SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byEjaz Siddiqi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"nizaam-e-fikr ne badlaa hi thaa savaal kaa rang jhalak uThaa kai chehron se infiaal kaa rang na gul-kadon ko mayassar na chaand-taaron ko tire visaal ki khushbu tire jamaal kaa rang zaraa si der ko chehre damak to jaate hain khushi kaa rang ho yaa ho gham-o-malaal kaa rang zamaana apni kahaani sunaa rahaa thaa hamein ubhar gayaa magar aaghaaz mein maaal kaa rang asir-e-vaqt hai to main huun vaqt se aazaad tire uruuj se achchhaa mire zavaal kaa rang ba-saan-e-takhta-e-gul meri fikr hai aazaad misaal-e-qaus-e-quzah hai mire khayaal kaa rang"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"duniyaa sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai ik mohr-e-khamoshi hai ki honTon pe lagi hai kuchh aur ziyaada asar-e-tishna-labi hai jab se tiri aankhon se chhalakti hui pi hai is jabr kaa ai ahl-e-jahaan naam koi hai kulfat mein bhi aaraam hai gham mein bhi khushi hai arbaab-e-chaman apni bahaaron se ye puchhein daamaan-e-gul-o-ghuncha mein kyuun aag lagi hai ai ham-safaro DhunDh lo aasaani-e-manzil apnaa to ye dil khugar-e-mushkil-talabi hai ai mauja-e-tufaan tiraa dil koi bhi toDe saahil ne safine ko ik aavaaz to di hai"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"vahshat-e-aasaar-o-sukun soz nazaaron ke sivaa aur sab kuchh hai gulistaan mein bahaaron ke sivaa ab na be-baak-nigaahi hai na gustaakh-labi chand sahme hue mubham se ishaaron ke sivaa saaqiyaa koi nahin mujrim-e-mai-khaana yahaan tere kam-zarf-o-nazar baada-gusaaron ke sivaa hasratein un mein abhi dafn hain insaanon ki naam kyaa dijiye sinon ko mazaaron ke sivaa duur tak koi nahin hai shajar-e-saaya-daar chand sukhe hue peDon ki qataaron ke sivaa aap kahte hain ki gulshan mein hai arzaani-e-gul apne daaman mein to kuchh bhi nahin khaaron ke sivaa manzil-e-shauq mein ik ik ko diyaa izn-e-safar koi bhi to na milaa jaada-shumaaron ke sivaa zor-e-tufaan to ba-har-haal hai zor-e-tufaan kis se Takraaegi mauj apni kinaaron ke sivaa kaun is daur ke insaan kaa muqaddar bantaa chand aavaara-o-manhus sitaaron ke sivaa kitne qadmon ki kharaashon se lahu ristaa hai kis ko maalum hai ye raah-guzaaron ke sivaa baat karte hain vo ab aisi zabaan mein 'ejaaz' koi samjhe na jise naama-nigaaron ke sivaa"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"zarron kaa mehr-o-maah se yaaraana chaahiye be-nuriyon ko nuur se chamkaanaa chaahiye khvaabon ki naav aur samundar kaa madd-o-jazr Takraa ke paash paash use ho jaanaa chaahiye nishtar-zani to sheva-e-arbaab-e-fan nahin in dil-jalon ko baat ye samjhaanaa chaahiye ho raqs zindagi ke jahannam ke ird-gard parvaana ban ke kis liye jal jaanaa chaahiye khodein pahaaD aur baraamad ho sirf ghaas misron ko is qadar bhi na uljhaanaa chaahiye fankaar aur fan ke taqaazon se naa-balad ehsaas-e-kamtari hai to laD jaanaa chaahiye naam-e-husain le ke haqaaeq se ru-kashi aison ko qabl-e-maut hi mar jaanaa chaahiye"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"nuur ki kiran us se khud nikalti rahti hai vaqt kaTtaa rahtaa hai raat Dhalti rahti hai aur zikr kyaa kiije apne dil ki haalat kaa kuchh bigaDti rahti hai kuchh sanbhalti rahti hai zehn ubhaar detaa hai naqsh haal-o-maazi ke in dinon tabi'at kuchh yuun bahalti rahti hai tah-nashin maujein to pur-sukun rahti hain aur sath-e-dariyaa ki mauj uchhalti rahti hain zindagi 'ibaarat hai zindagi ke moDon se pech-o-kham hon kitne hi raah chalti rahti hai chaahe apne gham ki ho yaa gham-e-zamaana ki baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai zindagi hai naam is kaa taazgi hai kaam is kaa ek mauj-e-khun dil se jo ubalti rahti hai kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi vo jo jaam-e-saaqi se roz Dhalti rahti hai khud vajudiyat ho ye yaa ho us ki tanhaai ruuh ko magar koi shai masalti rahti hai aaj bhi buri kyaa hai kal bhi ye buri kyaa thi is kaa naam duniyaa hai ye badalti rahti hai hoti hai vo she'ron mein mun’akis kabhi 'e'jaaz' muddaton ghuTan si jo dil mein palti rahti hai"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"naa-sazaa aalam-e-imkaan mein sazaa lagtaa hai naa-ravaa bhi kisi mauqe pe ravaa lagtaa hai yuun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangi baavajud is ke har ik rang judaa lagtaa hai kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin mujhe khud bhi nahin maalum vo kyaa lagtaa hai is ki baaton mein hain andaaz ghalat samton ke ho na ho ye to koi raah-numaa lagtaa hai na haTaa is ko mire jism se ai jaan-e-hayaat haath teraa mire zakhmon ko davaa lagtaa hai duur se khud miri surat mujhe lagti hai bhali jaane kyuun paas se har shakhs buraa lagtaa hai roktaa huun to ye ruktaa hi nahin hai 'ejaaz' mujhe har roz-o-shab-e-vaqt havaa lagtaa hai"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"nuur ki kiran us se khud nikalti rahti hai vaqt kaTtaa rahtaa hai raat Dhalti rahti hai aur zikr kyaa kiije apne dil ki haalat kaa kuchh bigaDti rahti hai kuchh sanbhalti rahti hai zehn ubhaar detaa hai naqsh haal o maazi ke in dinon tabi'at kuchh yuun bahalti rahti hai tah-nashin maujein to pur-sukun rahti hain aur sath-e-dariyaa ki mauj uchhalti rahti hai chaahe apne gham ki ho yaa gham-e-zamaana ki baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai zindagi hai naam us kaa taazgi hai kaam us kaa ek mauj-e-khun dil se jo ubalti rahti hai kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi vo jo jaam-e-saaqi se roz Dhalti rahti hai aaj bhi buri kyaa hai kal bhi ye buri kyaa thi is kaa naam duniyaa hai ye badalti rahti hai hoti hai vo sheron mein munakis kabhi 'e'jaaz' muddaton ghuTan si jo dil mein palti rahti hai"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi
Quote
"mil sakegi ab bhi daad-e-aabla-paai to kyaa faasle kam ho gae manzil qarib aai to kyaa hai vahi jabr-e-asiri aur vahi gham kaa qafas dil pe ban aai to kyaa ye ruuh ghabraai to kyaa apni be-taabi-e-dil kaa khud tamaashaa ban gae aap ki mahfil ke bante ham tamaashaai to kyaa baat to jab hai ki saaraa gulsitaan hansne lage fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kyaa laao in be-kaifiyon hi se nikaalein raah-e-kaif vaqt ab legaa koi pur-kaif angDaai to kyaa kam-nigaahi ne use kuchh aur gahraa kar diyaa vo chhupaate hi rahein rang-e-shanaasaai to kyaa phir zaraa si der mein chaunkaaegaa khvaab-e-sahar aakhir-e-shab jaagne ke baad niind aai to kyaa beDiyaan vahm-e-taalluq ki nai pahnaa gae dost aa kar kaaTte zanjir tanhaai to kyaa shorish-e-afkaar se 'e'jaaz' daamaanda sahi chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki raa'naai to kyaa"
Ejaz SiddiqiEjaz Siddiqi