SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFani Jodhpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khushi ki chehre pe gham kaa jalaal saath liye hayaat milti hai par intiqaal saath liye bulandiyon pe sabhi aa ke bhuul jaate hain uruuj aataa hai lekin zavaal saath liye vo khuun aankhon se ronaa amal puraanaa hai ab ashk bahte hain aankhon ki khaal saath liye kai jami hui partein udheD Daalegaa ye mujh mein kaun hai utraa kudaal saath liye khabar ye ghol na de machhliyon ko paani mein machhere aaeinge kal subh jaal saath liye yahaan pe chhoD diyaa to javaab Das leinge main lauT jaaungaa apnaa savaal saath liye vo peT ke liye kaafi nahin hai ab 'faani' tu jaa rahaa hai jo rizq-e-halaal saath liye"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate hain ham tak chehre umr badal kar aate hain jame hain jo chehre aankhon ki koron pe aao un ko giit ghazal kar aate hain jab kirnein paani pe dastak deti hain lahron pe girdaab uchhal kar aate hain tum jaise ham lagne lageinge Thahro to ham bhi apnaa khuun badal kar aate hain gulshan se mujh tak aane mein havaa ke haath jaane kitne phuul masal kar aate hain 'faani' jaise kuchh chehre baazaaron mein apni anaa har roz nigal kar aate hain"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"ye sahraa meraa hai jhelam chanaab us ki taraf turaab meri taraf aur aab us ki taraf na jaane kis ne banaai hai doghli tasvir hain khaar meri taraf aur gulaab us ki taraf zabaan meri hai alfaaz hain mire lekin hai baat-chit kaa lab-o-labaab us ki taraf miri ghazal ke muqaddar mein pyaas aai hai kashid ki hui umda sharaab us ki taraf koi muamma kabhi is tarah bhi ho maulaa savaal meri taraf huun javaab us ki taraf yuun apnaa naama-e-aamaal kar liyaa taqsim gunaah meri taraf hain savaab us ki taraf zarur puchhungaa taqsim karne vaale se rakhaa hai kis liye saaraa shabaab us ki taraf kisi ne naam se mere uchhaalaa jab patthar ubharne lag gayaa ik inqalaab us ki taraf jo khud se puchhaa ki 'faani' main jaaun kis raste ishaaraa karne lagi hai rikaab us ki taraf"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"bahut sunaa thaa ki khultaa hai par nahin khultaa khudaa ke vaaste bande kaa ghar nahin khultaa vo ek sher jo khultaa hai saari mahfil pe vo jis pe khulnaa hai us pe magar nahin khultaa hamaare qad ke mutaabiq jise banaayaa thaa vahi vo dar hai jo baalisht-bhar nahin khultaa bane hue hain ajaaeb-gharon ki zinat ham par apne vaaste apnaa hi dar nahin khultaa tumhein pahunchnaa hai 'iqbaal' 'mir' 'ghaalib' tak magar vo raasta shaayad idhar nahin khultaa kare ki minnatein karte hain ek muddat se magar nasib mein apne safar nahin khultaa savaal dastakein de ki hue fanaa 'faani' jahaan javaab hai bas vo hi dar nahin miltaa"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"chalan is doghli duniyaa kaa gar manzur ho jaataa vo mujh se duur ho jaataa main us se duur ho jaataa hunar haathon se chikne kaa bachaa kar le gayaa mujh ko bharose paanv ke rahtaa to main maazur ho jaataa zamaane-bhar ki baaton ko agar dil se lagaa letaa jahaan pe dil dhaDaktaa hai vahaan naasur ho jaataa safar karte hue apnaa haTaa kar aankh se paTTi main sang-e-mil jo paDhtaa thakan se chuur ho jaataa ye 'faani' dil ki suntaa hai tabhi gumnaam hai ab tak agar ye zehn ki suntaa bahut mashhur ho jaataa"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"ik imaarat nai taamir hui jaati hai shahr ki ik nai tafsir hui jaati hai ai mire azm-e-safar khinch ki le jaa mujh ko ik qasam paanv ki zanjir hui jaati hai khinchne aai hai ab maut mire daaman ko aap ke khvaab ki taabir hui jaati hai had to ye hai ki miri zaat ke andar bhi ab jaa-ba-jaa aap ki jaagir hui jaati hai main ne to khvaab samundar ki hi paale the magar ye nadi kis liye taabir hui jaati hai kyaa ghazab hai ki tere naam ki tohmat kab se be-sabab mere baghal-gir hui jaati hai phuul ke jism pe titli kaa lahu hai 'faani' kyaa mire ahd ki tasvir hui jaati hai"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri
Quote
"koi makin bhi na thaa us makaan se lauTaa huun khudaa hi jaantaa hai main kahaan se lauTaa huun hayaat guzri thi kirdaar jis ke gaDhne mein zalil ho ke usi daastaan se lauTaa huun na koi naqsh nazar mein na dhuul kapDon pe samajh mein kuchh nahin aataa kahaan se lauTaa huun jahaan pe aa ke mukammal hue vujud tamaam adhuraa ho ke akelaa vahaan se lauTaa huun vo khushbuein to mire taak mein hi thiin raqsaan talaash kar ke jinhein gulsitaan se lauTaa huun zamin vaalon zamin ki na daastaan puchho guzishta raat hi main aasmaan se lauTaa huun jahaan pe 'faani' ko faani banaayaa jaataa hai main ab ke baar usi aastaan se lauTaa huun"
Fani JodhpuriFani Jodhpuri