae ishq mein jaan kaa denaa bhi abas baatein hain ishq mein toD ke koi bhi na akhtar laae faaede ham hi uThaa paae na rab to varna apne bandon ke liye sainkaDon avsar laae pyaar kuchh aur hi hai chiiz itaaat kuchh aur jo mohabbat se mile vo na takabbur laae yuun to gun-gaan tire hote hain ghar ghar lekin koi ab ghar mein na baapu tire bandar laae go tumhaari bhi ghazal umda hai 'parvaaz' magar aaj kuchh shoaraa ghazal tum se bhi behtar laae"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz
Quote
"is darja mutmain hain tiri dosti se ham maange agar to jaan bhi deinge khushi se ham kah Daaliye jo aap ke dil mein hai be-dhaDak karte nahin hain baat kisi ki kisi se ham hai un ki baat aur hai un kaa hisaab aur vaise to pyaar karte hain har aadmi se ham yaa-rab abhi bhi hai tiri rahmat pe eatibaar be-shak hain be-hisaab khafaa zindagi se ham achchhi lagin sabhi ko hamaari nasihatein kahte hain talkh baat bhi is saadgi se ham hogi to jiit us ki bahar-haal ishq mein kitnaa karein muqaabla mardaangi se ham rahtaa nahin mizaaj hamesha to ek saa kab tak saheinge jaur tire khaamushi se ham 'parvaaz' zindagi mein jo honaa thaa ho chukaa kyon jaate jaate tauba karein mai-kashi se ham"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz
Quote
"hamdardiyaan kisi se kisi se duaa mili yaa-rab sila milaa hai mujhe yaa sazaa mili us aadmi ko jaaniye sab kuchh hi mil gayaa jis aadmi ko daulat-e-sharm-o-hayaa mili kuchh logon ki shikaayatein hongi bajaa magar ham ko to dosti mein hamesha vafaa mili pi jaaein khum ke khum hi jo pir-e-mughaan unhein paimaanon mein sharaab mili bhi to kyaa mili uDne se rok lein miri kamzoriyaan mujhe be-shak hazaar baar muaafiq havaa mili kis kaam kaa vo aadmi is daur mein jiye andaaz-e-sufiyaana nazar paarsaa mili vo shakhs mo'atabar huaa ajmer jo gayaa nadiyaa hui nihaal jo gangaa mein jaa mili 'parvaaz' khush-nasib hai vo aadmi jise rahbar milaa durust nasihat bajaa mili"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz
Quote
"is baat ko bhulein na musalmaan khudaa ke kaafir bhi haqiqat mein hain insaan khudaa ke vo kaun hai jis ko nahin kuchh us se shikaayat vo kaun hai jis par nahin ehsaan khudaa ke baDhtaa hi chalaa jaataa hai duniyaa mein taassub bante hi chale jaate hain aivaan khudaa ke jalti hain bahar-haal gunaahon ki sazaaein karte rahein ham kitne bhi gun-gaan khudaa ke duniyaa to haqiqat mein hai ik rain-baseraa ham sab to hain kuchh vaqt ke mehmaan khudaa ke mar kar bhi zaruri nahin paaeinge rihaai duniyaa ke alaava bhi hain zindaan khudaa ke socho to zaraa bhi nahin insaan ki vaqat sudh-budh bhi khudaa ki hai dil-o-jaan khudaa ke 'parvaaz' kabhi ghaur se ye baat bhi sochein ik baar bhi kaam aaya hai insaan khudaa ke"
Darshan Dayal ParwazDarshan Dayal Parwaz