SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarooq Ahmad Batt(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mere hone na hone mein na thaa kuchh bhi magar phir bhi na jaane kyon huaa takhliq be-qimat bashar phir bhi havaa ki pusht pe taaron bhari vusat mein ho aaya magar ik qalb ki gahraaiyon se be-khabar phir bhi dhamaakon ki sadaa se gunjti hai ye zamin har pal qalam ki nim-bismil aah-e-shab hai be-asar phir bhi agarche khaak mustaqbil kaa har imkaan rakhti hai charaaghon ke muqaddar mein nahin hoti sahar phir bhi hamaari dosti kaa baj rahaa hai shahr mein Dankaa miraa dil aabla phir bhi tiri zid neshtar phir bhi"
F
Farooq Ahmad Batt
Quote
"sitaaron kaa dilkash samaan chhu liyaa thaa zamin chhoD kar aasmaan chhu liyaa thaa nishaan bhi nahin shisha-e-muntashir par use tum ne jaane kahaan chhu liyaa thaa miri aarzuein javaan ho gaiin thi mohabbat kaa jab aastaan chhu liyaa thaa jahaan zindagi thi tire aasare par vahin marhale kaa nishaan chhu liyaa thaa tiri naa-khudaai mujhe raas aai samundar ne to baadbaan chhu liyaa thaa 'fidaa' aandhiyaan kyon na le jaaein hasrat pari-ru ne meraa makaan chhu liyaa thaa"
F
Farooq Ahmad Batt
Quote
"hamaare haath se qudrat ne kyaa jauhar dikhaae hain jo nuqte khud nahin samjhe vo auron ko sikhaae hain ujaale ki sahar laanaa nahin sab ke muqaddar mein falak pe raat ne yuun to kai suraj ugaae hain haqiqat ke samundar mein dhule sab rang hasti ke sahar ki raushni ne niind se sapne bhagaae hain taqaddus un ke chehron kaa bayaan kartaa hai aaina yahaan kirdaar jo ashk-e-nadaamat se nahaae hain baDi mushkil se aaya qalb ke jazbaat par qaabu ye bachche raat ke pichhle pahar ham ne sulaae hain 'fidaa' kaise bayaan kar luun main apne shahr kaa qissa yahaan ahl-e-vafaa ne kis tarah aansu chhupaae hain"
F
Farooq Ahmad Batt